Thursday, 11 August 2016

Rasool-Allah Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne Noha karne se mana farmaya hai

BismillahirRahmannirRahim 

✦ Hadith: Rasool-Allah Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne Noha karne se mana farmaya hai
-----------
✦ Umma Atiyyah Radi-Allahu-Anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne humein Noha (matam) karne se mana farmaya hai
Sunan Abu Dawud, Vol 2, 1350-Sahih

✦ Jarir Radi allahu anhu se rivayat hai ki Muawiyah radi allahu anhu ne apne khutbe mein kaha ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne Noha karne se mana farmaya hai
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , 1580- Sahih
----------------------------------------------
✦ उम्म अतिया रदी-अल्लाहू-अन्हा से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने हूमें नोहा (मातम) करने से मना फरमाया है
सुनन अबू दाऊद, जिल्द 2, 1350-सही

✦ जरीर रदी-अल्लाहू-अन्हु से रिवायत है की मुआविया रदी अल्लाहु अन्हु से अपने खुतबे में कहा कहा की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने हूमें नोहा (मातम) करने से मना फरमाया है
सुनन अबू दाऊद, जिल्द 2, 1350-सही
----------------------------------------------
✦ Narrated Umm Atiyyah Radi-Allahu-Anha The Messenger of Allah Peace be upon him prohibited us to wail.
Sunan Abu Dawud, Book 20, 3121-Sahih

✦ Jarir the freed slave of Muawiyah radi allahu anhu said: Muawiyah delivered a sermon in his sermon he mentioned that the Messenger of Allah Peace be upon him forbade wailing. 

Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1580 - Sahih

Agar noha (matam) karne wali bina tauba ke mar jaye to Allah subhanhu usko tarkol ka libas aur Dozakh ke sholo ka kurta pahnayega

Bismillahirrahmanirrahim
✦ Hadith: Agar noha (matam) karne wali bina tauba ke mar jaye to Allah subhanhu usko tarkol ka libas aur Dozakh ke sholo ka kurta pahnayega
---------------
Abu Malik al-Ash'ari Radi allahu anhu se rivayat hai ki meri ummat mein jahiliyat ki ( yani kufr ke zamane ki) 4 cheezin hain jisko ye log chorhte nahi hain 1. Apne hasab (ohde) par fakhr karna ,dusro ke nasab (khandan) par taane karna , sitaron se pani ki ummed rakhna , aur chotha noha (matam) karna ,agar noha (matam) karne wali bina tauba ke mar jaye to Allah subhanhu usko tarkol ka libas aur Dozakh ke sholo ka kurta pahnayega
Sahih Muslim, Vol 2, 2160
.
Hazrat Abu Malik Ashari Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya noha (Matam) karna jahiliyat ka kaam hai , aur noha karney wali agar bina tauba ke mar jaye to Allah subhanhu usko tarkol ka libas aur Dozakh ke sholo ka kurta pahnayega
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1581 -Hasan
---------------
अबू मलिक अल-अश्अरी रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की मेरी उम्मत में जाहिलियत की ( यानी कुफ्र के ज़माने की) 4 चीज़ें हैं जिसको ये लोग छोड़ते नही हैं अपने हसब (ओहदे) पर फख्र करना, दूसरो के नसब (खानदान) पर ताने करना, सितारों से पानी की उम्मीद रखना , और चौथा नोहा (मातम) करना ,अगर नोहा (मातम) करने वाली बिना तौबा के मार जाए तो अल्लाह सुबहानहु उसको तारकोल का लिबास और दोज़ख के शोलों का कुर्ता पहनाएगा
सही मुस्लिम, जिल्द 2, 2160

हज़रत अबू मलिक अशअरी रदी-अल्लाहू-अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल्लल्लाहु-अलैही-वसल्लम ने फरमाया नोहा (मातम) करना जाहिलियत का काम है , और नोहा करने वाली अगर बिना तौबा के मर जाए तो अल्लाह सुबहानहु उसको तारकोल का लिबास और दोज़ख़् के शोलो का कुर्ता पहनाएगा
सुनन इब्न माज़ा , जिल्द 1 , 1581 -हसन
---------------
Abu Malik al-Ashari reported Allah's Messenger sallallahu alaihi wasallam as saying:
Among my people there are four characteristics belonging to pre-Islamic period which they do not abandon: boasting of high rank, reviling (absuing) other peoples' genealogies (ancestors) , seeking rain by stars, and walling. And he (further) said: If the wailing woman does not repent before she dies, she will be made to stand on the Day of Resurrection wearing a garment of pitch and shirt of flaming fire.
Sahih Muslim, Book 4, Hadith 2033

It was narrated from Abu Malik Ashari that the Messenger of Allah said: Wailing is one of the affairs of the Days of Ignorance, and if the woman who wails dies without having repented, Allah will cut a garment of pitch (tar) for her and a shirt of flaming fire.
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1581- Hasan

jisne Hasan aur Hussain radi Allahu anhuma se muhabbat rakhi usne mujhse Muhabbbat rakhi

Bismillahirrahmanirrahim 

✦ Hadith: jisne Hasan aur Hussain radi Allahu anhuma se muhabbat rakhi usne mujhse Muhabbbat rakhi
--------------------

✦ Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu Alaihi Wasallam ne Hazrat Hasan Radi Allahu Anhu se farmaya Eh ALLAH mein is se Muhabbat karta hu Aap bhi is se Muhabbat kijiye aur jo unse Muhabbbat kare usko bhi Mehboob rakhiye phir Aap Salllallahu alaihi wasallam ne Hasan radi allahu anhu ko seene se lagaya 
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 142 - Sahih 

✦ Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya jisney Hasan aur Hussain Radi Allahu Anhuma se muhabbat rakhi usney mujhse Muhabbbat rakhi aur jisne unse bugz rakha usne mujhse bugz rakha 
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 143 - Hasan 
------------------------------------

✦ अबू हुरैरा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने हज़रत हसन रदी अल्लाहू अन्हु से फरमाया एह अल्लाह में इस से मुहब्बत करता हू आप भी इस से मुहब्बत कीजिए और जो उनसे मुहब्ब्बत करे उसको भी महबूब रखिए फिर आप सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने हसन रदी अल्लाहू अन्हु को सीने से लगाया 
सुनन इब्न माज़ा, जिल्द 1 , 142 - सही

✦ अबू हुरैरा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जिसने हसन और हूसेन रदी अल्लाहू अन्हुमा से मुहब्बत रखी उसने मुझसे मुहब्ब्बत रखी और जिसने उनसे बुग्ज़ (नफरत) रखा उसने मुझसे बुगज़ रखा 
सुनन इब्न माज़ा, जिल्द 1 , 143 - हसन
------------------------------------
✦ It was narrated from Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu that:
The Prophet Peace be upon him said to Hasan: O Allah, I love him, so love him and love those who love him. He said: And he hugged him to his chest.
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , #142 -Sahih 

✦ Narrated by Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu The Prophet Peace be upon him said: Whoever loves Hasan and Husain (Radi Allahu Anhuma) loves me; and whoever hates them, hates me.'” 
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 143 -Hasan
__._,_.___

Mere Ashaab ( Sahabiyon) ko bura mat kaho

Bismillahirrahmanirrahim 

Hadith: Mere Ashaab ( Sahabiyon)  ko bura mat kaho

Abu Hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki  Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya   mere ashaab (sahabiyo) ko buran a kaho, mere ashab ko buran a kaho , kasam uski jiskey haath mein meri jaan hai agar koi tum mein se Uhad Pahad ke barabar sona kharch karey to unkey ek mudd  (sair bhar) ya  Aadhey mudd (kharch) ke barabar bhi nahi ho sakta.   
Sahih Muslim , Vol 6, 6487 
--------------------------------------------
अबू हुरैरा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की  रसूलअल्लाह सललल्लाहू अलैही वसल्लम   ने फरमाया   मेरे असहाब (सहाबियों) को बुरा ना  कहो, मेरे असहाब (सहाबियों) को बुरा ना  कहो , कसम उसकी जिसके हाथ में मेरी जान है अगर कोई तुम में से उहद पहाड़ के बराबर सोना खर्च करे तो उनके एक मद (सैर भर) या  आधे मद  (खर्च) के बराबर भी नही हो सकता.   

सही मुस्लिम , जिल्द 6, 6487 

--------------------------------------------

Abu Huraira Radi Allahu Anhu  reported The prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said : Do not revile (Don’t Abuse) my Companions, Do not revile (Don’t Abuse) my Companions. By Him in Whose Hand is my life,  if one amongst you would have spent as much gold as Uhud  it would not amount to as much as  one mudd  of one of them or half of it.-  
Sahih Muslim Book 031, Number 6167

__._,_.___

Sab rozo main Afzal Ramzan ke Baad Muharram Ke Roze hain

 Bismillahirrahmanirrahim 

✦ Hadith: Sab rozo main Afzal Ramzan ke Baad Muharram Ke Roze hain
------------------
✦ Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoolallah Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Sab rozo main Afzal Ramzan ke Baad Muharram Ke Roze hain Jo Allah Ka mahina hai Aur Baad Namaz farz ke tahajjud Ki Namaz Hai 
Sahih Muslim , Vol 3, 2755 

✦ Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki ek sahib Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ki khidmat mein hazir hokar arz karney lage ki Ramadhan ke baad sabse ziyada fazilat kaunse rozo ki hai to Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Allah ka mahina jise tum Muharram kahte ho. 
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1742 - Sahih
------------------
✦ अबू हुरैरह रदी-अल्लाहू-अन्हु से रिवायत है की रसूल अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फरमाया सब रोज़ो में अफ़ज़ल रमज़ान के बाद मुहर्रम के रोज़े हैं जो अल्लाह का महीना है और बाद नमाज़ फ़र्ज़ के तहज्जूद की नमाज़ है 
सही मुस्लिम , जिल्द 3, 2755 

✦ अबू हुरैरा रदी-अल्लाहू-अन्हु से रिवायत है की एक साहिब रसूल अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम की खिदमत में हाज़िर होकर अर्ज़ करने लगे की रमज़ान के बाद सबसे ज़ियादा फ़ज़ीलत कौनसे रोज़ो की है तो आप सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फरमाया अल्लाह का महीना जिसे तुम मुहर्रम कहते हो. 
सुनन इब्न माजा , जिल्द 1 , # 1742 - सही
------------------

English Translation:
✦ Abu Hurairah Allah be pleased with him reported Allah's Messenger may peace be upon him as saying: The most excellent fast after Ramadan is God's month. Al-muharram, and the most excellent prayer after what is prescribed is prayer during the night. 
Sahih Muslim, Book 6, Hadith 2611 

✦ It was narrated that Abu Hurairah may Allah be pleased with him said: A man came to the Prophe Peace be upon him and said: Which fasting is best after the month of Ramadan? He Peace be upon him said: The month of Allah which is called Muharram. 
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1742 (Sahih)

Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ki Aakhri ashre mein Qayam Al lail (Tahajjud) ki namaz


Bismilahirrahmanirrahim
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ki Aakhri ashre mein Qayam Al lail (Tahajjud) ki namaz
-------------------
✦ Abu Zarr Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki humne Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ke saath ramzan ke roze rakhe un hone humko 23 raat tak Qayam al lail ki namaz nahi pdhayee, phir 23 raat ko ek tihayee raat tak namaz padhate rahe, phir 24 raat ko namaz nahi padhayee aur phir 25 raat ko aadhi raat tak namaz padhate rahe maine arz kiya ki Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam kaash aap baqi raat mein bhi hamare saath isee tarah namaz ada farmate. Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne irshad farmaya jo shakhs imam ke saath (Qayma mein) khada ho aur uske farig hone tak saath rahe usko puri raat Qayam al lail (sari raat namaz pdhne) ka sawab milta hai aur uske bad Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne 27 raat ko apne ahal o ayal aur ajwaz e mutahharat (ghar walo) ko bhi jama karke namaz ada farmaye, yaha tak ki humko falah ke nikal jane ka khatra malum hua, pucha ki falah kya hai to farmaya Sehri
Sunan Nasaii, Jild 1, 1608-Sahih
(Kitab Qayam Al Lail / Tahajjud)

--------------------
✦ अबू ज़र रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की हमने रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम के साथ रमज़ान के रोज़े रखे उनहोने हमको 23 रात तक क़याम अल लैल की नमाज़ नही पढ़ाई , फिर 23 रात को एक तिहाई रात तक नमाज़ पढ़ते रहे, फिर 24 रात को नमाज़ नही पढ़ाई और फिर 25 रात को आधी रात तक नमाज़ पढ़ते रहे मैने अर्ज़ किया की या रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम काश आप बाक़ी रात का वक़्त भी हमारे साथ इसी तरह नमाज़ अदा फरमाते. आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने इरशाद फरमाया जो शख्स ईमाम के साथ(क़याम में ) खड़ा हो और उसके फारिग होने तक साथ रहे उसको पूरी रात क़याम अल लैल (सारी रात नमाज़ पढ़ने) का सवाब मिलता है और उसके बाद रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने 27 रात को अपने अहल ओ अयाल और अज़वाज़ ए मुताहहरात (घरवालों) को भी जमा करके नमाज़ अदा फरमाये, यहा तक की हमको फ़लाह के निकल जाने का ख़तरा मालूम हुआ, पूछा की फ़लाह क्या है तो फरमाया सेहरी
सुनन नसाई, जिल्द 1, 1608-सही
किताब क़याम अल लेल (रात का क़याम / तहज्जुद)
--------------------
✦The Qayam Al Lail of Prophet Sal-Allahu alaihi wasallam in the last 10 days of Ramzan
----------------
✦ It was narrated that Abu Dharr Radi Allahu Anhu said:
"We fasted with the Messenger of Allah (ﷺ) in Ramadan and he did not lead us in praying Qiyam until there were seven days left in the month, when he led us in praying Qiyam until one-third of the night had passed. Then he did not lead us in praying Qiyam when there were six days left. Then he led us praying Qiyam when there were five days left until one-half of the night had passed. I said: "O Messenger of Allah ! We wish if we spend the rest of this night praying like this , He said: "Whoever prays Qiyam with the Imam until he finishes, Allah Subhanahu will record for him the Qiyam of a (whole) night." Then he did not lead us in prayer or pray Qiyam until there were three days of the month left. Then he led us in praying Qiyam when there were three days left. He gathered his family and wives (and led us in prayer) until we feared that we would miss Al-Falah. I (one of the narrators) said: "What is Al-Falah?" He said: "The suhur".
Sunan Nasaii, Book 20, Hadith 1606-Sahih
The Book of Qayam Al lail (Tahajjud)
__._,_.___