Friday, 9 September 2016

Hussain Radi allahu anhu mujh se hain aur Main Hussain se hu

Bismillahirrahmanirrahim
✦ Hadith: Hussain Radi allahu anhu mujh se hain aur Main Hussain se hu 
-------------
✦ Said Bin abu Rashid Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Yala bin Murrah ne kaha ki ek baar wo Log Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ke saath Daawat e Taa’m ke liye nikle Hussain Radi allahu anhu Gali mein khel rahey they NABEE Sallallahu Alaihi Wasallam logon se aagey badey aur apney haath phaila diye (hazrat Hussain Radi Allahu Anhu ) idhar udhar bhagne lage Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam unhe hasate rahe yahan tak ki unko pakad liya Aapne ek haath thodi ke neeche aur dusra haath sir ke upar rakha aur Bosa liya phir farmaya Hussain mujh se hain aur Main Hussain se hu aur ALLAH us se Muhabbbat rakhte hain jo Hussain se muhabbbat rakhta hai
Sunan Ibn Majah, Vol 1 ,144-Hasan
-------------
✦ सईद बिन अबू राशिद रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की याला बिन मुर्राह ने कहा की एक बार वो लोग रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम के साथ दावत ए ताम के लिए निकले , हुसैन रदी अल्लाहू अन्हु गली में खेल रहे थे नबी सलअल्लाहू अलैही वसल्लम लोगों से आगे बड़े और अपने हाथ फैला दिए (हज़रत हूसेन रदी अल्लाहू अन्हु ) इधर उधर भागने लगे नबी सलअल्लाहू अलैही वसल्लम उन्हे हंसाते रहे यहाँ तक की उनको पकड़ लिया , आपने एक हाथ उनकी ठोड़ी (chin) के नीचे और दूसरा हाथ सर के ऊपर रखा और बोसा लिया फिर आप सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फ़रमाया हुसैन मुझ से हैं और मैं हुसैन से हूँ और अल्लाह उस से मुहब्ब्बत रखते हैं जो हुसैन से मुहब्ब्बत रखता है
सुनन इब्न माज़ा , जिल्द 1, 144 - हसन 
-------------
✦ Narrated by Said bin Abu Rashid may ALLAH be pleased with him that Yala bin Murrah told them that they had gone out with the Prophet (Peace be upon him ) to a meal to which they had been invited, and Husain radi allahu anhu was there playing in the street. The Prophet (Peace be upon him ) came in front of the people and stretched out his hands, and the child started to run here and there. The Prophet Peace be upon him made him laugh till he caught him, then he put one hand under his chin and the other on his head and kissed him, and said, “Husain is part of me and I am part of him. May Allah love those who love Husain.
Sunan Ibn Majah, Vol 1 ,144 -Hasan

Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Hasan Aur Husssain Radi Allahu Anhuma se Muhabbat

Bismillahirrahmanirrahim
.
Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Hasan Aur Husssain Radi Allahu Anhuma se Muhabbat
.
Buraydah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ek baar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Khutba farma rahe the itne mein Hasan aur Hussain Radi Allahu Anhumu ladkhadate huye udhar aa gaye us waqt wo surkh dhari wala kurta pahney huye they, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam unko dekhkar Mimbar se utrey aur unko Godi mein utha liya phir Mimber par chad gaye, iskey baad Aap Sallallahu Alaihi Wasallam alaihi wasallam ne farmaya ki Beshaq tumharey Maal aur Aulad Aazmayeesh hai mainey in dono ko dekha to Sabr na kar saka uske baad Aap Sallallahu Alaihi Wasallam phir Khutba farmane lage
Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1097-Sahih
.
Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu Alaihi Wasallam ne Hazrat Hasan Radi Allahu Anhu se farmaya Eh ALLAH mein Is sey Muhabbat karta hu Aap bhi insey Muhabbat kijiye aur jo unsey Muhabbbat karey usey bhi Mehboob rakhiye 
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 142 -Sahih 
.
Al-Bara Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki mainey Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko dekha ki Hasan Radi Allahu Anhu Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke kaandhe mubarak par the aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ye farma rahey they ki Ya Allah mujhe in sey Muhabbat hai tu bhi in sey Muhabbat rakh 
Sahih Bukhari, vol 5 , 3749
----------------------------------------------------
Narrated Buraydah ibn al-Hasib: The Apostle of Allah (peace_be_upon_him) delivered a speech to us; meanwhile Al-hasan and al-Hussain Radi Allahu Anhuma came upon there stumbling, wearing red shirts. He came down from the pulpit, took them and ascended it with them. He Sallallahu Alaihi Wasallam then said: Allah truly said: "Your property and your children are only trial" , I saw both of them, and I could not wait. Afterwards he resumed the speech. 
Sunan Abu Dawud, Book#3, Hadith #1104-Sahih

It was narrated from Abu Hurairah may ALLAH be pleased with him that the Prophet peace be upon him said to Hasan: Oh Allah I love him and love those who love him.
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , #142 -Sahih

Narrated Al-Bara Radi Allahu Anhu : I saw the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam carrying Al-Hasan Radi Allahu Anhu on his shoulder an saying, O Allah! I love him, so please love him.
Sahih Bukhari,Book 57, Number 92:

Mafhum-e-Hadith - Ashura ke roza Guzre huye saal ke gunahon ka kaffara hai


Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith - Ashura ke roza Guzre huye saal ke gunahon ka kaffara hai
----------------------------------
Abu Qatada al-Ansari radi Allahu Anhu se rivata hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi se Asura (10 Muharram) ke din ke rozey ke bare mein pucha to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne faramaya ye Guzrey huye saal ke gunahon ka kaffara hai
Sahih Muslim, Vol 3, 2747

--------------------------------------
अबू क़तादा अल-अंसारी रदी अल्लाहू अन्हु से रिवता है की रसूलअल्लाह सल्लल्लाहु अलैही  वसल्लम से आशुरा  (10 मुहर्रम) के दिन के रोज़े के बारे में पूछा तो आप सल्लल्लाहु अलैही  वसल्लम  ने फरमाया ये गुज़रे हुए साल के गुनाहों का कफ्फारा है
सही मुस्लिम, जिल्द 3, 2747

--------------------------------------
Abu Qatada al-Ansari (Allah be pleased with him) reported that the Messenger of Allah (may peace be upon him) was asked about was asked about fasting on the day of 'Ashura (10th of Muharram), whereupon he said: It expiates the sins of the preceding year.
Sahih Muslim, Book 6, Number 2603
__._,_.___