Bismillahirrahmanirrahim
*Salat-ul-tasbeeh parhne se agle , pichle , purane , naye, galti se kiye huye , jaan bujh kar kiye huye, chote, bade, chup par kiye huye aur khullam khullah kiye huye sab gunaah maaf*
--------------------
Hazrat Ibn Abbas radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Hazrat Abbas se farmaya mere chacha kya main aapko ek atiya na karu ? kya Ek hadiya na du ? kya ek Tohfa pesh na karu ? kya main aapko aisa amal na batauu ki jab aap isko karengey to aapko 10 faydey hasil hongey
Yani Allah taala aapke Agle , pichle , purane , naye, galti se kiye huye , jaan bujh kar kiye huye, chote, bade, chup par kiye huye aur khullam khullah kiye huye sab gunaah maaf farma denge.
Wo Amal ye hain ki Aap 4 rakaat ( Salatul Tasbeeh) padhe aur har rakaat mein surah fatiha aur dusri koi surat padhe jab aap pahli Rakaat mein Qirat se farig ho jaye to rukun se pahley 15 baar ye pad le
سبحان الله والحمد لله ولا اله الا الله والله أكبر
Subhnallahi Walhamdulillahi Wa la ilaha illallahu wallahu Akbar
Phir ruku kare aur ruku mein bhi yahi kalmaat 10 baar padhe
Phir ruku se uth kar qoma mein bhi 10 baar yahi kalmaat padhe,
Phir sazde mein jaye aur 10 baar yahi kalmat padhe,
Phir sazde mein uth kar jalsey mein 10 baar yahi kalmaat kahey,
Phir dusrey sazdemein bhi yahi kalmaat 10 martaba kahey
Phir dusrey sazde ke baad bhi khadey honey se pahley 10 martaba yahi kalmaat kahey.
Charon rakaat isi tarah padhe aur is tarah se har rakaat mein ye kalmaat 75 (15+10+10+10+10+10+10) baar kahe
(Mere chacha) Agar aapse ho sake to rozana ye namaz ek martaba padha kare ,
Agar rozana na pad sako to Jumaa ke din pad liya karo,
Agar aap ye bhi na kar sako to Mahiney mein ek baar pad liye karo,
Agar aap ye bhi na kar sako to Saal mein ek baar pad liye karo,
Agar ye bhi na ho sakey to zindagi mein ek baar par liy karo.
मफ्हुम-ए-हदीस : सलात अल तस्बीह पढ़ने से अगले , पिछले , पुराने , नये, ग़लती से किए हुए , जान बुझ कर किए हुए, छोटे, बड़े, छुप पर किए हुए और खुल्लम खुल्लाह किए हुए सब गुनाह माफ़ हो जाते हैं
--------------------
हज़रत इब्न अब्बास रदी अल्लाहू अन्हुमा से रिवायत है की रसूल अल्लाह सललल्लाहू अलैही वसल्लम ने हज़रत अब्बास रदी अल्लाहु अन्हु से फरमाया मेरे चाचा क्या मैं आपको एक अतिया ना करू ? क्या एक हदिया ना दू ? क्या एक तोहफा पेश ना करू ? क्या मैं आपको ऐसा अमल ना बताऊ की जब आप इसको करेंगे तो आपको 10 फ़ायदे हासिल होंगे
यानी अल्लाह ताला आपके अगले , पिछले , पुराने , नये, ग़लती से किए हुए , जान बुझ कर किए हुए, छोटे, बड़े, छुप पर किए हुए और खुल्लम खुल्लाह किए हुए सब गुनाह माफ़ फरमा देंगे.
वो अमल ये हैं की आप 4 रकात ( सलातुल तसबीह) पढ़े और हर रकात में सुराह फातिहा और दूसरी कोई सूरत पढ़े जब आप पहली रकात में क़िरत से फारिग हो जाए तो रुकू से पहले 15 बार ये पढ़ ले
سبحان الله والحمد لله ولا اله الا الله والله أكبر
सुबहान-अल्लाहि वा अल्हम्दुलिल्लाही वा ला इलाहा इल्लल्लाहु वल्लाहू अकबर
फिर रुकु करे और रुकु में यही कलिमात 10 बार पढ़े
फिर रुकु से उठ कर क़ोमा में भी 10 बार यही कलिमात पढ़े,
फिर सजदे में जाए और 10 बार यही कलिमात पढ़े,
फिर सजदे से उठ कर जलसे में 10 बार यही कलिमात कहे,
फिर दूसरे सजदे में भी यही कलिमात 10 मर्तबा कहे
फिर दूसरे सजदे के बाद भी खड़े होने से पहले 10 मर्तबा यही कलिमात कहे.
चारों रकात इसी तरह पढ़े और इस तरह से हर रकात में ये कलिमात 75 (15+10+10+10+10+10+10) बार कहे
(मेरे चाचा) अगर आपसे हो सके तो रोज़ाना ये नमाज़ एक मर्तबा पढ़ा करे ,
अगर रोज़ाना ना पढ़ सको तो ज़ूमा के दिन पढ़ लिया करो,
अगर आप ये भी ना कर सको तो महीने में एक बार पढ़ लिया करो,
अगर आप ये भी ना कर सको तो साल में एक बार पढ़ लिया करो,
अगर ये भी ना हो सके तो ज़िंदगी में एक बार पढ़ लिया करो,
सुनन अबू दावूद , जिल्द 1 , 1284 -सही
सुनन इब्न माजा , जिल्द 1, 1387 - हसन
English Translation:
- The true method to perform Salat Al Tasbeeh prayer from Sahi Hadith --
Narrated Abdullah Ibn Abbas radi allahu anhu: The Apostle of Allah (peace_be_upon_him) said to al-Abbas ibn AbdulMuttalib: Abbas, my uncle, shall I not give you, shall I not present to you, shall I not donate to you, shall I not produce for you ten things? If you act upon them, Allah will forgive you your sins, first and last, old and new, involuntary and voluntary, small and great, secret and open. These are the ten things:
you should pray four rak'ahs, reciting in each one Surah Fatiha and a surah. When you finish the recitation of the first rak'ah you should say fifteen times (15) while standing:
سبحان الله والحمد لله ولا اله الا الله والله أكبر
Subhnallahi Walhamdulillahi Wa la ilaha illallahu wallahu Akbar
("Glory be to Allah", "Praise be to Allah", "There is no god but Allah", "Allah is most great".)
Then you should bow and say it ten (10) times while bowing.
Then you should raise your head after bowing and say it ten (10) times.
Then you should kneel down in prostration and say it ten (10) times while prostrating yourself.
Then you should raise your head after prostration and say it ten (10) times.
Then you should prostrate yourself and say it ten (10) times.
Then you should raise your head after prostrating and say it ten (10) times in every rak'ah.
(in this way it will be total 75 times in a rakah)
You should do that in four rak'ahs. If you can observe it once daily, do so; if not, then once weekly; if not, then once a month; if not, then once a year; if not, then once in your lifetime.
Sunan Abu Dawud: Book 5, Number 1292- Sahih
Sunan Ibn majah Book 5, Hadith 1387 - Hasan
Tehqeeq Salat Al Tasbeeh
Is Hadees ka sanad ka Tehqeeqi Jaiza [Sunan Abu Daood jild-1 safa-184 kitab al salat hadees no-1105,1297, Jamai Tirmizi jild-1 safa-63 kitab Al salat hadees no-443,479, Sunan Ibn Maza jild-1 safa-100 kitab Ikamat Al salat hadees no-1387,1386,1376,3177 (ASanad sahi)
🔹Is Hadees ko “Sahii” Kehan wale A Muhaddaseen hy
1. Abu Dawood,
2.Ibne Hajr Asqlani (Anukat vol.2 pg.848-850
3. Al-Aajari,
4. As-Sum’aani,
5. al-Madini,
6. al-Mundthiri,
7. Abul-Hasan al-Mundthiri,
8. Ibn As-Salaah,
9. Ad-Dailami,
10. Al-Haakim,
11. Al-A’laali,
12. Az-Zurkashi,
13. Al-Muhaamili,
14. Abul-Hasan al-Muqdasi,
15. al-Juwaini,
16. Al-Baghawi,
17. Ar-Ra’fiee’,
18. Al-Haitami,
19. As-Su’youti,
20. Al-Luknawwi,
🔹Aaj ke dour me Bade Muhaddaseen bhi is Hadees ko “Hasan” kahh
1. Muhaddase Shiek Nasruddin Albani ne is hadees ko Hasan kaha {sahih al taghrib wa tarhib}
2. Muhaddis SHAKIR ne bhi is hadees ko sahii kaha
3. SHEIK MUBARAKPURI Ne is hadees ko Hasan kaha[Mura’at al mufa teh Sareh Miskat Al musabiya jild-4 safa-374 .}
4. Muhaddis Shieik Zubair Ali zae bhi Is hadees ko Hasan kaha ” [Sunnan Abu Dawud, Published by Dar us Salam, Volume No.2, Page No. 96]
🔹 Muhaddaseen ke view A Hy salatul Tasbeeh ke bareme
1. Imam Tirmizi kehte hy Zyadase Ulama me aur Unme se Abdullah Bin Mubarak Is salatul Tasbeeh ka namaz ko kayal the (Tirmidhi vol.2 pg.348; Hadith 481
2. Imam Baihqi kehte hy ke A Salatul tasbeeh ka Namaz ( Muhaddis ) Abdullah Bin Mubarak ka amal tha aur salaf me bhi a amal tha (Shu’ubul Imaam vol.1 pg.427; Ilmiyyah)
3. Allaamah Munzhiri (RA) kehte Bahut sare Muhaddaseen is Qayal the wo a log hy 1) Imaam Abu-bakr al-Ajurriy, 2) Imaam Abu Muhammad al-Misriy (Ustaadh of Allaamah Munzhiri), 3) Hafiz Abul-Hasan Maqdisi (Ustaadh of Allaamah Munzhiri), 4) Imaam Abu-Dawud and 5) Imaam Haakim. (Targheeb vol.1 pg.468)
4. Imam Muslim ne farmaya: Is mamle mein Rawiyon ke sahih sanad ke saath isse(yani Ibn Abbas ki riwayat se ) behtar koi hadees nahi hai.
5. Imam Suyuti kehte hy 20 jalilul Qadr Muhaddaseen bhi Is hadees ko sahii kaha wo a log hy 6) Hafiz Abu-Sa’eed al-Sam’aaniy, 7) Hafiz Khateeb al-Baghdaadiy, 8) Hafiz ibn-Mandah, 9) Imaam Bayhaqi, 10) Imaam al-Subkiy, 11) Imaam al-Nawawiy, 12) Haafiz ibn al-Salat, 13) Hafiz Abu-Musa al-Madiniy, 14) Hafiz al-Alaaeiy, 15) Imaam Siraaj-ud-Deen al-Bulqiniy, 16) Hafiz al-Zarkashiy and a few others. (al-Laalil Masnoo’ah vol.2 pg.42-44)
6.Ibne Hajr Asqlani kehte hy Ahmed Bin Hambal ne Unke Ray(Opinioun) Ko Baad me Ruzu karliye the Futuhaat al-Rabbaaniyyah vol.4 pg.318, 320)
------------------
🔹 *Note : Net par kuch web sites par Salatul Tasbih waali riwayat ko zaeef kaha gaya hai, lekin koi illat (zaeef ki wajah) bayan nahi kiya gaya hai. Aur iske tareeqe par swaal utahay gaya hai ki tareeqa digar namaz se alag hai , phir to Namaze janaza ka tareeqa bhi digar namazo se alag hai to kya uski buniyad par hum usko bhi zaeef kah denege , sirf is daur ke kuch ulmao ke kahne kisi bhi sahi hadith ko radd nahi ki ja sakta jabki uskei sahi sanad majud ho
Allah Knows Best

__._,_.___
No comments:
Post a Comment