Showing posts with label Sunan Nasaii. Show all posts
Showing posts with label Sunan Nasaii. Show all posts

Friday, 13 January 2017

jo chahe 5 rakaat witr padhe , jo chahe 3 rakaat witr padhe aur jo chahe 1 rakaat witr padhe

Bismillahirrahmanirrahim

✦ Hadith: jo chahe 5 rakaat witr padhe , jo chahe 3 rakaat witr padhe aur jo chahe 1 rakaat witr padhe
-------------------

✦ Ubay bin kaab Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam 3 rakaat witr padha kartey they pahli rakaat mein Surah Aala, dusri mein Surah Al-Kafirun aur teesri rakaat mein Surah Al-Ikhlas Tilawat farmate they, phir ruku se pahle Dua-e-Qunut padhte they aur jab farig hote to 3 baar Subhan Al-Malik Al Quddus padhte aur aakhri baar zara taweel padhte
SunanNasaii, Vol 1, 1702-Sahih

✦ Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasooll-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam har do rakaat par salam pherte aur ek rakat witr padhte
Sunan ibn Majah, Vol 1, 1177-Sahih

✦ Hazrat Ubayy bin Kab Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam jab witr padhtey to (Dua e) Qunut ruku se pahley padhte.
Sunan ibn Majah : Vol. 1, Hadith 1182 – Sahih

✦ Hazrat Anas bin malik Radi Allahu Anhu se subah ki namaz mein Qunut ke baare mein pucha gaya to unhone farmaya hum ruku se pahle aur ruku ke baad dono tarah se Qunut padh lete they
Sunan ibn Majah, Vol 1, 1183 - Hasan

✦ Abu Ayyub Al-Ansari Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Witr haq hai aur, jo chahe 5 rakaat witr padhe , jo chahe 3 rakaat witr padhe aur jo chahe 1 rakaat witr padhe
Sunan ibn Majah, Vol 1, 1190 – Sahih

-------------
✦ उबय बिन काब रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल्लअल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम 3 रकात वित्र पढ़ा करते थे पहली रकात में सुरह आला, दूसरी में सुरह अल-काफिरून और तीसरी रकात में सुरह अल-इख्लास तिलावत फरमाते थे, फिर रुकु से पहले दुआ-ए-क़ुनूत पढ़ते थे और जब फारिग होते तो 3 बार सुबहान अल-मलिक अल कुद्दुस पढ़ते और आखरी बार ज़रा तवील पढ़ते
सुनन नसाई , जिल्द 1, 1702-सही

✦ आईशा रदी अल्लाहू अन्हा से रिवायत है की रसूल्लअल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम हर दो रकात पर सलाम फेरते और एक रकात वित्र पढ़ते
सुनन इब्न माज़ा ,जिल्द 1, 1177-सही

✦ हज़रत उबय बिन कब रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल्लअल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम जब वित्र पढ़ते तो (दुआ ए) क़ुनूत रुकु से पहले पढ़ते.
सुनन इब्न माज़ा, जिल्द 1, 1182 –सही

✦ हज़रत अनस बिन मलिक रदी अल्लाहू अन्हु से सुबह की नमाज़ में क़ुनूत के बारे में पूछा गया तो उन्होने फरमाया हम रुकु से पहले और रुकु के बाद दोनो तरह से क़ुनूत पढ़ लेते थे
सुनन इब्न माज़ा ,जिल्द 1, 1183 - हसन

✦ अबू अय्यूब अल-अंसारी रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल्लअल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया वित्र हक़ है और, जो चाहे 5 रकात वित्र पढ़े , जो चाहे 3 रकात वित्र पढ़े और जो चाहे 1 रकात वित्र पढ़े
सुनन इब्न माज़ा , जिल्द 1, 1190 –सही

--------------------

✦ It was narrated from Ubayy bin Kab Radi Allahu Anhu that The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam used to pray witr with three rakahs. In the first he would recite: “Sabbah ismi Rabbikal aala-Surah Aala” in the second: Surah Al kafirun , and in the third: Surah Al-ikhlas And he would say the Qunut before bowing, and when he finished he would say: Subhanal-Malikil-Quddus (Glory be to the Sovereign, the Most Holy) three times, elongating the words the last time.
Sunan Nasaii , Vol. 2, Book 20, 1700-Sahih

✦ It was narrated that Aishah Radi Allahu Anha said: “The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam used to say Taslim after every two Rakah, and he would perform Witr with one Rakah.
Sunan ibn Majah, Book 5, 1177-Sahih

✦ It was narrated from Ubayy bin Ka’b that the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam used to pray Witr and he would recite Qunut before Ruku.
Sunan ibn Majah,Book 5, 1182 – Sahih

✦ It was narrated that Anas bin Malik said: He was asked about Qunut in the morning prayer, and he said: “We used to recite Qunut before Ruku and afterwards.
Sunan ibn Majah,Book 5, 1183 – Hasan

✦ It was narrated from Abu Ayyub Al-Ansari that the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: Witr is Haq Whoever wishes let him pray Witr with five (Rakah), and whoever wishes let him pray Witr with three (Rakah), and whoever wishes let him pray Witr with one (Rakah).
Sunan ibn Majah,Book 5, 1190 – Sahih
__._,_.___

Wednesday, 5 October 2016

100 musalman kisi mayyat ke liye namaz padhe aur uski magfirat ki dua kare to wo qubul hogi

Bismillahirrahmanirrahim
Mafhum-e-Hadith: 100 musalman kisi mayyat ke liye namaz padhe aur uski magfirat ki dua kare to wo qubul hogi 
----------------------
✦ Aisha Radi allahu anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya jis mayyat par musalman namaz padhe aur unki tadad 100 tak pahuch jaye aur phir wo uske haq mein (magfirat ki) sifarish kare to unki sifarish qubul hogi
Sunan Nasaii, Vol 1,1995-Sahih


✦ Abdullah bin Abbas Radhi Allahu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jis musalman ke janaze mein chalis (40) aadmi aise ho jinhone Allah subhanahu ke saath kisi ko sharik nahi kiya ho to Allah subhanahu us 
( janazae ) ke haq mein unki shafa’at qubul karta hai 
                                             Sahih Muslim, Vol 2, 2199 
----------------------
✦ आयशा रदी अल्लाहू अन्हा से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वासल्लम ने फरमाया जिस मय्यत पर मुसलमान नमाज़ पढ़े और उनकी तादाद 100 तक पहुँच जाए और फिर वो उसके हक़ में (मगफिरत की) सिफारिश करे तो उनकी सिफारिश क़ुबूल होगी
सुनन नसाई, जिल्द 1195-सही
✦ अब्दुल्लाह बिन अब्बास रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वासल्लम ने फरमाया जिस मुसलमान के जनाज़े में चालीस (40) आदमी ऐसे हो जिन्होने अल्लाह सुबहानहु के साथ किसी को शरीक नही किया हो तो अल्लाह सुबहानहु उस (जनाज़े ) के हक़ में उनकी शफ़ाअत क़ुबूल करता है
सही मुस्लिम, जिल्द 2, 2199
-------------------
It was narrated from 'Aishah that the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said:
"No Muslim dies and a group of people whose number reaches one hundred offers the funeral prayer for him, interceding fro him, but their intercession for him will be accepted."
Sunan Nasaii, Vol. 3, Book 21, 1994-Sahih
Abdullah bin Abbas Radhi Allahu Anhu reported that 
The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said If any Muslim dies and forty men who associate nothing with Allah stand over his prayer (they offer prayer over him), Allah will accept them as intercessors for him.
Sahih Muslim, Book 4, 2072

Thursday, 11 August 2016

Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ki Aakhri ashre mein Qayam Al lail (Tahajjud) ki namaz


Bismilahirrahmanirrahim
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ki Aakhri ashre mein Qayam Al lail (Tahajjud) ki namaz
-------------------
✦ Abu Zarr Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki humne Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ke saath ramzan ke roze rakhe un hone humko 23 raat tak Qayam al lail ki namaz nahi pdhayee, phir 23 raat ko ek tihayee raat tak namaz padhate rahe, phir 24 raat ko namaz nahi padhayee aur phir 25 raat ko aadhi raat tak namaz padhate rahe maine arz kiya ki Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam kaash aap baqi raat mein bhi hamare saath isee tarah namaz ada farmate. Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne irshad farmaya jo shakhs imam ke saath (Qayma mein) khada ho aur uske farig hone tak saath rahe usko puri raat Qayam al lail (sari raat namaz pdhne) ka sawab milta hai aur uske bad Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne 27 raat ko apne ahal o ayal aur ajwaz e mutahharat (ghar walo) ko bhi jama karke namaz ada farmaye, yaha tak ki humko falah ke nikal jane ka khatra malum hua, pucha ki falah kya hai to farmaya Sehri
Sunan Nasaii, Jild 1, 1608-Sahih
(Kitab Qayam Al Lail / Tahajjud)

--------------------
✦ अबू ज़र रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की हमने रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम के साथ रमज़ान के रोज़े रखे उनहोने हमको 23 रात तक क़याम अल लैल की नमाज़ नही पढ़ाई , फिर 23 रात को एक तिहाई रात तक नमाज़ पढ़ते रहे, फिर 24 रात को नमाज़ नही पढ़ाई और फिर 25 रात को आधी रात तक नमाज़ पढ़ते रहे मैने अर्ज़ किया की या रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम काश आप बाक़ी रात का वक़्त भी हमारे साथ इसी तरह नमाज़ अदा फरमाते. आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने इरशाद फरमाया जो शख्स ईमाम के साथ(क़याम में ) खड़ा हो और उसके फारिग होने तक साथ रहे उसको पूरी रात क़याम अल लैल (सारी रात नमाज़ पढ़ने) का सवाब मिलता है और उसके बाद रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने 27 रात को अपने अहल ओ अयाल और अज़वाज़ ए मुताहहरात (घरवालों) को भी जमा करके नमाज़ अदा फरमाये, यहा तक की हमको फ़लाह के निकल जाने का ख़तरा मालूम हुआ, पूछा की फ़लाह क्या है तो फरमाया सेहरी
सुनन नसाई, जिल्द 1, 1608-सही
किताब क़याम अल लेल (रात का क़याम / तहज्जुद)
--------------------
✦The Qayam Al Lail of Prophet Sal-Allahu alaihi wasallam in the last 10 days of Ramzan
----------------
✦ It was narrated that Abu Dharr Radi Allahu Anhu said:
"We fasted with the Messenger of Allah (ﷺ) in Ramadan and he did not lead us in praying Qiyam until there were seven days left in the month, when he led us in praying Qiyam until one-third of the night had passed. Then he did not lead us in praying Qiyam when there were six days left. Then he led us praying Qiyam when there were five days left until one-half of the night had passed. I said: "O Messenger of Allah ! We wish if we spend the rest of this night praying like this , He said: "Whoever prays Qiyam with the Imam until he finishes, Allah Subhanahu will record for him the Qiyam of a (whole) night." Then he did not lead us in prayer or pray Qiyam until there were three days of the month left. Then he led us in praying Qiyam when there were three days left. He gathered his family and wives (and led us in prayer) until we feared that we would miss Al-Falah. I (one of the narrators) said: "What is Al-Falah?" He said: "The suhur".
Sunan Nasaii, Book 20, Hadith 1606-Sahih
The Book of Qayam Al lail (Tahajjud)
__._,_.___

Friday, 10 June 2016

Mafhum-e-Hadith: Rajab ke roze

Bismilillahirrahmanirrahim
✦ Mafhum-e-Hadith: Rajab ke roze

----------
✦ Uthman bin Hakim Ansari Radi allahu anhu se rivayat hai ki unhone saeed bin zuber Radi Allahu anhu se Rajab ke rozo ke bare mein pucha aur ye sawal Rajab ke mahine mein hi kiya to unhone kaha ki maine ibn Abbas Radi Allahu anhu se suna ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam (lagatar) roze rakhte they aur itne rakhte they ki hum samajhte they ki ab iftar nahi karenge , aur iftar karte they yaha tak ki hum samajhte ab roze nahi rakhenge
Sahih Muslim , Jild 3 , 2726

✦ Abu Zarr Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allalhu laihi wasallam ne mujhe teen baato ki waseeyat farmayee jo main in sha Allah kabhi nahi chorhunga , pahla Chasht (Duha) ki namaz padhne ki aur dusra sone se pahle witr ki namaz ada kar lene ki aur teesra har mahine 3 din roza rakhne ki
Sunan Nasaii, Jild 2, 315 -Sahih
----------
✦ उस्मान बिन हकीम अंसारी रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की उन्होने सईद बिन ज़ुबेर रदी अल्लाहु अल्लाहू अन्हु से रजब के रोज़ो के बारे में पूछा और ये सवाल रजब के महीने में ही किया तो उन्होने कहा की मैने इब्न अब्बास रदी अल्लाहू अन्हु से सुना की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहु अलैही वसल्लम (लगातार) रोज़ रखते थे और इतने रखते थे की हम समझते थे की अब ईफ्तार नही करेंगे , और ईफ्तार करते थे यहा तक की हम समझते अब रोज़े नही रखेंगे
सही मुस्लिम , जिल्द 3 , 2726

✦ अबू ज़र रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहु अलैही वसल्लम ने मुझे तीन बातो की वसीयत फरमाई जो मैं इन-शा-अल्लाह कभी नही छोडूंगा , पहला चाश्त (दूहा) की नमाज़ पढ़ने की और दूसरा सोने से पहले वित्र की नमाज़ अदा कर लेने की और तीसरा हर महीने 3 दिन रोज़ा रखने की
सुनन नसाई, जिल्द 2, 315 -सही
----------
✦ Uthman b. Hakim al-Ansari Radi allahu anhu said I asked Sa'id b. Jubair radi allahu amhu about fasting In Rajab, and we were then passing through the month of Rajab, whereupon he said: I heard Ibn 'Abbas (Allah be pleased with both of them) as saying: The Messenger of Allah (ﷺ) used to observe fast (so continuously) that we (were inclined) to say that he would not break (them) and did not observe them so conti- nuously) that we (were inclined to say) that he would not observe fast. - 
Sahih Muslim, Book 6, 2585
✦ It was narrated that Abu Dharr said: My beloved Prophet advised me to do three things which I will never give up, if Allah wills. He advised me to pray Duha, to pray Witr before sleeping, and to fast three days of each month."
Sunan Nasaii, Book 22, 2406-Sahih
__._,_.___