Thursday, 11 August 2016

Taraweeh ki namaz ki shuruaat

✦ Urwa bin Zubair Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ayesha radi allahu Anha ne farmaya ek baar (Ramadan ki ) aadhi raat mein Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam masjid mein tashreef le gaye aur wahan (taraweeh ki) namaz padi, sahaba Radi Allahu Anhuma bhi aapkey saath namaz mein shamil ho gaye, subah huyee to unhoney uska charcha kiya.
✦ Phir dusri raat mein log pahle se bhi zyada shamil ho gaye, aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath namaz padhi. Dusri subah ko aur zyada charcha hua to
✦ teesri raat us sey bhi zyada log jama ho gaye , Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne (us raat bhi) namaz padi aur logo ne aapki pairwi ki,
✦ Chothi raat ko ye aalam tha ki masjid mein namaz padney aaney walo ke liye jagah bhi baqi nahi rahi ( magar us raat Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Namaz ke liye bahar hi nahi aaye) bulki subah namaz ke liye tashreef laye aur jab namz pad li to logo ki taraf mutwajja hojar shahadat ke baad farmaya Amma baad tumharey yahan jama honey ka mujhe ilm tha lekin mujhe iska khauff hua ki ye namaz tum par farz na ho jaye aur phir tum usey ada na kar sako Aur jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam is duniya se rukhsat ho gaye to uskey baad bhi yahi kaifiyat rahi ( log alag alag taraweeh padte rahe ) 
Sahih Bukhari, Vol 3, 2012 
--------------

✦ उरवा बिन ज़ुबैर रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की आईशा रदी अल्लाहू अन्हा ने फरमाया एक बार (रमजान की ) आधी रात में रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम मस्जिद में तशरीफ़ ले गये और वहाँ ( तरावीह की ) नमाज़ पड़ी, सहाबा रदी अल्लाहू अन्हुमा भी आपके साथ नमाज़ में शामिल हो गये,
✦ सुबह हुई तो उन्होने उसका चर्चा किया फिर दूसरी रात में लोग पहले से भी ज़्यादा शामिल हो गये, और आप सलअल्लाहू अलैही वसल्लम के साथ नमाज़ पढ़ी.
✦ दूसरी सुबह को और ज़्यादा चर्चा हुआ तो तीसरी रात उस से भी ज़्यादा लोग जमा हो गये , आप सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने (उस रात भी) नमाज़ पड़ी और लोगो ने आपकी पैरवी की,
✦ चोथी रात को ये आलम था की मस्जिद में नमाज़ पड़ने आने वालो के लिए जगह भी बाक़ी नही रही ( मगर उस रात आप सलअल्लाहू अलैही वसल्लम नमाज़ के लिए बाहर ही नही आए) बल्की सुबह नमाज़ के लिए तशरीफ़ लाए और जब नमाज़ पढ़ ली तो लोगो की तरफ मुतवज्जा होजर शहादत के बाद फरमाया अम्मा बाद तुम्हारे यहाँ जमा होना का मुझे इल्म था लेकिन मुझे इसका ख़ौफ्फ हुआ की ये नमाज़ तुम पर फ़र्ज़ ना हो जाए और फिर तुम उसे अदा ना कर सको और जब आप सलअल्लाहू अलैही वसल्लम इस दुनिया से रुखसत हो गये तो उसके बाद भी यही कैफियत रही ( लोग अलग अलग तरावीह पढ़ते रहे ) 
सही बुखारी,जिल्द 3, 2012

----------------------

Narrated Urwa Radi Allahu Anhu That he was informed by Aisha Radi Allahu Anha, Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam went out in the middle of the night and prayed in the mosque and some men prayed behind him.

✦ In the morning, the people spoke about it and then a large number of them gathered and prayed behind him (on the second night). In the next morning the people again talked about it and 

✦ on the third night the mosque was full with a large number of people. Allah's Messenger Sal-Allahu alaihi wasallam came out and the people prayed behind him. 

✦ On the fourth night the Mosque was overwhelmed with people and could not accommodate them, but the Prophet Sal-Allahu alaihi wasallam came out (only) for the morning prayer. When the morning prayer was finished he recited Tashah-hud and (addressing the people) said, "Amma ba'du, your presence was not hidden from me but I was afraid lest the night prayer (Qiyam) should be enjoined on you and you might not be able to carry it on." So, Allah's Apostle passed away and the situation remained like that (i.e. people prayed individually). " 
Sahih Bukhari, Vol. 3, Book 32, 229
__._,_.___

No comments:

Post a Comment