Saturday 12 March 2016

Musalman wo hai jo musalman ko Apni Zuban aur haath se (Takleef pahunchne se) mahfooz rakhe

✦ Hadith: Musalman wo hai jo musalman ko Apni Zuban aur haath se (Takleef pahunchne se) mahfooz rakhe

Bismillahirrahmanirrahim 



✦ Hadith: Musalman wo hai jo musalman ko Apni Zuban aur haath se 
(Takleef pahunchne se) mahfooz rakhe

--------------

✦ Abdullah bin Amr bin al-As Radi allahu anhu se rivayat hai ki Ek
 shakhs ne Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam se pucha ki kaunsa musalman behtar hai ? to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya wo musalman jiski zuban aur haath se dusre musalnman mehfooz ho (yani zuban se na kisi musalman
 ki burayee kare aur na haath se kisi ko takleef de)

Sahih Muslim, Jild 1, 161



✦ Abdullah bin Amr Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Musalman wo hai jo musalman ko Apni Zuban aur haath se (Takleef pahunchney se) mahfooz rakhe aur Muhajir wo hai jo un
 cheezon se ruk jaye jis se ALLAH ne mana kiya. 

Sahih bukhari, Vol 7 , 6484



✦ Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya momeen dusre momeen ka aaeena hai, aur momeen dusre momeen ka bhai hai jo nuksaan ko us se dur karta hai aur uski gair
 mojudgi mein uski hifazat karta hai

Sunan Abu Dawud, Vol 3, 1486 ( Hasan)

--------------

✦ अब्दुल्लाह बिन अम्र बिन अल-आस रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की एक शख्स ने रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम से पूछा की कौनसा मुसलमान बेहतर है ? तो आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया वो मुसलमान जिसकी ज़ुबान और हाथ से दुसरे मुसलनमान महफूज़ हो (यानी ज़ुबान से ना किसी मुसलमान की बुराई करे और ना हाथ से किसी को तकलीफ़ दे)

सही मुस्लिम, जिल्द 1, 161



✦ अब्दुल्लाह बिन अम्र रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया मुसलमान वो है जो मुसलमान को अपनी ज़ुबान और हाथ से (तकलीफ़ पहुँचने से) महफूज़ रखे और मुहाजिर वो है जो उन चीज़ों से रुक जाए जिस से अल्लाह ने माना किया. 

सही बुखारी, जिल्द 7 , 6484



✦ अबू हुरैरा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया मोमीन दूसरे मोमीन का आईना है, और मोमीन दूसरे मोमीन का भाई है जो नुकसान को उस से दूर करता है और उसकी गैर मोजूद्गी में उसकी हिफ़ाज़त करता है

सुनन अबू दाऊद, जिल्द 3, 1486 ( हसन)

--------------



✦ Abdullah bin Amr bin al-As is reported to have said:

A person asked the Messenger of Allah (may peace and blessings be upon him) who amongst
 the Muslims is better. Upon this (the Holy Prophet) remarked: From whose hand and tongue 
the Muslims are safe.

Sahih Muslim, Book 1, 64



✦ Narrated Abdullah bin Amr Radi allahu anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam 
said A Muslim is the one who avoids harming Muslims with his tongue or his hands. And a
 Muhajir (an emigrant) is the one
who gives up (abandons) all what ALLAH has forbidden

Sahih Bukhari, Book 76, 491



✦ Narrated AbuHurayrah Radi Allahu Anhu : The Prophet peace_be_upon_him 
said: The believer is  the believer's mirror, and the believer is the believer's brother who 
guardshim against loss and protects him when he is absent. 

Hadith Abu Dawud, Book 41, 4900: ( Hasan)
__._,_.___

No comments:

Post a Comment