Monday, 13 June 2016

Mafhum-e-Hadith: Fatima (Radi allahu anha) ka darja


Bismillah-irahman-Nirrahim

Mafhum-e-Hadith:  Fatima (Radi allahu  anha)  ka darja

Al-Miswar bin Makhrama Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Fatima mere Jism ka ek tukda hai jisney usey naraz kiya usney mujhe naraz kiya.
Sahih Bukhari, Vol 5, 3767
---------------------
अल-मीस्वा  बिन मखरमा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूलअल्लाह सललल्लाहू अलैही वसल्लम  ने फरमाया फ़ातिमा मेरे जिस्म का एक टुकड़ा है जिसने उसे नाराज़ किया उसने मुझे नाराज़ किया.

सही बुखारी, जिल्द 5, 3767
---------------------
Narrated Al-Miswar bin Makhrama Radi Allahu Anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Fatima is a part of me, and whoever makes her angry, makes me angry."
Sahih Bukhari,  Book 57, # 111
__._,_.___

Hadith: Hasan aur Hussain Radi Allahu Anhuma Duniya mein mere Do khshubudar phool hain


BismillahirrahmanNirrahim

Hadith:  Hasan  aur Hussain  Radi Allahu Anhuma Duniya mein mere Do khshubudar phool hain

Ibn Abi Nu'm se rivayat hai ki ek shaksh ne Abdullah bin umar radi allahu Anhuma se pucha ki agar koi shaksh (ehraam ki halat mein) makhkhi maar de to uska kaffara kya hoga is par Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu ne farmaya Iraq ke log makhkhi ke baarey mein sawal kartey hain jabki yahi log Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ke nawasey ko Qatl kar chukey hain jinkey baarey mein Rasoollallah Sallallahu Alaihi  ne farmaya tha ki ye dono (Hasan aur Hussain Radi Allahu Anhuma) Duniya mein mere Do khshubudar phool hain
Sahih Bukhari,  Vol 5, 3753
-----------------------
इब्न अबी नूम से रिवायत है की एक शख्स  ने अब्दुल्लाह बिन उमर रदी अल्लाहू अन्हुमा से पूछा की अगर कोई शख्स  (एहराम की हालत में) मक्खी मार दे तो उसका कफ़्फ़रा क्या होगा इस पर अब्दुल्लाह बिन उमर रदी अल्लाहू अन्हु ने फरमाया इराक़ के लोग मक्खी के बारे में सवाल करते हैं जबकि यही लोग रसूलअल्लाह सललल्लाहू अलैही वसल्लम  के नवासे को क़त्ल कर चुके हैं जिनके बारे में  रसूलअल्लाह सललल्लाहू अलैही वसल्लम  ने फरमाया था की ये दोनो (हसन और हूसेन रदी अल्लाहू अन्हुमा) दुनिया में मेरे दो खुशबूदार  फूल हैं

सही बुखारी,  जिल्द 5, 3753
-----------------------
Narrated Ibn Abi Nu'm radi allahu anhu : A person asked 'Abdullah bin 'Umar radi allahu anhu whether a Muslim could kill flies. I heard him saying (in reply). "The people of Iraq are asking about the killing of flies while they themselves murdered the son of the daughter of Allah's Apostle  Peace be upon him. About whome  the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, They ( Hasan and Husain Radi Allahu Anhuma) are my two sweet basils (smelling flowers)  in this world." 
Sahih Bukhari, Book #57, Hadith #96
__._,_.___

Hadith: Jo shaksh apne rukhsar peete, girebaan phade wo hum mein se nahi hai

BismillahirRahmannirRahim 

Hadith: Jo shaksh apne rukhsar peete, girebaan phade wo hum mein se nahi hai
-----------
Abdullah bin masood Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya jo shaksh apney rukhsar peetey, girebaan phadey ( kapde phaadey) aur jahiliyat ke zamaney ki tarah baatain karey wo hum mein se nahi hai
Sahih Bukhari, Vol2, 1297
-----------
अब्दुल्लाह बिन मसूद रदी-अल्लाहू-अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जो शख्स अपने रुखसार पीटे, गिरेबान फाड़े ( कपड़े फाड़े)और जाहिलियत के ज़माने की तरह बातें करे वो हम में से नही है
सही बुखारी, जिल्द 2, 1297
-----------
Narrated Abdullah bin masood may Allah be pleased with him the Prophet Peace be upon him said He who slaps his cheeks, tears his clothes and follows the ways and traditions of the Days of Ignorance is not one of us.
Sahih Bukhari, , Book #23, Hadith #382
__._,_.___