Friday 13 January 2017

Eh Imaan walo Allah se daro aur uski taraf waseela

Bismillahirrahmanirrahim 

✦ Al Quran : Eh Imaan walo Allah se daro aur uski taraf waseela ( yani uska qurb) talash karo aur Allah ki raah mein Jihad karo taaki tum kaamyab ho jao
Surah Al-Maaida (5), Aayat 35

Hadith: Anas bin malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki jab kabhi hazrat Umar Radi Allahu Anhu ke zamane mein Qahat parhta to Umar Radi Allahu Anhu Hazrat Abbas bin Abdul Mutlib ke waseeley se dua kartey aur farmatey ki Eh ALLAH Pahley hum tere pass tere Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam ka waseela laya kartey they to tu paani barsata tha ab hum apney Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke chacha ko waseela banatey hain to tu hum par pani barsa Anas Radhi Allahu Anhu ne kaha ki phir barish khub barasti
Sahih Bukhari, vol 2, 1010
------------------
✦ अल क़ुरान : एह ईमान वालो अल्लाह से डरो और उसकी तरफ वसीला ( यानी उसका क़ुर्ब) तलाश करो और अल्लाह की राह में जिहाद करो ताकि तुम कामयाब हो जाओ
सुराह अल-माइदा (5), आयत 35

✦ हदीस : अनस बिन मलिक रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की जब कभी हज़रत उमर रदी अल्लाहू अन्हु के ज़माने में कहत (अकाल या सुखा )पड़ता तो उमर रदी अल्लाहू अन्हु हज़रत अब्बास बिन अब्दुल मुतालिब रदी अल्लाहू अन्हु के वसीले से दुआ करते और फरमाते की एह अल्लाह पहले हम तेरे पास तेरे नबी सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम का वसीला लाया करते थे तो तू पानी बरसाता था अब हम अपने नबी सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम के चाचा को वसीला बनाते हैं तो तू हम पर पानी बरसा अनस रदी अल्लाहू अन्हु ने कहा की फिर बारिश खूब बरसती
सही बुखारी, जिल्द 2, 1010
------------------------------------

✦ Al Quran : O you who believe! Do your duty to Allah and fear Him. And seek the means of approach to Him, and strive hard in His Cause so that you may be successful.
Surah Al-Maaida (5), Verse 35

Hadith: Narrated Anas Radhi Allahu Anhu Whenever drought threatened them, 'Umar bin Al-Khattab, used to ask Al-Abbas bin 'Abdul Muttalib to invoke ALLAH for rain. He used to say, "O ALLAH! We used to ask our Prophet Peace be upon him to invoke You for rain, and You would bless us with rain, and now we ask his uncle to invoke You for rain. O ALLAH ! Bless us with rain."And so it would rain.
Sahih Bukhari, Book 17, 123
__._,_.___

No comments:

Post a Comment