Monday 12 September 2016

Alhamdulillah wa SubhanAllah wa La ilaha illAllah wa Allahu akbar kahne ki fazilat

Ek aadmi apne aur apne gharwalo ki taraf se ek bakra Qurbani karta

Bismillahirrahmanirrahim

✦ Mafhum-e-Hadith :  Ek aadmi apne aur apne gharwalo ki taraf se ek bakra Qurbani karta 
------------------------
✦ Ata ibn yasar bayan karte hain ki maine Abu Ayyub ansari radi allahu se pucha ki Rasool-Allah Sallallahu alaihi wasallam ke zamane mein Qurbani kaise hua karti thi to unhone farmaya ki ek aadmi apne aur apne gharwalo ki taraf se ek bakri (ya ek bakra) Qurbani kiya karta tha  jismein wo khud bhi khate aur dusro ko bhi khilate , yaha tak ki log ek dusre par fakhr karne lag gaye aur haal waise ho gaya jaisa aajkal aap dekh rahe (yani ek ghar mein ek se zyada Qurabani karne lag gaye)
Jamia tirmizi, Jild 2,1545-Sahih
---------------------
✦ अता  इब्न यासिर  बयान करते हैं की मैने अबू अय्यूब अंसारी रदी अल्लाहू से पूछा की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम  के ज़माने में क़ुर्बानी कैसे हुआ करती थी तो उन्होने फरमाया की एक आदमी अपने और अपने घरवालों  की तरफ से एक बकरी (या एक बकरा) क़ुर्बानी किया करता था  जिसमें वो खुद भी खाते और दूसरो को भी खिलाते ,यहाँ  तक की लोग एक दूसरे पर फख्र करने लग गये और हाल वैसा  हो गया जैसा आजकल आप देख रहे (यानी एक घर में एक से ज़्यादा क़ुरबानी करने लग गये)
जामिया तिरमिज़ी, जिल्द 2 , 1545-सही
---------------------
✦ Narrated Ata bin Yasar Radi Allahu anhu I asked Abu Abyub Al-Ansari radi allahu anhu how the slaughtering was done during the time of the Messenger of Allah (ﷺ). He said: 'A man would sacrifice a sheep for himself and the people in his household. They would eat from it and feed others, until the people (later) would boast about it and it became as you see now."
Jamia Tirmizi, Book 17, 1505-Sahih
__._,_.___

Qurbani ki dua

✦ Qurbani ki dua ✦ 

---------------------

إِنِّي وَجَّهْتُ وَجْهِيَ لِلَّذِي فَطَرَ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضَ حَنِيفًا وَمَا أَنَا مِنَ الْمُشْرِكِينَ
إِنَّ صَلاَتِي وَنُسُكِي وَمَحْيَاىَ وَمَمَاتِي
لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ
لاَ شَرِيكَ لَهُ وَبِذَلِكَ أُمِرْتُ وَأَنَا أَوَّلُ الْمُسْلِمِينَ
اللَّهُمَّ مِنْكَ وَلَكَ عَنْ مُحَمَّدٍ وَأُمَّتِهِ

(بِسْمِ اللَّهِ وَاللَّهُ أَكْبَرُ)
 
(Note : Muhammadiw wa ummatihi ki jagah jiski taraf se Qurbani ho uska naam le 
aur agar apni khud ki ho to Aan ki jagah Anni kahe )
---------------------
✦ Jabir bin Abdullah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah salalalhu alaihi wasallam ne eid ke din do maindho ki Qurbani ki, jab Aap sal-Allahu alaihi wasallam unko Qibla rukh kiya to ye kalimat irsad farmaye
"inni wajjahtu wajhiya Lillazi Fataras samawaati wal arda 
hanifaw wamaa ana minal mushrikeen. inna-Salaati Wa Nusuki Wa Mahyaya
Wa Mamati Lillahi Rabbil A'lameen.
La sharika lahu Wa bizaalika umirtu Wa Ana 
awwalu minal muslimeen. Allahumma Minka Wa laka Aan Muhammadiw wa ummatihi" (Bismillahi Wa-Allahu Akbar)
(Note : Muhammadiw wa ummatihi ki jagah jiski taraf se Qurbani ho uska naam le 
aur agar apni khud ki ho to Aan ki jagah Anni kahe )
Sunan Ibn majah, Jild 3, Hadith 2-Hasan
---------------------
✦ Tarjuma : Main Apna rukh us zaat ki taraf karta hu jisne aasman aur zameen
ko paida farmaya aur aur main shirk karne walon mein se nahi hu 
bila shuba meri namaz aur meri qurbani aur mera Jeena aur mera 
marna sab Allah-Rabbul-Aalameen ke liye hai jiska koi sharik nahi hai 
aur mujhe isee ka hukm diya gaya hai aur main sabse pahle islam lane walo 
mein se hu , Eh Allah ye Qurbani teri hi Ata se hai aur teri hi raza ke liye hai, 
Muhammad (Sal-Allahu Alaihi Wasallam) aur unki ummat ki taraf se
(Allah ke naam ke saath aur Allah sabse bada hai)
Sunan Ibn majah, Jild 3, Hadith 2-Hasan
---------------------
✦ जाबिर बिन अब्दुल्लाह रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सललल्लाहु अलैही वसल्लम ने ईद के दिन दो भेड़ों की क़ुर्बानी की, जब आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने उनको क़िब्ला रुख़ किया तो ये कलिमात ईरशाद फरमाये
" ईन्नी वज्जहतू वजहीया लिललज़ी फातारस समावाती वल अरदा हनीफव वमा अना मीनल मुशरीकिन, इन्ना सलाती वा नुसुकी वा महयाया वा मामाती लिल्लाही रबबील आलमीन, 
ला शरीका लहू वा बिज़ालिका उमीरतू वा अना अव्वलू मीनल मुसलीमीन, 
अल्लहुम्मा मिनका वा लका अन मुहम्मदिव व उम्मातिही ( बिस्मिल्लही वा अल्लाहू अकबर )
(मुहम्मदिव व उम्मातिही की जगह जिसकी तरफ से क़ुरबानी हो उसका नाम ले और अपनी तरफ से हो तो वा लका अन्नी कहे ) 
सुनन इब्न माज़ा , जिल्द 3 , हदीस 2 - हसन
---------------------
✦ Dua for Sacrifice An Animal ✦ 
-----------------------
It was narrated that Jabir bin Abdullah radi alahu anhu said: 
“The Messenger of Allah Sal-Allahu alaihi wasallam sacrificed two 
rams on the Day of Eid. When he turned them to face towards 
the prayer direction he said:
"inni wajjahtu wajhiya Lillazi Fataras samawaati wal arda 
hanifaw wamaa ana minal mushrikeen. inna-Salaati Wa Nusuki Wa Mahyaya Wa Mamati Lillahi Rabbil A'lameen. La sharika lahu Wa bizaalika umirtu Wa Ana awwalu minal muslimeen. 
Allahumma Minka Wa laka Aan Muhammadiw wa ummatihi "
(Bismillahi Wa-Allahu Akbar)
Sunan Ibn majah, Book 26, Hadith 3121-Hasan

( Note : In place of "Muhammad and his nation" you should mention the name of the person on whose behalf the sacrifice is being done)
---------------------------------
Translation: ‘Verily, I have turned my face towards Him Who has created the heavens and the earth, as a monotheist, and I am not of the polytheists. Verily, my prayer, my sacrifice, my living, and my dying are for Allah, the Lord of all that exists. He has no partner. And of this I have been commanded, and I am the first of the Muslims O Allah, from You to You, on behalf of Muhammad and his nation.’”(In the name of ALLAH, Allah is Greatest)
__._,_.___

Mafhum-e-Hadith: Chaar tarah ke jaanwar Qurbani ke liye nahi lene chahiye

Bismillahirrahmanirrahim 

Mafhum-e-Hadith: Chaar tarah ke jaanwar Qurbani ke liye nahi lene chahiye -

✦ Al-Bara' ibn Azib Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Qurbani ke liye chaar tarah ke jaanwar durast nahi hai 
1. Wo jiska kaanapan ya bhaingapan bilkul zahir ho, 
2. dusra wo jo dekhney se hi beemar lagta ho,
3. teesra wo jiska langdapan bilkul zahir ho, 
4. aur chotha wo jo budha aur bilkul kamjor ho jiski haddiyon mein Gooda na ho
Sunan Abu Dawud, Vol 2 1029-Sahih
----------------------
✦ अल बरा इब्न अजीब रदी अल्लाहु अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल्लल्लाहु अलैही वसल्लम ने फ़रमाया कुर्बानी के लिये चार तरह के 
जानवर दुरुस्त  नही हैं 
1. वो जिसका कानापन या भैंगापन बिल्कुल ज़ाहिर हो, 
2. दूसरा वो जो देखने से बीमार लगता हो  
3. तीसरा वो जिसका लंगड़ापन  बिल्कुल ज़ाहिर हो, 
4. और चौथा वो बुढ़ा और कमजोर जानवर जिसकी हड्डियों में गुदा न हो   
सुनन अबू दाउद , जिल्द 2,1029 सही 
------------------------
✦ Narrated Al-Bara' ibn Azib Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said Four (types of animals) should be avoided in sacrifice: 
1. A One-eyed animal which has obviously lost the sight of one eye, 
2. A sick animal which is obviously sick, 
3. A lame animal which obviously limps and 
4. An animal with a broken leg with no marrow. 
Sunan Abu Dawud, Book 15, Number 2796 -Sahih
__._,_.___