Sunday, 31 January 2016

Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam



 Bismillahirrahmanirrahim 



Part 13 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

------------------


✦ Anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam Jumaa ke din khutba de rahe they ki ek Sahabi khade huye aur kahne lage ki Ya Rasool-Allah Sal- Sallallahu Alaihi Wasallam Allah se dua farma dijiye ki hamarey liye barish baras jaye ( Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne dua farma di) aasman par baadal cha gaye aur barish barasne lagi, ye haal ho gaya ki hamare liye ghar tak pahuchna mushkil tha, ye baarish agle juma tak hoti rahi phir wohi sahabi ya dusre sahabi agli jumaa ko khade huye aur farmaya ki Allah se dua kijiye baarish band kar de hum to dub gaye, Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne dua ki Eh Allah hamare charon taraf ki Bastiyon ko sairab kar aur hum par baarish band kar de aur baadal tukde hokar madine ke charon taraf bastiyon mein chala gaya aur madine walon par baarish ruk gayee

Sahih Bukhari, Vol7, 6342



✦ Anas bin malik Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya main qayamat ke din jannat ke darwaze par aaunga aur darwaza khulwaunga to jannat ka chokidar ( andar se) puchega ki Aap kaun hain to main kahunga ki main Muhammad Sal-Allahu Alaihi Wasallam hu to wo kahega ki Aap hi ke liye mujhe hukm diya gaya tha ki aapse pahle kisi ke liye darwaza na kholna

Sahih Muslim, Vol 1, 486




------------------

✦ अनस रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ज़ूमा के दिन ख़ुतबा दे रहे थे की एक सहाबी खड़े हुए और कहने लगे की या रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम अल्लाह से दुआ फरमा दीजिए की हमारे लिए बारिश बरस जाए ( आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने दुआ फरमा दी आसमान पर बादल छा गये और बारिश बरसने लगी, ये हाल हो गया की हमारे लिए घर तक पहुंचना मुश्किल था, ये बारिश अगले ज़ूमा तक होती रही फिर वो ही सहाबी या दूसरे साहबी अगली ज़ूमा को खड़े हुए और फरमाया की अल्लाह से दुआ कीजिए बारिश बंद कर दे हम तो डूब गये, रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने दुआ की एह अल्लाह हमारे चारों तरफ की बस्तियों को सैराब कर और हम पर बारिश बंद कर दे और बादल टुकड़े होकर मदीने के चारों तरफ बस्तियों में चला गया और मदीने वालों पर बारिश रुक गयी


सही बुखारी, जिल्द 7, 6342



✦ अनस बिन मलिक रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया मैं क़यामत के दिन जन्नत के दरवाज़े पर आऊंगा और दरवाज़ा खुलवाऊंगा तो जन्नत का चोकीदार (अन्दर से ) पूछेगा की आप कौन हैं तो मैं कहूँगा की मैं मुहम्मद सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम हूँ तो वो कहेगा की आप ही के लिए मुझे हुक्म दिया गया था की आपसे पहले किसी के लिए दरवाज़ा ना खोलना

सही मुस्लिम, जिल्द 1, 486

-------------------------



Narrated Anas Radi Allahu Anhu : While the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam was delivering a sermon on a Friday, a man stood up and said, "O Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam Invoke Allah to bless us with rain." (The Prophet invoked Allah for rain.) So, the sky became overcast and it started raining till one could hardly reach one's home. It kept on raining till the next Friday when the same man or another man got up and said (to the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam ), "Invoke Allah to withhold the rain from us, for we have been drowned (with heavy rain )." The Prophet said, "O Allah! Let it rain around us and not on us." Then the clouds started dispersing around Medina and rain ceased to fall on the people of Medina.

Sahih Bukhari, Volume 8, Book 75, Number 353:



Anas bin Malik Radhi allahu anhu reported:

The Messenger of Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: I will come to the gate of Paradise on the Day of Resurrection. and would seek its opening. and the keeper would say: Who are you? I would say: Muhammad Sal-Allahu Alaihi Wasallam . He would then say: It is for you that I have been ordered, and not to open it for anyone before you.

Sahih Muslim, Book 1, Hadith 384


Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam par durud bhejne ka sahi tareeqa



Bismillahirrahmanirrahim
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam par durud bhejne ka sahi tareeqa 
-------------------------
✦ Abu Humaid As-Sa'idi Radiallahuanhu se rivayat hai ki logo ne pucha Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam hum Aap par kis tarah durud bheja karein Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya kaho

اللــــــــهم صل على محمد وعلى آل محمد كما صليت على إبراهيم وعلى آل إبراهيم إنك حميد مجيد
.اللـــــــهم بارك على محمد وعلى آل محمد كما باركت على إبراهيم وعلى آل إبراهيم إنك حميد مجيد

✦ Allahumma salli ala muhammad wa ala aali muhammad kamaa sallaita ala ibrahima wa ala aali ibrahima innaka hamidum majid.
Allahumma baarik ala muhammad wa ala aali muhammad kamaa baarakta ala ibrahima wa ala aali ibrahima innaka hamidum majid.
Sahih Bukhari, Vol 4, 3369
-------------------------
अल्लाहुम्मा सल्ली अला मुहम्मद वा अला आली मुहम्मद कमा सल्लयता अला इब्राहीमा
वा अला आली इब्राहीमा इन्नका हमिदुम माजिद .
अल्लाहुम्मा बारीक अला मुहम्मद वा अला आली मुहम्मद कमा बारकता अला इब्राहीमा वा अला आली इब्राहीमा इन्नका हमिदुम माजिद.
-------------------------
✦ Ya ALLAH Rahmat nazil farma Mohammad (Sallallaahu Alayhi Wasallam) par aur Aal-e-Muhammad (Sallallaahu Alayhi Wasallam) par, Jaise tu ne Rahmat nazil farmaaiyee hain Ibrahim Alaih salaam par aur Aulad e Ibrahim Alaih salaam par...Beshak Tu bade Rehmat Wala aur Badi Buzoorgi Wala hai
Ya ALLAH barkaat nazil farma Mohammad(Sallallaahu Alayhi Wasallam) par aur Aal-e-Muhammad (Sallallaahu Alayhi Wasallam) par, Jaise tu ne barkaat nazil farmaaiyee hain Ibrahim Alaih salaam par aur Aulaad e Ibrahim Alaih salaam par...Beshak Tu bade Rehmat Wala aur Badi Buzoorgi Wala hai
Sahih Bukhari, Vol 4,3369

jo chahe 5 rakaat witr padhe , jo chahe 3 rakaat witr padhe aur jo chahe 1 rakaat witr padhe



Bismillahirrahmanirrahim

✦ Hadith: jo chahe 5 rakaat witr padhe , jo chahe 3 rakaat witr padhe aur jo chahe 1 rakaat witr padhe
-------------------

✦ Ubay bin kaab Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam 3 rakaat witr padha kartey they pahli rakaat mein Surah Aala, dusri mein Surah Al-Kafirun aur teesri rakaat mein Surah Al-Ikhlas Tilawat farmate they, phir ruku se pahle Dua-e-Qunut padhte they aur jab farig hote to 3 baar Subhan Al-Malik Al Quddus padhte aur aakhri baar zara taweel padhte
SunanNasaii, Vol 1, 1702-Sahih

✦ Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasooll-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam har do rakaat par salam pherte aur ek rakat witr padhte
Sunan ibn Majah, Vol 1, 1177-Sahih

✦ Hazrat Ubayy bin Kab Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam jab witr padhtey to (Dua e) Qunut ruku se pahley padhte.
Sunan ibn Majah : Vol. 1, Hadith 1182 – Sahih

✦ Hazrat Anas bin malik Radi Allahu Anhu se subah ki namaz mein Qunut ke baare mein pucha gaya to unhone farmaya hum ruku se pahle aur ruku ke baad dono tarah se Qunut padh lete they
Sunan ibn Majah, Vol 1, 1183 - Hasan

✦ Abu Ayyub Al-Ansari Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Witr haq hai aur, jo chahe 5 rakaat witr padhe , jo chahe 3 rakaat witr padhe aur jo chahe 1 rakaat witr padhe
Sunan ibn Majah, Vol 1, 1190 – Sahih



-------------
✦ उबय बिन काब रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल्लअल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम 3 रकात वित्र पढ़ा करते थे पहली रकात में सुरह आला, दूसरी में सुरह अल-काफिरून और तीसरी रकात में सुरह अल-इख्लास तिलावत फरमाते थे, फिर रुकु से पहले दुआ-ए-क़ुनूत पढ़ते थे और जब फारिग होते तो 3 बार सुबहान अल-मलिक अल कुद्दुस पढ़ते और आखरी बार ज़रा तवील पढ़ते
सुनन नसाई , जिल्द 1, 1702-सही

✦ आईशा रदी अल्लाहू अन्हा से रिवायत है की रसूल्लअल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम हर दो रकात पर सलाम फेरते और एक रकात वित्र पढ़ते
सुनन इब्न माज़ा ,जिल्द 1, 1177-सही

✦ हज़रत उबय बिन कब रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल्लअल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम जब वित्र पढ़ते तो (दुआ ए) क़ुनूत रुकु से पहले पढ़ते.
सुनन इब्न माज़ा, जिल्द 1, 1182 –सही

✦ हज़रत अनस बिन मलिक रदी अल्लाहू अन्हु से सुबह की नमाज़ में क़ुनूत के बारे में पूछा गया तो उन्होने फरमाया हम रुकु से पहले और रुकु के बाद दोनो तरह से क़ुनूत पढ़ लेते थे- सुनन इब्न माज़ा ,जिल्द 1, 1183 - हसन

✦ अबू अय्यूब अल-अंसारी रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल्लअल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया वित्र हक़ है और, जो चाहे 5 रकात वित्र पढ़े , जो चाहे 3 रकात वित्र पढ़े और जो चाहे 1 रकात वित्र पढ़े- सुनन इब्न माज़ा , जिल्द 1, 1190 –सही

--------------------



✦ It was narrated from Ubayy bin Kab Radi Allahu Anhu that The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam used to pray witr with three rakahs. In the first he would recite: “Sabbah ismi Rabbikal aala-Surah Aala” in the second: Surah Al kafirun , and in the third: Surah Al-ikhlas And he would say the Qunut before bowing, and when he finished he would say: Subhanal-Malikil-Quddus (Glory be to the Sovereign, the Most Holy) three times, elongating the words the last time.
Sunan Nasaii , Vol. 2, Book 20, 1700-Sahih

✦ It was narrated that Aishah Radi Allahu Anha said: “The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam used to say Taslim after every two Rakah, and he would perform Witr with one Rakah.
Sunan ibn Majah, Book 5, 1177-Sahih

✦ It was narrated from Ubayy bin Ka’b that the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam used to pray Witr and he would recite Qunut before Ruku.
Sunan ibn Majah,Book 5, 1182 – Sahih

✦ It was narrated that Anas bin Malik said: He was asked about Qunut in the morning prayer, and he said: “We used to recite Qunut before Ruku and afterwards.
Sunan ibn Majah,Book 5, 1183 – Hasan

✦ It was narrated from Abu Ayyub Al-Ansari that the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: Witr is Haq Whoever wishes let him pray Witr with five (Rakah), and whoever wishes let him pray Witr with three (Rakah), and whoever wishes let him pray Witr with one (Rakah).
Sunan ibn Majah,Book 5, 1190 – Sahih