Bismillahirrahmanirrahim
Hadith Qudsi : Allah subhaanhu farmata hai mera banda farz Ada karne ke baad Nawafil ibaadat karke mujhse itna ziyada nazdeek ho jata hai ki main us se Muhabbat karne lag jata hu
---------------------------
Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Allah subhanahu farmata hai Jisne mere kisi wali se Dushmani ki usey meri taraf se Elan-e-Jung hai aur Mera banda jin jin ibadaton se Mera Qurb hasil karta hai (yani mere kareeb aata hai unmein se) koi ibaadat mujhko us se ziyada pasand nahi hai jo maine us par farz ki hai ( jaise Namaz Roza , Hajj , Zakat..) Aur mera banda farz Ada karne ke baad Nawafil ibaadat karke mujhse itna ziyada nazdeek ho jata hai ki main us se Muhabbat karne lag jata hu phir jab main us se Muhabbat karne lag jata hu to Main uska Kaan (ear) ban jata hu jis se wo sunta hai,uski Aankh ban jata hu jis se wo dekhta hai , uska haath ban jatahu jis se wo pakadta hai , uska paaw (leg) ban jata hu jis se wo chalta hai. Aur agar mujhse maangta hai to main usey deta hu, agar wo kisi Dushman ya shaitan se meri panaah ka talib hota hai to main usko Mehfooz rakhta hu Aur main jo kaam karna chahta hu usmein mujhe itna taraddud (hesitation) nahi hota jitna ki mujhe apne momeen bande ki Jaan nikalne mein hota hai wo to Maut ko pasand nahi karta aur mujhe bhi usko takleef dena achcha nahi lagta
Sahih Bukhari, Vol 7, 6502
----------------------
हदीस कुदसी : अबू हुरैरा रदी अल्लाहु अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल्लल्लाहु अलैही वसल्लम ने फरमाया अल्लाह सूबहानहु फरमाता है जिसने मेरे किसी वली से दुश्मनी की उसे मेरी तरफ से एलान-ए-जुंग है और मेरा बंदा जिन जिन इबादतों से मेरा कुर्ब हासिल करता है (यानि मेरे करीब आता है उनमें से) कोई ईबादत मुझको उस से ज़्यादा पसंद नही है जो मैने उस पर फ़र्ज़ की है (जैसे नमाज़,रोज़ा,हज, ज़कात..) और मेरा बंदा फ़र्ज़ अदा करने के बाद नवाफ़िल ईबादत करके मुझसे इतना ज़्यादा नज़दीक हो जाता है की मैं उस से मुहब्बत करने लग जाता हूँ फिर जब मैं उस से मुहब्बत करने लग जाता हू तो मैं उसका कान बन जाता हूँ जिस से वो सुनता है, उसकी आँख बन जाता हू जिस से वो देखता है , उसका हाथ बन जाता हू जिस से वो पकड़ता है , उसका पाँव बन जाता हूँ जिस से वो चलता है. और अगर मुझसे माँगता है तो मैं उसे देता हूँ , अगर वो किसी दुश्मन या शैतान से मेरी पनाह का तालिब होता है तो मैं उसको महफूज़ रखता हूँ
मैं जो काम करना चाहता हूँ उसमें मुझे इतना तरद्दुद (हेसिटेशन) नही होता जितना की मुझे अपने मोमीन बंदे की जान निकालने में होता है वो तो मौत को पसंद नही करता और मुझे भी उसको तकलीफ़ देना अच्छा नही लगता
सही बुखारी, जिल्द 7, 6502
----------------------------------
Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said that , "Allah Subhanahu said, 'I will declare war against him who shows hostility to a pious worshipper of Mine. And the most beloved things with which My slave comes nearer to Me, is what I have enjoined upon him;
And My slave keeps on coming closer to Me through performing Nawafil (praying or doing extra deeds besides what is obligatory) till I love him, so I become his sense of hearing with which he hears, and his sense of sight with which he sees, and his hand with which he grips, and his leg with which he walks; and if he asks Me, I will give him, and if he asks My protection (Refuge), I will protect him; (i.e. give him My Refuge) and I do not hesitate to do anything as I hesitate to take the soul of the believer, for he hates death, and I hate to disappoint him."
Sahih Bukhari, Book #76, Hadith #509
__._,_.___