Bismillahirrahmanirrahim Hadith: Tum Mein se jo shaksh koi buri baat dekhe aur usko apne haath se rok de to wo shaksh (zimme se) bari ho gaya
-------------
✦ Abu Saeed Khudri Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Tum Mein se jo shaksh koi buri baat dekhey aur usko apney haath se rok de to wo shaksh (zimmey se) bari ho gaya, agar usmein itni taqat na ho aur wo zuban se rokey to wo bari ho gaya , aur agar itni bhi taqat na ho to wo Dil se bura samjhey to wo bari ho gaya , ye imaan ka sabse kam darja hai.
Sunan Nasaii, Vol 3, 1310 –Sahih
-------------
✦ अबू सईद खुदरी रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया तुम में से जो शख्स कोई बुरी बात देखे और उसको अपने हाथ से रोक दे तो वो शख्स (ज़िम्मे से) बरी हो गया, अगर उसमें इतनी ताक़त ना हो और वो ज़ुबान से रोके तो वो बरी हो गया , और अगर इतनी भी ताक़त ना हो तो वो दिल से बुरा समझे तो वो बरी हो गया , ये ईमान का सबसे कम दर्जा है.
सुनन नसाई, जिल्द 3, 1310 –सही
-------------
✦ Abu Saeed Al-Khudri Radi allahu anhu said: I heard the Messenger of Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said whoever among you sees an evil and changes it with his hand, then he has done his duty. Whoever is unable to do that, but changes it with his tongue, then he has done his duty. Whoever is unable to do that, but changes it with his heart then he has done his duty, and that is the weakest of Faith.
Sunan Nasai ,Book 47, #5012 – Sahih