Sunday, 11 September 2016

Ghar se nikalte waqt ki dua aur uski ahmiyat

Bismillahirrahmanirrahim 


✦ Mafhum-e-Hadith: Ghar se nikalte waqt ki dua aur uski ahmiyat
-----------
✦ Anas bin malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab aadmi apne ghar se nikle aur ye dua padhe 

بِسْمِ اللَّهِ تَوَكَّلْتُ عَلَى اللَّهِ لاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ
Bismillahi tawakkaltu AlAllahi La haula wa La quwwata illa billah 
(Allah ke naam ke saath (ghar se nikalta hu) 
aur Allah hi par maine bharosa kiya gunaho se 
bachne aur neki karne ki taqat sirf Allah hee ki taraf se hai)
to usey (Allah ki taraf se) kaha jata hai ki tujhe hidayat di gayee, teri kifayat ki gayee aur teri hifazat ki gayee aur shaitan us se dur ho jata hai.

Aur dusra shaitan us se kahta hai ki us aadmi ke saath tera kya haal ho sakta hai jise hidayat di gayee ho, jiski kifayat ki gayee ho aur jiski hifazat ki gayee ho
Sunan Abu Dawud, jild 3, 1654-Sahih
-----------
✦ अनस बिन मलिक रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जब आदमी अपने घर से निकले और ये दुआ पढ़े 

بِسْمِ اللَّهِ تَوَكَّلْتُ عَلَى اللَّهِ لاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ

बिस्मिल्लाही तवक्कलतू अलअल्लाही ला हौवला वा ला क़ुव्वता इल्ला बिल्लाह 
(अल्लाह के नाम के साथ (घर से निकलता हूँ ) और अल्लाह ही पर मैने भरोसा किया गुनाहों से बचने और नेकी करने की ताक़त सिर्फ़ अल्लाह ही की तरफ से है)

तो उसे (अल्लाह की तरफ से) कहा जाता है की तुझे हिदायत दी गयी, तेरी किफायत की गयी और तेरी हिफ़ाज़त की गयी और शैतान उस से दूर हो जाता है, और दूसरा शैतान उस से कहता है की उस आदमी के साथ तेरा क्या हाल हो सकता है जिसे हिदायत दी गयी हो, जिसकी किफायत की गयी हो और जिसकी हिफ़ाज़त की गयी हो
सुनन अबू दाऊद, जिल्द 3, 1654-सही
-----------
✦ Dua while exit from home
-----------
✦ Narrated Anas ibn Malik Radi Allahu Anhu The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: When a man goes out of his house and says: 
بِسْمِ اللَّهِ تَوَكَّلْتُ عَلَى اللَّهِ لاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ
Bismillahi tawakkaltu AlAllahi La haula wa La quwwata illa billah 
"In the name of Allah, I trust in Allah; there is no might and no power but in Allah," 
the following will be said to him at that time: "You are guided, defended and protected." The devils will go far from him and another devil will say: How can you deal with a man who has been guided, defended and protected?
Sunan Abu Dawud, Book 42, 5076-Sahih
__._,_.___

Qayamat ke din sabse ziyada meri shafaat usey milegi jo sachche Dil se LA ILAHA ILLALLAH kahe

Bismilahirrahmanirrahim 

✦ Hadith : Qayamat ke din sabse ziyada meri shafaat usey milegi jo sachche Dil se LA ILAHA ILLALLAH kahe
----------------
✦ Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki unhoney Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam se arz kiya ki Qayamat ke din Aapki shafaat sabse ziyada kisey milegi to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmya Eh Abu Hurairah mujhe Yaqeen tha ki tumse pahle koi iske baare mein mujhse nahi puchega kyunki mainey haidth ke mutalliq tumhari hirs (tamanna) dekh li thi Suno Qayamat ke din sabse ziyada meri shafaat usko naseeb hogi jo sachche Dil se LA ILAHA ILLALLAH kahe
Sahih Bukhari , Jild 1, 99 
----------
✦ अबू हुरैरा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की उन्होने रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम से अर्ज़ किया की क़यामत के दिन आपकी शफ़ाअत सबसे ज़ियादा किसे मिलेगी तो आप सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फ़रमाया एह अबू हुरैररा मुझे यक़ीन था की तुमसे पहले कोई इसके बारे में मुझसे नही पूछेगा क्यूंकी मैने हदीस के मुताल्लिक़ तुम्हारी हिर्स (तमन्ना) देख ली थी सुनो क़यामत के दिन सबसे ज़ियादा मेरी शफात उसको नसीब होगी जो सच्चे दिल से ला इलाहा इलअल्लाह कहे
सहीः बुखारी , जिल्द 1, 99 
----------
✦ Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu :I said: "O Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam ! Who will be the luckiest person, who will gain your intercession on the Day of Resurrection?" Allah's Apostle said: O Abu Huraira! "I have thought that none will ask me about it before you as I know your longing for the (learning of) Hadiths. The luckiest person who will have my intercession on the Day of Resurrection will be the one who said sincerely from the bottom of his heart LA ILAHA ILLALLAH (None has the right to be worshipped but Allah.) 
Sahih Bukhari, Book 3, Number 98
__._,_.___

Jo sharab peeye aur nashe mein mast ho jaye to uski namaz challis (40) roz tak Qubul nahi hogi

Bismilahirrahmanirrahim

 Hadith: Jo sharab peeye aur nashe mein mast ho jaye to uski namaz challis (40) roz tak Qubul nahi hogi
-----------------------
 Abdullah bin Amr Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jo sharab peeye aur nashe mein mast ho jaye to uski namaz challis (40) roz tak Qubul nahi hogi, aur agar wo us dauran mar gaya to dozakh mein jayega agar usne tauba kar li to Allah qubul farmayega.

 Aur phir dobara sharab peeye aur nashe mein mast ho jaye to uski namaz challis (40) roz tak Qubul nahi hogi, aur agar wo us dauran mar gaya to dozakh mein jayega agar usne tauba kar li to Allah qubul farmayega.

 Phir agar usne teesri baar phir sharab pee li to Allah subhanahu usko Qayamat ke din
Radgat-AlKhabal jarur peelayenge Sahaba Radi Allahu Anhu ne arz kiya ki eh Allah ke Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam Radgat Al Khabal kya cheez hai, farmaya dozakhiyo ka khoon aur peep.

Sunan ibn Maja, Jild 3, 258-Sahih


✦ अब्दुल्लाह बिन अम्र रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जो शराब पीए और नशे में मस्त हो जाए तो उसकी नमाज़ चालिस (40) रोज़ तक क़ुबूल नही होगीऔर अगर वो उस दौरान मर गया तो दोज़ख़ में जाएगा अगर उसने तौबा कर ली तो अल्लाह क़ुबूल फरमाएगा.
 ✦ और फिर दोबारा शराब पीए और नशे में मस्त हो जाए तो उसकी नमाज़ चलिस (40) रोज़ तक क़ुबूल नही होगीऔर अगर वो उस दौरान मर गया तो दोज़ख़ में जाएगा अगर उसने तौबा कर ली तो अल्लाह क़ुबूल फरमाएगा.
 ✦ फिर अगर उसने तीसरी बार फिर शराब पी ली तो अल्लाह सुबहानहू उसको क़यामत के दिन
रदगत-अलख़बाल ज़रूर पीलाएँगे सहाबा रदी अल्लाहू अन्हु ने अर्ज़ किया की एह अल्लाह के 
रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम  रदगत-अलख़बाल क्या चीज़ हैफरमाया दोज़ख़ियो का खून और पीप.

 सुनन इब्न माजाजिल्द 3, 258-सही

--------------
 It was narrated from Abdullah bin Amr that the Messenger of Allah () said  Whoever drinks wine and gets drunk, his prayer will not be accepted for forty days, and if he dies he will enter Hell, but if he repents, Allah will accept his repentance. If he drinks wine again and gets drunk, his prayer will not be accepted for forty days, and if he dies he will enter Hell, but if he repents, Allah will accept his repentance.

 If he drinks wine again and gets drunk, his prayer will not be accepted for forty days, and if he dies he will enter Hell, but if he repents Allah will accept his repentance.

 But if he does it again, then Allah will most certainly make him drink of the Radgat-AlKhabal (mire of the puss or sweat) on the Day of Resurrection. They said: O Messenger of Allah, what is the Radgat-AlKhabal (mire of the pus or sweat)? He Sal-Allahu Alaihi wasallam said The drippings of the people of Hell.

Sunan Ibn Maja, Book 30, 3377-Sahih

Maut ke waqt agar koi in teen baato se bari ho to wo jannat mein jayega

Bismillahirrahmanirrahim
✦ Hadith : Maut ke waqt agar koi in teen baato se bari ho to wo jannat mein jayega 
----------------
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ke aazad karda gulam Soban Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jiski rooh uske jism se aisee halat mein juda ho ki wo teen (3) baato se bari ho to wo Jannat mein dakhil hoga

1. Takabbur se
2. Maal e ganeemat mein khayanat se 
3. Qarz se
Sunan Ibn Majah, Jild 2, 569-Sahih
--------------
✦ रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम के आज़ाद किये हुए गुलाम सोबान रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जिसकी रूह उसके जिस्म से ऐसी हालत में जुदा हो की वो तीन (3) बातों से बरी हो तो वो जन्नत में दाखिल होगा 
1. तक़ब्बुर से, 
2. माल ए गनीमत में खयानत से , 
3. क़र्ज़ से
सुनन इब्न माजा, जिल्द 2, 569-सही
-----------
✦ it was narrated from Thawban, the freed slave of the Messenger of Allah (ﷺ), that the Messenger of Allah (ﷺ) said Anyone whose soul leaves his body and he is free of three things, will enter Paradise
1. Arrogance, 
2. Stealing from the spoils of war.
3. Debt.
Sunan Ibn majah, Book 15, 2412-Sahih
__._,_.___

Allah subhanahu Qayamat ke din usko jarur khush farma denge

Bismillahirrahmanirrahim
✦ Hadith : Allah subhanahu Qayamat ke din usko jarur khush farma denge 
-----------
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ke khadim, Abu Salam Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya Jo bhi musalman ya insaan (ya banda) subah sham ye kalimat kahe 
رَضِيتُ بِاللَّهِ رَبًّا وَبِالإِسْلاَمِ دِينًا وَبِمُحَمَّدٍ نَبِيًّا 
Radaitu billahi Rabban wa bil-Islami dinan wa bi Muhammadin nabiyyan
To Allah subhanahu Qayamat ke din usko jarur khush farma denge .
Tarjumah : main raazi hu Allah ke RABB hone par, Islam ke deen hone par aur Muhammad Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke Nabee hone par
Sunan Ibn Majah, Jild 3, 751-Sahih
-----------
✦ रसूल-अल्लाह साल-अल्लाहू अलैही वसल्लम के खादिम, अबू सलाम रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जो भी मुसलमान या इंसान (या बंदा) सुबह शाम ये कलिमात कहे 
रदयतू बिल्लाहि रब्बन वा बिल-इस्लामी दीनन वा बी मुहम्मदीन नबीययन
तो अल्लाह सुबहानहु उसको क़यामत के दिन ज़रूर खुश फरमा देंगे 
तर्जुमा : मैं राज़ी हूँ अल्लाह के रब होने पर, इस्लाम के दीन होने पर और मुहम्मद सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम के नबी होने पर
सुनन इब्न माजा, ज़ील्द 3, 751-सही
-----------
✦ It was narrated from Abu Salam, the servant of the Prophet Sal-Allahu Alaihi wasallam that :
The Prophet Sal-Allahu Alaihi wasallam said: "Any Muslim - or Any person, or Any slave (of Allah) - who says, in the morning and evening:
رَضِيتُ بِاللَّهِ رَبًّا وَبِالإِسْلاَمِ دِينًا وَبِمُحَمَّدٍ نَبِيًّا 
'Radaitu billahi Rabban wa bil-Islami dinan wa bi Muhammadin nabiyyan (I am content with Allah as my Lord, Islam as my religion and Muhammad as Sal-Allahu Alaihi Wasallam my Prophet) he will have a promise from Allah to make him pleased on the Day of Resurrection."
Sinan Ibn Maja, Book 34, 3870-Sahih

Ek aadmi apne aur apne gharwalo ki taraf se ek bakra Qurbani karta

Bismillahirrahmanirrahim

✦ Mafhum-e-Hadith :  Ek aadmi apne aur apne gharwalo ki taraf se ek bakra Qurbani karta 
------------------------
✦ Ata ibn yasar bayan karte hain ki maine Abu Ayyub ansari radi allahu se pucha ki Rasool-Allah Sallallahu alaihi wasallam ke zamane mein Qurbani kaise hua karti thi to unhone farmaya ki ek aadmi apne aur apne gharwalo ki taraf se ek bakri (ya ek bakra) Qurbani kiya karta tha  jismein wo khud bhi khate aur dusro ko bhi khilate , yaha tak ki log ek dusre par fakhr karne lag gaye aur haal waise ho gaya jaisa aajkal aap dekh rahe (yani ek ghar mein ek se zyada Qurabani karne lag gaye)
Jamia tirmizi, Jild 2,1545-Sahih
---------------------
✦ अता  इब्न यासिर  बयान करते हैं की मैने अबू अय्यूब अंसारी रदी अल्लाहू से पूछा की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम  के ज़माने में क़ुर्बानी कैसे हुआ करती थी तो उन्होने फरमाया की एक आदमी अपने और अपने घरवालों  की तरफ से एक बकरी (या एक बकरा) क़ुर्बानी किया करता था  जिसमें वो खुद भी खाते और दूसरो को भी खिलाते ,यहाँ  तक की लोग एक दूसरे पर फख्र करने लग गये और हाल वैसा  हो गया जैसा आजकल आप देख रहे (यानी एक घर में एक से ज़्यादा क़ुरबानी करने लग गये)
जामिया तिरमिज़ी, जिल्द 2 , 1545-सही
---------------------
✦ Narrated Ata bin Yasar Radi Allahu anhu I asked Abu Abyub Al-Ansari radi allahu anhu how the slaughtering was done during the time of the Messenger of Allah (ﷺ). He said: 'A man would sacrifice a sheep for himself and the people in his household. They would eat from it and feed others, until the people (later) would boast about it and it became as you see now."
Jamia Tirmizi, Book 17, 1505-Sahih
__._,_.___