Sunday 2 October 2016

Jannat ke khazano mein se ek khazana La hawla wa la Quwwata illa billah hai

Bismilahirrahmanirrahim 

✦ Hadith: Jannat ke khazano mein se ek khazana La hawla wa la Quwwata illa billah hai
-------------------------
✦ Abu Musa Ashari Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya 
Kya main aapko Jannat ke khazano mein se ek khazana batlauu ,maine kaha batalaeeye , Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya La hawla wa la Quwwata illa billah
Allah ki madad ke bagair gunah se bachne ki taqat aur Neki karne ki quwwat nahi 
لاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ 
Sahih Muslim, Jild 6, 6868
-------------------------------------
✦ अबू मूसा अशारी रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया 
क्या मैं आपको जन्नत के खज़ानों में से एक ख़ज़ाना बतलाऊं ,मैने कहा बतलाईए , आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया ला हौला वा ला कुव्वता इल्ला बिल्लाह
अल्लाह की मदद के बगैर गुनाह से बचने की ताक़त और नेकी करने की क़ुव्वत नही 
لاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ 
सही मुस्लिम, जिल्द 6, 6868
---------------------------------------

✦ Abu Musa Ash'ari reported that Allah's Messenger (ﷺ) said to him:
Should I not direct you Like a treasure from the treasures of Paradise?
I said: Of course, do that. Thereupon he said:" 
لاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ 
La hawla wa la Quwwata illa billah
(There is no might and no power but that of Allah.")
(is a treasure from the treasures of Paradise)
Sahih Muslim, Book 35, Hadith 6532
__._,_.___

jisne mere tareeqe se munh moda wo meri ummat mein se nahi

Bismilahirrahmanirrahim 

✦ Hadith : jisne mere tareeqe se munh moda wo meri ummat mein se nahi
------------
Hazrat Anas Radi Allahu Anhu ne kaha ki Nabee Sal-Allahu Alaihi wasallam ke chand sahaba ne Nabee Sal-Allahu Alaihi wasallam ki biwiyo se Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ki khufiya ibadat ka haal pucha yani jo ibadat Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ghar mein kiya karte they to ek ne unmein se kaha ki main ab kabhi aurto se nikah nahi karunga , kisi ne kaha ki main kabhi gosht nahi khauunga, kisi ne kaha ki main kabhi bistar par nahi souunga ( taaki Allah ki zyada ibadat kar sake) Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne Allah ki hamd bayan karne ke baad khutba padha aur farmaya ki kya haal hai un logo ka jo aisa kahne lage hain , jabki mera to ye haal hai ki main raat ko namaz bhi padhta hu aur so bhi jata hu aur roze bhi rakhta hu aur iftar bhi karta hu aur aurto se nikah bhi karta hu aur jisne mere tareeqe se munh moda wo meri ummat mein se nahi
Sahih Muslim, Jild 4, 3403
------------
✦ हदीस : हज़रत अनस रदी अल्लाहू अन्हु ने कहा की नबी सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम के कुछ सहाबा ने नबी सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम की बीवियों से आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम की ख़ुफ़िया इबादत का हाल पूछा यानी जो इबादत आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम घर में किया करते थे तो एक ने उनमें से कहा की मैं अब कभी औरतों से निकाह नही करूँगा , किसी ने कहा की मैं कभी गोश्त नही खाऊंगा , किसी ने कहा की मैं कभी बिस्तर पर नही सोऊंगा
( ताकि अल्लाह की ज़्यादा इबादत कर सके) आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने अल्लाह की हम्द बयान करने के बाद ख़ुतबा पढ़ा और फरमाया की क्या हाल है उन लोगों का जो ऐसा कहने लगे हैं , जबकि मेरा तो ये हाल है की मैं रात को नमाज़ भी पढ़ता हूँ और सो भी जाता हू और रोज़ भी रखता हूँ और इफ्तार भी करता हूँऔर औरतों से निकाह भी करता हूँ और जिसने मेरे तरीक़े से मुँह मोड़ा वो मेरी उम्मत में से नही
सही मुस्लिम, जिल्द 4, 3403
-----------
✦ Hadith: Anas (Allah be pleased with him) reported that some of the Companions of Allah's Apostle (ﷺ) asked his (the Prophet's) wives about the acts that he performed in private. Someone among them (among his Companions) said:
I will not marry women; someone among them said: I will not eat meat; and someone among them said: I will not lie down in bed.( So that we may worship Allah more ) He (the Holy Prophet ﷺ) praised Allah and glorified Him, and said: What has happened to these people that they say so and so, whereas I observe prayer and sleep too; I observe fast and suspend observing them; I marry women also? And he who turns away from my Sunnah, he has no relation with Me
Sahih Muslim, Book 8, 3236
__._,_.___

Sahih Bukari, Jild 6, 5031

Bismilahirrahmanirrahim 


✦ Hadith : Quran majeed ko padhte raha karo kyunki insaano ke dilo se dur ho jane mein wo oont ke bhagne se bhi badh kar hai
---------
✦ Ibn Umar radi allahu anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah sal-alalahu alaihi wasallam ne farmaya Hafiz e Quran ki misal rassi se bandhe huye oont ke malik ki tarah hai agar wo uski nigrani rakhega (yani padhta rahega) to wo usey rok sakega warna wo rassi tod kar bhag jayega 
Sahih Bukari, Jild 6, 5031

✦ Abdullah bin masood Radi allahu anhu ne bayan kiya ki Rasool-Allah sal-alalahu alaihi wasallam ne farmaya kisi shakhs ka ye kahna bahut bura hai ki main falah falah aayat bhul gaya bulki yu (kahna chahiye) ki mujhe falah aayat bhula di gayee, aur Quran majeed ko padhte raha karo kyunki insaano ke dilo se dur ho jane mein wo oont ke bhagne se bhi badh kar hai
Sahih Bukari, Jild 6, 5032
---------
✦ इब्न उमर रदी अल्लाहू अन्हुमा से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहु अलैही वसल्लम ने फरमाया हाफ़िज़ ए क़ुरान की मिसाल रस्सी से बँधे हुए ऊँट के मालिक की तरह है अगर वो उसकी निगरानी रखेगा (यानी पढ़ता रहेगा) तो वो उसे रोक सकेगा वरना वो रस्सी तोड़ कर भाग जाएगा 
सही बुखारी , जिल्द 6, 5031

✦ अब्दुल्लाह बिन मसूद रदी अल्लाहू अन्हु ने बयान किया की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहु अलैही वसल्लम ने फरमाया किसी शख्स का ये कहना बहुत बुरा है की मैं फ़लाह फ़लाह आयत भूल गया बल्कि यूँ (कहना चाहिए) की मुझे फ़लाह आयत भुला दी गयी, और क़ुरान मजीद को पढ़ते रहा करो क्यूंकी इंसानो के दिलों से दूर हो जाने में वो ऊँट के भागने से भी बढ़ कर है
सही बुखारी , जिल्द 6, 5032
-----------
✦ Narrated Abdullah Radi Allahu anhu The Prophet (ﷺ) said, "It is a bad thing that some of you say, 'I have forgotten such-and-such verse of the Qur'an,' for indeed, he has been caused (by Allah) to forget it. So you must keep on reciting the Qur'an because it escapes from the hearts of men faster than camel do."
Sahih Bukhari,Book 61, 550

✦ Narrated Ibn Umar radi allahu anhu Allah's Messenger (ﷺ) said, "The example of the person who knows the Qur'an by heart is like the owner of tied camels. If he keeps them tied, he will control them, but if he releases them, they will run away."
Sahih Bukhari, Book 61, 549
__._,_.___

Hadith : jo shakhs apna maal bachane ke liye maara jaye to wo shaheed hai

Bismilahirrahmanirrahim 

✦ Hadith : jo shakhs apna maal bachane ke liye maara jaye to wo shaheed hai
-----------------
✦ Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki ek shakhs Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ke pass aaya aur arz kiya Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam aap kya farmate hain agar koi shakhs aaye mera maal nahaq lene ko ? Aapne farmaya usko apna maal mat de , usne phir kaha ki agar wo mujhse ladey , Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya tu bhi us se lad , phir usne kaha agar wo mujhko maar dale ,Aapne farmaya to tum Shaheed ho, phir usne kaha ki agar main usko maar daalu to Aapne farmaya wo Jahannam mein jayega 
Sahih Muslim, Jild 1, 360

✦ Abdullah bin umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs apna maal bachane ke liye maara jaye to wo shaheed hai
Sahih Muslim, Jild 1, 361
-----------------
✦ अबू हुरैरा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की एक शख्स रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम के पास आया और अर्ज़ किया या रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम आप क्या फरमाते हैं अगर कोई शख्स आए मेरा माल नाहक़ लेने को ? आपने फरमाया उसको अपना माल मत दे , उसने फिर कहा की अगर वो मुझसे लड़े , आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया तू भी उस से लड़ , फिर उसने कहा अगर वो मुझको मार डाले , आपने फरमाया तो तुम शहीद हो, फिर उसने कहा की अगर मैं उसको मार डालूं तो आपने फरमाया वो जहन्नम में जाएगा 
सही मुस्लिम, जिल्द 1, 360

✦ अब्दुल्लाह बिन उमर रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जो शख्स अपना माल बचाने के लिए मारा जाए तो वो शहीद है
सही मुस्लिम, जिल्द 1, 361
-------------------

✦ Abu Huraira Radi Allahu Anhu reported:
A person came to the Messenger of Allah (ﷺ) and said: Messenger of Allah, what do you think if a man comes to me in order to appropriate my possession? He (the Holy Prophet) said: Don't surrender your possession to him. He (the inquirer) said: If he fights me? He (the Holy Prophet) remarked: Then fight (with him). He (the inquirer) again said: What do you think if I am killed? He (the Holy Prophet) observed: You would be a martyr. He (the inquirer) said: What do you think of him (Messenger of Allah) If I kill him. He (the Holy Prophet) said: he would be in the Fire.
Sahih Muslim, Book 1, Hadith 259

✦ Abdullah bin Amr Radi Allahu Anhu said: the Messenger of Allah (ﷺ) Said He who died in protecting his property is a martyr.
Sahih Muslim, Book 1, Hadith 260
__._,_.___

Momeen ki rooh Qarz se tab tak judi rahti hai jab tak ki usko ada na kar diya jaye

Bismillahirrahmanirrahim

✦ Hadith: Momeen ki rooh Qarz se tab tak judi rahti hai jab tak ki usko ada na kar diya jaye 
---------
✦ Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya Momeen ki rooh (maut ke baad bhi) Qarz se tab tak judi rahti hai jab tak ki usko ada na kar diya jaye 
Sunan ibn majah, Jild 2, 570 –Sahih

✦ Amr bin Al-As Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Allah ki raah mein qatl ho jane par sabhi gunah mita diye jate hain siwaye Qarz ke.
Sahih Muslim, Vol 5, 4884
---------------------------------------------
✦ अबू हुरैरा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया मोमीन की रूह (मौत के बाद भी)क़र्ज़ से तब तक जुड़ी रहती है जब तक की उसको अदा ना कर दिया जाए 
सुनन ईब्न माजा, जिल्द 2, 570–सही

                      ✦ अम्र बिन अल आस रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम                       ने फरमाया अल्लाह की राह में क़त्ल हो जाने पर सभी गुनाह मिटा दिए जाते हैं सिवाए क़र्ज़ के 
 सही मुस्लिम, जिल्द 5, 4884
-----------------------------------------------
✦ It was narrated from Abu Hurairah that the Messenger of Allah (ﷺ) said The soul of the believer is attached to his debt until it is paid off.
Sunan ibn majah, Book 15, 2413-Sahih

✦ Narrated By Amr bin Al-As Radhi allahu anhu The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said Death in the way of Allah blots out everything except debt.
Sahih Muslim, Book 20, 4650
__._,_.___