Bismillahirrahmanirrahim
✦ Namaz mein salam pherne ke baad ye dua padhna sunnat hai
------------
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam jab har namaz ke baad salam pherte to ye kahte ki
لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ، وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ، لَهُ الْمُلْكُ، وَلَهُ الْحَمْدُ، وَهْوَ عَلَى كُلِّ شَىْءٍ قَدِيرٌ،
اللَّهُمَّ لاَ مَانِعَ لِمَا أَعْطَيْتَ، وَلاَ مُعْطِيَ لِمَا مَنَعْتَ، وَلاَ يَنْفَعُ ذَا الْجَدِّ مِنْكَ الْجَدُّ
✦ La ilaha illa-l-lahu wahdahu la sharika lahu;
lahu-l-mulk wa lahu-l-hamd, wahuwa Ala kulli shai'n qadir.
Allahumma la mani'a Lima Aataita, Wa la Muatiya Lima manata,
Wa la yanfau Zaal-Jadda Minkal-jadd.
Tarjuma : ALLAH ke siwa koi maabud nahi wo Tanha hai uska koi Sharik nahi , mulk uske liye hai, aur usi ke liye tamam tareefein hain aur wo har cheej par kudrat rakhne wala hai. Eh ALLAH jo kuch tu dena chahe use koi rokne wala nahi, aur jo kuch tu rokna chahe use koi dene wala nahi aur tere samne daulat walon ki daulat kuch kaam nahi aa sakti
Sahih Bukhari, Jild 8, 6615
------------
from Quran Hadees http://bit.ly/2SuG2xg