Sunday, 30 December 2018

badan ke dard ko dur karne ki dua

Bismillahirrahmanirrahim 

✦ Mafhum-e-hadith : badan ke dard ko dur karne ki dua 
--------------
✦ Uthman bin Abu Al-As Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki unhone Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam se us dard ka bayan kiya jo unke badan mein paida ho gaya tha jab wo musalmna huye they
Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tum apna haath dard wali jagah par rakho aur 
3 baar Bismillah kaho 
aur uske baad 7 baar ye dua padho

أَعُوذُ بِاللَّهِ وَقُدْرَتِهِ مِنْ شَرِّ مَا أَجِدُ وَأُحَاذِرُ
A'udhu billahi wa qudratihi min sharri ma ajidu wa uhaziru

( panah mein aata hu main Allah subhanahu ki aur uski kudrat ki us cheez ki burayee se jisko main apne andar mehsus karta hu aur jis se darta hu)

Sahih Muslim, Vol 5, 5737
--------------


from Quran Hadees http://bit.ly/2CGnu83

No comments:

Post a Comment