Bismillahirrahmanirrahim
✦ Talaq dene ka sunnat tareeqa
-------------
✦ Hazrat Abdullah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Talaq ka sunnat tareeqa ye hai ki insan bagair jama (sohbat) kiye aurat ko paaki ki halat mein talaq de
de phir jis waqt usko haiz aa jaye aur wo aurat paak ho jaye to us waqt usko dusri talaq de phir jis waqt usko dobara haiz aa jaye aur wo paak ho jaye to
tab usko ek aur (yani teesri) talaq de phir uske baad aurat ek haiz ki iddat guzare
hazrat al-amash Radi Allahu Anhu farmate hain ki maine hazrat Ibrahim Radi Allahu Anhu se pucha to unhone bhi isee tarah bayan kiya
Sunan Nasaii, Jild 2, 1333-Hasan
✦ Mahmud bin Labid Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya ek shakhsh ne apni biwi ko ek hi baar mein teen
talaq de di, ye baat sunkar Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam khade huye aur gusse mein farmaya ye kya Allah ki kitab ke saath khel ho raha hai jabki
main abhi tum logo ke beech mojud hun , ye baat sunkar ek shakhs khada hua aur arz ki , YA Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam
kya main iska Qatl kar du?
kya main iska Qatl kar du?
Sunan Nasaii, Jild 2, 1340 –Sahih
✦ Abu As-Sahba Radi Allahu Anhu Ibn Abbas Radi Allahu Anhu ke paas aaye aur arz kiya ki eh ibn abbas Radi Allahu Anhu kya tum is baat se waqif ho ki
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ke Mubarak daur mein aur Hazrat Abu Bakr Radi Allahu Anhu ke khilafat ke daur mein aur hazrat umar Radi Allahu Anhu
ki shuru ki khilafat mein teen talaq ko ek hi mana jata tha, Ibn Abbas Radi Allahu Anhu ne farmaya ji haan
Sunan Nasaii, Jild 2, 1345 –Sahih
-------------
from Quran Hadees http://bit.ly/2F39uYj
No comments:
Post a Comment