Friday 30 November 2018



Bismillahirrahmanirrahim 

Mafhum-e-hadith: Jumaa ka din musalmano ke liye Eid ka din hai
---------------
✦ IBn Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam   Ne farmaya ye din (jumaa ) eid ka din hai jo Allah ne musalmano ko ata farmaya hai, isliye jo jumaaa ke liye aaye  to ghusal kar le aur khushbu mil jaye to laga le aur tum par miswak bhi  hai  
Sunan ibn Majah, Vol 1, 1098-Hasan


✦ Ibn Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ke zamaney mein dono Eidein ek hi din aa gayee ( ek to eid aur dusra jumaa)  to aapney eid ki namaz ada karkey farmaya jo jumaa ki namaz ke liye aana chahey aa jaye aur jo na aana chahe na aaye
Sunan ibn Majah, Vol 1, 1312-Hasan
------------


from Quran Aur Hadees https://ift.tt/2QrZNrE

No comments:

Post a Comment