Wednesday, 5 October 2016

Jo asbiyat (qabeele ya nasab ya tribe) ke liye jung kare aur mara jaye to wo jahiliyat ki maut mar gaya

Bismillahirrahmanirrahim 

Mafhum-e-Hadith: Jo asbiyat (qabeele ya nasab ya tribe) ke liye jung kare aur mara jaye to wo jahiliyat ki maut mar gaya

✦ Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Jo shaksh (Ameer ki) itaa'at se bahar ho jaye aur jamaat ka saath chorh de aur phir wo mar jaye to uski maut jahiliyat ki maut hogi.

✦ Aur jo shaksh andhe jhande ke neeche ladee ( yani jis ladayee ka maqsad shariyat se abit na ho) aur jo asbiyat (qabeele ya nasab ya tribe) ke liye gussa ho aur asbiyat ki taraf bulata ho aur (musalmano ke muqable mein) Asbiyat ki madad karta ho (yani ALLAH ki raza maqsood na ho) phir agar wo isee haal mein maara jaye to wo jahiliyat ki maut mar gaya. 

✦ Aur jo shaksh (meri ummat par) dast-darazi kare aur achche aur bure sabko Qatl karne lage aur momeen ko bhi na chorhe aur jis se ahad kiya ho uska ahad bhi pura na kare to uska mujhse koi talluq nahi
Sahih Muslim, Vol5, 4786

✦ Comments : Apne qabeele ya mulk ki bulandi ke liye jung karna asbiyat kahlata hai aur aisee jung mein marne wala jahiliyat ki maut marta hai. Ulmao ka kahna hai ki ek musalman ko qabeele ya mulk ki buniyad par dusre musalman se nafrat karna aur ladna jayaz nahi hai bulki musalman ko hamesha Allah ki raza aur uske deen ki bulandi ke liye hi ladna chahiye 

---------------------------------

✦ अबू हुरैरा रदी अल्लाहु अन्हु से रिवायत है की रसूल अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फ़रमाया जो शख्स (अमीर की) इताअत से बहार हो जाए और जमात का साथ छोड़ दे और फिर वो मर जाए तो उसकी जाहिलियत की मौत होगी !

✦ और जो शख्स अंधे झंडे के नीचे लड़े (यानि जिस लडाई का मकसद शरियत से साबित ना हो) और जो अस्बियत (कबीले या मुल्क) के लिए गुस्सा हो और अस्बियत की तरफ बुलाता हो और (मुसलमानों के मुकाबले में) अस्बियत की मदद करता हो (यानि अल्लाह की रज़ा मक़सूद न हो) और फिर अगर वो इसी हाल में मारा जाए तो वो जाहिलियत की मौत मर गया !

✦ और जो शख्स (मेरी उम्मत पर ) दस्त दराज़ी करे और अच्छे और बुरे सबको क़त्ल करने लगे और मोमीन को भी न छोड़े और जिस से अहद किया हो उसका अहद भी पूरा न करे तो उसका मुझसे कोई ताल्लुक नहीं !
सही मुस्लिम जिल्द 5, हदीस 4786

✦ नोट: अपने कबीले या मुल्क के लिए जंग करना या उसकी तरफ बुलाना अस्बियत कहलाता है और ऐसी जंग में मर जाने वाला जाहिलियत की मौत मरता है, उल्माओं का कहना है की एक मुस्लमान को अपने कबीले या मुल्क की बुनियाद पर दुसरे मुस्लमान से लड़ना जायज़ नहीं है बल्कि मुस्लमान को हमेशा अल्लाह की रज़ा और उसके दीन की बुलंदी के लिए ही लड़ना चाहिए

---------------------------------
✦ It has been narrated on the authority of Abu Huraira that the Messenger of Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said:
One who defected from obedience (to the Amir) and separated from the main body of the Muslims - if he died in that state-would die thedeath of one belonging to the days of Jahiliyya (i.e. would not die as a Muslim). 

✦ One who fights under the banner of a people who are blind (to the cause for which they are fighting, i.e. do not know whether their cause is just or otherwise), who gets flared up with family pride, calls (people) to fight for their family honour, and supports his kith and kin (i.e. fights not for the cause of Allah but for the sake of this family or tribe) - if he is killed (in this fight), he dies as one belonging to the days of Jahiliyya. 

✦ Whoso attacks my Ummah (indiscriminately) killing the righteous and the wicked of them, sparing not (even) those staunch in faith and fulfilling not his promise made with those who have been given a pledge of security - he has nothing to do with me and I have nothing to do with him.
Sahih Muslim, Book 20, Hadith 4557
__._,_.___

No comments:

Post a Comment