Wednesday, 5 October 2016

Mujhe saat haddiyon par sajda karne ka hukm hua hai

Bismillahirrahmanirrahim
Hadith: Mujhe saat haddiyon par sajda karne ka hukm hua hai
------------------
Ibn Abbas Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya mujhe saat haddiyon par sajda karne ka hukm hua hai aur (namaz ke dauran) baalo aur kapdo ko na sametne ka , wo saath ye hai peshani aur naak ( ye dono ek hi ke hukm mein hain) dono haath , dono ghutne aur dono qadam
Sahih Muslim, Vol 1,1099
------------------
Comments: Hamare muaashre mein kuch muslim aurtein sazda karte waqt apne ghutno ko use nahi karti , jo bilkul galat hai , sajde ko saat haddiyo par karna jaruri hai jismein dono ghutne bhi shamil hain.
------------------
इब्न अब्बास रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वासल्लम ने फरमाया मुझे सात हड्डियों पर सजदा करने का हुक्म हुआ है और (नमाज़ के दौरान) बालो और कपड़ो को ना समेटने का , वो सात ये है पेशानी और नाक ( ये दोनो एक ही के हुक्म में हैं) दोनो हाथ , दोनो घुटने और दोनो क़दम
सही मुस्लिम, जिल्द 1, 1099
------------------
Ibn Abbas Radi allahu anhu reported:
The Messenger of Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: I was commanded to prostrate myself on the seven (bones) and forbidden to fold back hair and clothing. (The seven bones are): forehead, nose, hands, knees and feet.
Sahih Muslim, Book 4, Hadith 995
__._,_.___

No comments:

Post a Comment