Wednesday 5 October 2016

Haa jo mard aur auratein aur bachche kafi kamzor hain aur nikalne ka raasta nahi pate , aiso ke liye ummed hai ki Allah unhe maaf kar de, beshak ALLAH maaf karne wala aur bakhshne wala hai



Bismillahirrahmanirrahim
✦ AL Quran : Beshak jo log apne nafso par ( yani apne aap par) zulm kar rahe they jab unki roohein farishto ne qabz kar li to unse pucha ki tum kis haal mein they unhone jawab diya ki hum mulk mein bebas they, farishto ne kaha ki kya ALLAH ki zameen wasee ( yani itni badi) nahi thi ki tum usmein hijrat kar jate , ab aiso ka thikana dozakh hai aur bahut hi bura thikana hai.
✦ Haa jo mard aur auratein aur bachche kafi kamzor hain aur nikalne ka raasta nahi pate , aiso ke liye ummed hai ki Allah unhe maaf kar de, beshak ALLAH maaf karne wala aur bakhshne wala hai
Al Quran, Surah An Nisa (4) , 97-99

✦ Tafseer ibn kaseer : is aayat ke baad ye hukm aam hai ki har wo shakhs jo hijrat karne par qadir ho phir bhi kafiron aur mushriko mein rahe jaha us par deen ke muaamle mein sakhti ki jati ho to wo zalim hai aur uska bura thikana hai.
-------------------
 अल क़ुरान : बेशक जो लोग अपने नफ्सों पर ज़ुल्म कर रहे थे जब उनकी रूहें फरिश्तो ने क़ब्ज़ कर ली तो उनसे पूछा की तुम किस हाल में थे उन्होने जवाब दिया की हम मुल्क में बेबस थे फरिश्तो ने कहा की क्या अल्लाह की ज़मीन इतनी बड़ी नही थी की तुम उसमें हिजरत कर जाते , अब ऐसों का ठिकाना दोज़ख है और बहुत ही बुरा ठिकाना है.
✦ हाँ जो मर्द और औरतें और बच्चे काफ़ी कमज़ोर हैं और निकालने का रास्ता नही पाते , ऐसों के लिए उम्मीद है की अल्लाह उन्हे माफ़ कर दे, बेशक अल्लाह माफ़ करने वाला और बख्शने वाला है
अल कुरान , सुरह अन-निसा (4), आयत 97-99
✦ तफ़सीर ईब्न कसीर : इस आयात के बाद ये हुक्म आम है की हर वो शख्स जो हिजरत करने पर क़ादिर हो फिर भी काफिरों और मुशरिकों में रहे जहा उस पर दीन के मुआमले में सख्ती की जाती हो तो वो ज़ालिम है और उसका बुरा ठिकाना है 
------------------------------
✦ Al Quran : Verily! As for those whom the angels take (in death) while they are wronging themselves (as they stayed among the disbelievers even though emigration was obligatory for them), they (angels) say (to them): "In what (condition) were you?" They reply: "We were weak and oppressed on the earth." They (angels) say: "Was not the earth of Allah spacious enough for you to emigrate therein?" Such men will find their abode in Hell - What an evil destination!
✦ Except the weak ones among men, women and children who cannot devise a plan, nor are they able to direct their way. These are they whom Allah is likely to forgive them, and Allah is Ever Oft-Pardoning, Oft-Forgiving.
Al Quran, Surah An Nisa (4) , 97-99

No comments:

Post a Comment