Thursday 19 February 2015

Aankh ka Zina ( Gair mahram ko) dekhna hai, Zuban ka Zina (Gair Mahram se) baat karna hai



Zina



Bismillahirrahmanirrahim 

Mafhum-e-Hadith: Aankh ka Zina ( Gair mahram ko) dekhna hai, Zuban ka Zina (Gair Mahram se) baat karna hai

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Nabee Kareem Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ki Allah Subhanahu ne Insaan ke liye Zina ka koi na koi hissa likh diya hai, jis sey usey kisi bhi tarah ( na chahte huye bhi) Guzarna hai,islitiye isliye Aankh ka Z
ina ( Gair mahram ko) dekhna hai, Zuban ka Zina Gair Mahram se baat karna hai, Dil ka zina khwahish aur Shahwat hai aur Sharmgaah iski tasdeeq karti hai ya isey jhutla deti hai
{Sahih Bukhari, Vol 8, 6612}

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jab koi shaksh Zina karta hai to wo Zina kartey waqt momeen nahi rahta, isi tarah jab koi sharab peeta hai to wo sharab peetey waqt momeen nahi rahta aur isi tarah jab koi chori karta hai to chori kartey waqt wo momeen nahi rahta .
{Sahih Bukhari, Vol 6, 5578}

----------------------------------------------------------------------------
English translation:
Abu Huraira Radi Allahu Anhu said That Prophet Peace be upon him said Allah has written for the son of Adam his inevitable share of adultery whether he is aware of it or not: The adultery of the eye is the looking (at something which is sinful to look at), and the adultery of the tongue is to utter (what it is unlawful to utter), and the innerself wishes and longs for (adultery) and the private parts turn that into reality or refrain from submitting to the temptation."
{Sahih Bukhari, Vol 8, Book 77, # 609}

Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said, "An adulterer, at the time he is committing illegal sexual intercourse is not a believer; and a person, at the time of drinking an alcoholic drink is not a believer; and a thief, at the time of stealing, is not a believer."
{Sahih Bukhari, Vol 7, Book 69, No. 484}

No comments:

Post a Comment