Thursday, 19 February 2015

jab do musalman milte hain aur musafa karte hain to unke juda hone se pahle hi unki maghfirat kar di jati hai

musafa karne ki fazilat




Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: jab do musalman milte hain aur musafa karte hain to unke juda hone se pahle hi unki maghfirat kar di jati hai

Al-Bara ibn Azib Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya ki jab do musalman milte hain aur musafa karte hain to unke juda hone se pahle hi unki maghfirat kar di jati hai
Sunan Abu Dawud, Vol 3,1769-Sahih

Abu Qatada Radhi allahu anhu se rivayat hai ki maine Hazrat Anas Radhi allahu anhu se pucha ki Kya Musafa karne ka dastur Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ke Sahaba mein tha unhone kaha Haan
Sahih Bukhari, Vol 7, 6263

Umaimah bint Ruqaiqah Radhi allahu anha farmati hai ki main Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein kuch aurton ke sath ( unke haath par) bait karne ke liye hazir huyee to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Apni taqat ke mutabiq istataat ( pairwi) karte rahna magar main aurto se musafa nahi karta 
Sunan Ibn majah, Vol 2,1031-Sahih

-----------------------------------------------
Narrated Al-Bara ibn Azib Radhi allahu anhu The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: Two Muslims will not meet and shake hands having their sins forgiven them before they separate.
Sunan Abu Dawud, Book 42, 5193-Sahih

Narrated Qatada Radhi allahu anhu
I asked Anas Radhi allahu anhu , "Was it a custom of the companions of the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam to shake hands with one another?" He said, "Yes."
Sahih Bukhari, Book 74, 279

Narrated by Umaimah bint Ruqaiqah Radhi allahu anha I came to the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam with some other women, to offer our pledge to him. He said to us: ‘(I accept your pledge) with regard to what you are able to do. But I do not shake hands with women.’”
Sunan Ibn majah, Book 24, 2874-Sahih

No comments:

Post a Comment