Thursday, 19 February 2015

Tum mein se koi shaksh aisa nahi hai jiska jannat ya Dozakh ka thikana tay nahi ho chuka ho

Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam








Bismillahirrahmanirrahim



Hadith:Tum mein se koi shaksh aisa nahi hai jiska jannat ya Dozakh ka thikana tay nahi ho chuka ho

Hazrat Ali Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Nabee Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tum mein se koi shaksh aisa nahi hai jiska jannat ya Dozakh ka thikana tay nahi ho chuka ho,Sahaba ne arz kiya ki phir kyun na hum usi par bharosa kar le, RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Amal kartey raho kyunki har shaksh jis thikaney ke liye paida kiya gaya hai usko waisee hi taufiq di jayegi 
{Sahih Bukhari, Vol7, 6217}



Anas bin malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shaksh ALLAH se 3 martaba jannat maangta hai to jannat kahti hai ki 

YA ALLAH isko jannat mein dakhil farma. 

Aur jo shaks 3 martaba dozakh ki aag se panah maangta hai to dozakh ki aag kahti hai 

YA ALLAH isko dozakh ki aag se mehfooz farma 

{Sunan Nasaii, Vol 3, 1822 –Sahih}



اللَّهُمَّ اِنِّي اَسْئَلُكَ الجَنَّةَالْفِردَوْس

Allahumma inni Asaluka Jannat-Al-Firdaus



الَْلهُمَّ أَجِِرْنَا مِنَ النَّار

Allahumma Ajirna Minan Naar 

---------------------------------------

English Translation:



Narrated 'Ali Radi Allahu Anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi wasallam said , "There is none amongst you but has been assigned a place (either) in Paradise and (or) in the Hell-Fire." The people said (to him), "Should we not depend upon it?" He said: carry on doing (good) deeds, for everybody will find easy such deeds as will lead him to his destined place. 

{Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No.236}



It was narrated that Anas bin Malik Radi Allahu Anhu said 

The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: 

Whoever asks Allah for Paradise three times, Paradise will say: 

O Allah, admit him to Paradise. And whoever seeks protection from Hell-fire three times, Hell-fire will say: O Allah, protect him from the Hell-Fire 

{Sunan Nasaii, Book 50, 5523-Sahih}



اللَّهُمَّ اِنِّي اَسْئَلُكَ الجَنَّةَالْفِردَوْس

Allahumma inni Asaluka Jannat-Al-Firdaus



الَْلهُمَّ أَجِِرْنَا مِنَ النَّار

Allahumma Ajirna Minan Naar

No comments:

Post a Comment