Bismilahirrahmanirrahim
✦ Hadith : jisne mere tareeqe se munh moda wo meri ummat mein se nahi
------------
Hazrat Anas Radi Allahu Anhu ne kaha ki Nabee Sal-Allahu Alaihi wasallam ke chand sahaba ne Nabee Sal-Allahu Alaihi wasallam ki biwiyo se Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ki khufiya ibadat ka haal pucha yani jo ibadat Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ghar mein kiya karte they to ek ne unmein se kaha ki main ab kabhi aurto se nikah nahi karunga , kisi ne kaha ki main kabhi gosht nahi khauunga, kisi ne kaha ki main kabhi bistar par nahi souunga ( taaki Allah ki zyada ibadat kar sake) Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne Allah ki hamd bayan karne ke baad khutba padha aur farmaya ki kya haal hai un logo ka jo aisa kahne lage hain , jabki mera to ye haal hai ki main raat ko namaz bhi padhta hu aur so bhi jata hu aur roze bhi rakhta hu aur iftar bhi karta hu aur aurto se nikah bhi karta hu aur jisne mere tareeqe se munh moda wo meri ummat mein se nahi
Sahih Muslim, Jild 4, 3403
------------
✦ हदीस : हज़रत अनस रदी अल्लाहू अन्हु ने कहा की नबी सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम के कुछ सहाबा ने नबी सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम की बीवियों से आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम की ख़ुफ़िया इबादत का हाल पूछा यानी जो इबादत आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम घर में किया करते थे तो एक ने उनमें से कहा की मैं अब कभी औरतों से निकाह नही करूँगा , किसी ने कहा की मैं कभी गोश्त नही खाऊंगा , किसी ने कहा की मैं कभी बिस्तर पर नही सोऊंगा
( ताकि अल्लाह की ज़्यादा इबादत कर सके) आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने अल्लाह की हम्द बयान करने के बाद ख़ुतबा पढ़ा और फरमाया की क्या हाल है उन लोगों का जो ऐसा कहने लगे हैं , जबकि मेरा तो ये हाल है की मैं रात को नमाज़ भी पढ़ता हूँ और सो भी जाता हू और रोज़ भी रखता हूँ और इफ्तार भी करता हूँऔर औरतों से निकाह भी करता हूँ और जिसने मेरे तरीक़े से मुँह मोड़ा वो मेरी उम्मत में से नही
सही मुस्लिम, जिल्द 4, 3403
-----------
✦ Hadith: Anas (Allah be pleased with him) reported that some of the Companions of Allah's Apostle (ﷺ) asked his (the Prophet's) wives about the acts that he performed in private. Someone among them (among his Companions) said:
I will not marry women; someone among them said: I will not eat meat; and someone among them said: I will not lie down in bed.( So that we may worship Allah more ) He (the Holy Prophet ﷺ) praised Allah and glorified Him, and said: What has happened to these people that they say so and so, whereas I observe prayer and sleep too; I observe fast and suspend observing them; I marry women also? And he who turns away from my Sunnah, he has no relation with Me
Sahih Muslim, Book 8, 3236
__._,_.___
No comments:
Post a Comment