Tuesday, 4 October 2016

Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam par salam bhejne ka sahi tareeqa

Bismillahirrahmanirrahim
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam par salam bhejne ka sahi tareeqa
------------------
✦ Abdullah bin masood Radi allahu anhu ne kaha ki hum log Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ke saath namaz padhte huye is tarah kaha karte they , 
As salamu Al-Allah (yani Allah par salam ho) , As salamu Al Falah ( yani falah shakh par salam ho) , phir ek din Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya ki Allah ka naam salam hai aur wo tamam buraeeyon se salim aur paak saaf hai , isliye tum tashhhud mein ya kalimat padha karo
✦ Attahiyyaatu Lillahi Wa As-Salawatu Wa-Attayyibatu, Assalamu Alaika Ayyuhannabiyyu Warahmatullahi Wabarkatuhu, Assalamu Alaina Waala ibadillah AsSaaliheen,
in kalimat ke ada karne se har neik bande ko jo zameen mein hai aur aasman mein hai unko salam pahunch jata hai, (phir ye kahe) 
Ashhadu An La ilahaillallahu Wa Ashhadu Anna Muhammadun Abdu hu Wa Rasooluh iske bad namazi jo ji chahe wo dua kare 
Sahih Muslim, Vol 1,897
-----------------
✦ Comments : jab hum Atttahiyat mein As salamu alaika ayyuhan nabiyyu padhte hain to iska matlab hota hai Eh Nabee aap par salam ho aur hamara salam pahuch jata hai , is hadith se malum hua ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam par salam bhejne ka sabse behtar aur sunnat tareeqa yahi haiaur jisko zyada salam bhejna ho wo zyada se ziyada nawafil namaz padhe in sha Allah jab bhi namaz mein tashhud padhega Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam par salam pahuch jayega.
-----------------
✦ अब्दुल्लाह बिन मसूद रदी अल्लाहू अन्हु ने कहा की हम लोग रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम के साथ नमाज़ पढ़ते हुए इस तरह कहा करते थे , 
अस सलामू अल-अल्लाह (यानी अल्लाह पर सलाम हो) , अस सलामू अल फ़लाह ( यानी फ़लाह शख्स पर सलाम हो) , फिर एक दिन रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वासल्लम ने फरमाया की अल्लाह का नाम सलाम है और वो तमाम बुराईयों से सालिम और पाक सॉफ है , इसलिए तुम तशहहुद में ये कलीमत पढ़ा करो
✦ अततहिय्यातू लिल्लाहि वा अस-सलवातु वा अत-तय्यबात, अस्सलामू अलयका अय्युहन्नबीय्यू वरहमतुल्लाही वाबरकताहू , अस्सलामू अलयना व आला ईबादिल्लाह अससालिहीन
इन कलीमात के अदा करने से हर नेक बंदे को जो ज़मीन में है और आसमान में है उनको सलाम पहुँच जाता है (फिर ये कहे ) अशहदु अन ला इलाहा इल्लल्लाहु वा अशहदु अन्ना मुहम्मदून अब्दुहू वा रसूलूह इसके बाद नमाज़ी जो जी चाहे वो दुआ करे , 
सही मुस्लिम, जिल्द 1,897
-----------------------

Abdullah bin Mas`ud Radi allahu anhu said:
While observing prayer behind the Messenger of Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam we used to recite: Peace be upon Allah, peace be upon so and so. One day the Messenger of Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said to us: Verily Allah is Himself Peace. When any one of you sits during the prayer, he should say: 

Attahiyyaatu Lillahi Was Salawatu Wattayyibatu, Assalamu Alaika Ayyuhannabiyyu Warahmatullahi Wabarkatuhu, Assalamu Alaina Waala ibadillah AsSaaliheen

for when he says this it reaches every upright servant in the heavens and the earth. (And say further): Ashhadu An La ilahaillallahu Wa Ashhadu Anna Muhammadun Abdu hu Wa Rasooluh
Then he may choose any supplication which pleases him and offer it.
Sahih Muslim, Book 4, Hadith 793
__._,_.___

No comments:

Post a Comment