Thursday, 18 February 2016

Wuzu karne ka tareeqa Hadith ki roshni mein

✦ Mafhum-e-Hadith: ✦ Wuzu karne ka tareeqa Hadith ki roshni mein
------------
Uthman bin Affan Radi Allahu Anhu ne wuzu ka pani mangwaya aur wuzu kiya to ( Bismillah parh kar) pahle dono haatho ko (kalaii tak) teen baar dhoya phir 
( teen baar) kulli ki aur naak mein pani daala ( teen baar) aur uske baad teen baar munh dhoya aur phir dahina haath kohni tak teen baar dhoya aur uske baad bahina haath kohni tak teen baar dhoya , phir sir ka masa kiya aur phir dahina paanw dhoya teen baar aur phir bahina paanw dhoya teen baar aur uske baad kaha ki maine Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko dekha ki aapne isee tarah wuzu kiya jaisa maine abhi kiya aur phir Aap Sallallahu alaihi wasallam ne is tarah wuzu karne ke baad farmaya tha ki jo shaksh mere wuzu ki tarah wuzu kare phir 2 rakat (nawafil) khade hokar padhe aur kisi khayal mein garq na ho ( yani faltu khayal dil mein na laye) to uske pichle sare gunah bakhs diye jayenge 
Ibn Shihab ne kaha ki hamare ulma kahte hain ye wuzu sab sare wuzu mein pura hai jo namaz ke liye kiya jaye
Sahih Muslim, Jild 1, 538



✦ Note: wuzu karte waqt gardan ka masa kisi sahi hadith se sabit nahi hai 


--------------------------------------



✦ उस्मान बिन अफ्फान रदी अल्लाहू अन्हु ने वज़ु का पानी मँगवाया और वज़ु किया तो ( बिस्मिल्लाह पढ़ कर) पहले दोनो हाथों को (कलाई तक) तीन बार धोया फिर 




( तीन बार) कुल्ली की और नाक में पानी डाला और उसके बाद तीन बार मुँह धोया और फिर दाहिना हाथ कोहनी तक तीन बार धोया और उसके बाद बायाँ हाथ कोहनी तक तीन बार धोया , फिर सिर का मसा किया और फिर दाहिना पाँव (टखनों तक) धोया तीन बार और फिर बायाँ पाँव धोया तीन बार और उसके बाद कहा की मैने रसूल-अल्लाह सललल्लाहू अलैही वसल्लम को देखा की आपने इसी तरह वज़ु किया जैसा मैने अभी किया और फिर आप सललल्लाहू अलैही वसल्लम ने इस तरह वज़ु करने के बाद फरमाया था की जो शख्स मेरे वज़ु की तरह वज़ु करे फिर 2 रकात (नवाफिल) खड़े होकर पढ़े और किसी ख़याल में गर्क़ ना हो ( यानि दिल में फालतू ख्याल न लाये) तो उसके पिछले सारे गुनाह बखस दिए जाएँगे इब्न शिहाब ने कहा की हमारे उलमा कहते हैं ये वज़ु सारे वज़ु में पूरा है जो नमाज़ के लिए किया जाए


सही मुस्लिम, जिल्द 1, 538



✦ नोट : वुज़ू करते वक़्त गर्दन का मसा किसी भी सही हदीस से साबित नहीं है




--------------------------------------






✦ Uthman bin Affan called for ablution water and this is how he performed the ablution. He washed his hands thrice. He then rinsed his mouth and cleaned his nose with water (three times). He then washed his face three times, then washed his right arm up to the elbow three times, then washed his left arm like that, then wiped his head; then washed his right foot up to the ankle three times, then washed his left foot like that, and then said: I saw the Messenger of Allah (Peace be upon him) perform ablution like this ablution of mine. Then the Messenger of Allah (Peace be upon him said: He who performs ablution like this ablution of mine and then stood up (for prayer) and offered two rak'ahs of prayer without allowing his thoughts to be distracted, all his previous sins are expiated. Ibn Shihab said: Our scholars remarked: This is the most complete of the ablutions performed for prayer.


Sahih Muslim, Book 2, 436

No comments:

Post a Comment