Thursday 18 February 2016

Ummul Momeneen Khadija Radi Allahu Anha ka jannat mein mahal

Bismillahirrahmanirrahim
✦ Mafhum-e-hadith: Ummul Momeneen Khadija Radi Allahu Anha ka jannat mein mahal
-------------------------------------------------
✦ Abu hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Jibril alaihi salam Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke paas aaye aur kaha ki Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Khadija Radi Allahu Anha aapke paas ek bartan liye aa rahi hai jismein salan ya (farmaya) khana ya (farmaya) peene ki ki cheez hai jab wo Aapke paas aaye to unke RAB ki janib se unhe salam pahucha dijiyega aur meri taraf se bhi , aur unhe jannat mein motiyon ke ek mahal ki basharat de dijiyega jaha na shor aur hungama hoga aur na takleef aur thakan
Sahih Bukhari, Vol 5, 3820

✦ Note: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki dawat par aurto aur mardo mein sabse pahle Khadija Radi allahu anha ne islam qubul kiya aur sabse pahle Aap Sallallahu Alaihi wasallam ke saath namaz bhi inhone hi padhi

----------------------------------------------------------

✦ अबू हुरैरा रदी अल्लाहु अन्हु से रिवायत है की जिबरील अलैहि सलाम रसूल-अल्लाह सललल्लाहू अलैही वसल्लम के पास आए और कहा की या रसूल-अल्लाह सललल्लाहू अलैही वसल्लम खदीजा रदी अल्लाहू अन्हा आपके पास एक बर्तन लिए आ रही है जिसमें सालन या (फरमाया) खाना या (फरमाया) पीने की की चीज़ है जब वो आपके पास आए तो उनके रब की जानिब से उन्हे सलाम पहुंचा दीजिएगा और मेरी तरफ से भी , और उन्हे जन्नत में मोतियों के एक महल की बशारत दे दीजिएगा जहाँ ना शोर और हंगामा होगा और ना तकलीफ़ और थकान.

सही बुखारी, जिल्द 5, 3820

----------------------------------------------------------------

✦ Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu Gabriel alaihi salam came to the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam and said, "O Allah's Messenger Sallallahu Alaihi wasallam This is Khadija coming to you with a dish having meat soup (or some food or drink). When she reaches you, greet her on behalf of her Lord (i.e. Allah) and on my behalf, and give her the glad tidings of having a Qasab palace in Paradise wherein there will be neither any noise nor any fatigue (trouble)

Sahih Bukhari, Book 58, 168

No comments:

Post a Comment