Wednesday, 20 January 2016

Tum Mein se jo shaksh koi buri baat dekhe aur usko apne haath se rok de to wo shaksh (zimme se) bari ho gaya

 
Bismillahirrahmanirrahim Hadith: Tum Mein se jo shaksh koi buri baat dekhe aur usko apne haath se rok de to wo shaksh (zimme se) bari ho gaya
-------------
✦ Abu Saeed Khudri Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Tum Mein se jo shaksh koi buri baat dekhey aur usko apney haath se rok de to wo shaksh (zimmey se) bari ho gaya, agar usmein itni taqat na ho aur wo zuban se rokey to wo bari ho gaya , aur agar itni bhi taqat na ho to wo Dil se bura samjhey to wo bari ho gaya , ye imaan ka sabse kam darja hai.
Sunan Nasaii, Vol 3, 1310 –Sahih
-------------
✦ अबू सईद खुदरी रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया तुम में से जो शख्स कोई बुरी बात देखे और उसको अपने हाथ से रोक दे तो वो शख्स (ज़िम्मे से) बरी हो गया, अगर उसमें इतनी ताक़त ना हो और वो ज़ुबान से रोके तो वो बरी हो गया , और अगर इतनी भी ताक़त ना हो तो वो दिल से बुरा समझे तो वो बरी हो गया , ये ईमान का सबसे कम दर्जा है.
सुनन नसाई, जिल्द 3, 1310 –सही

-------------
✦ Abu Saeed Al-Khudri Radi allahu anhu said: I heard the Messenger of Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said whoever among you sees an evil and changes it with his hand, then he has done his duty. Whoever is unable to do that, but changes it with his tongue, then he has done his duty. Whoever is unable to do that, but changes it with his heart then he has done his duty, and that is the weakest of Faith.
Sunan Nasai ,Book 47, #5012 – Sahih

Bachche ki wiladat ke waqt marne wali aurat shaheed hain




Bismillahirrahmanirrahim 

✦ Hadith: Bachche ki wiladat ke waqt marne wali aurat shaheed hain


✦ Safwan bin Umayyah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Taawun se marne wala , pet ke marz se marne wala , paani mein doob kar marne wala , aur bachche ki wiladat ke waqt marne wali aurat ye sabhi shaheed hain is hadith ke ek ravi ne kaha ki ye hadith Abu Uthman Radi Allahu Anhu ne kayee baar rivayat ki hai aur ek baar ye bhi kaha ki ye Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ka irshad hai 
Sunan Nasaii, Jild 1, 2056-Sahih

✦ Rasooll-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Shaheed ki Shafaat uskey gharwalon ke 70 logon ke haq mein Qubul ki jayegi
Sunan Abu Dawud, Vol 2, 750 -Sahih
------------------------
✦ सफवान बिन उमय्या रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की ताऊन से मरने वाला , पेट के मर्ज़ से मरने वाला , पानी में डूब कर मरने वाला , और बच्चे की विलादत के वक़्त मरने वाली औरत ये सभी शहीद हैं इस हदीस के रावी ने कहा की ये हदीस अबू उसमान रदी अल्लाहू अन्हु ने काई बार रिवायत की है और एक बार ये भी कहा की ये रसूल-अल्लाह सललाल्लाहू अलैही वसल्लम का इरशाद है 
सुनन नसाई, जिल्द 1, 2056-सही

✦ रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया शहीद की शफ़ाअत उसके घरवालों के 70 लोगों के हक़ में क़ुबूल की जाएगी
सुनन अबू दाऊद, जिल्द 2, 750 -सही

------------------------
✦ It was narrated that Safwan bin Umayyah Radi Allahu Anhu said:
"The plague, abdominal illness, drowning and dying in childbirth are martyrdom." (One of the narrators) said: Abu 'Uthman Radi Allahu Anhu narrated this to us several times, and on one occasion he attributed it to the Prophet.
Sunan Nasaii, Book 21, Hadith 2056-Sahih

✦ The Prophet peace_be_upon_him said: The intercession of a martyr will be accepted for seventy members of his family.
Sunan Abu Dawud, Book 14, 2516-Sahih
__._,_.___

Surah Yunus (10), 57-58




Bismillahirrahmanirrahim

✦ AL Quran: Eh logon tumhare RAB ki taraf se naseehat aur dilon ki beemariyo ki shifa aur momeeno ke liye hidayat aur rahmat aa pahunchi hai kah do (Quran) Allah ke fazal aur uski rahmat se hai , to us par unhe khush hona chahiye ye un cheezo se behtar hai 
jo wo jama karte hain
Surah Yunus (10), 57-58
-----------



  AL Quran 
  
 O mankind ! There has come to you a good advice from your Lord (the Quran) and a healing for that (disease of ignorance, doubt, hypocrisy etc) which is in your breasts, - a guidance and a mercy for the believers. Say: In the Bounty of Allah, and in His Mercy therein let them rejoice.
That is better than what (the wealth) they accumulate.
Surah Yunus (10), 57-58
-----------
✦ अल क़ुरान: एह लोगों तुम्हारे रब की तरफ से नसीहत और दिलों की बीमारियों की शिफ़ा और मोमीनों के लिए हिदायत और रहमत आ पहुँची है ,कह दो (क़ुरान) अल्लाह के फ़ज़ल और उसकी रहमत से है , तो उस पर उन्हे खुश होना चाहिए ये उन चीजों से बेहतर है जो वो जमा करते हैं
सुरह यूनुस (10), 57-58

Saturday, 21 February 2015

Al Quran, Surah Aal-e-imran(3), 78-80



Bismillahirrahmanirrahim

Al Quran: Aur beshak unmein se ek jamaat hai jo ki (ALLAH ki) kitab ko zuban marod kar padhte hain taaki tum ye khayal karo ki wo (ALLAH ki) kitab mein se hai , halanki wo kitab mein se nahi hai aur wo ALLAH par jaan bujh kar jhoot bolte hain. Kisi insan ke liye jayaz nahi ki ALLAH usko kitab aur hikmat aur nabuwat ata farmaye phir wo logon se ye kahe ki ALLAH ko chorh kar mere bande ho jao, bulki wo ye kahega ki tum log ALLAH wale ban jao isliye ki tum ALLAH ki kitab sikhate aur us waaste ki tum padhte ho, Aur na ye jayaz hai ki tumhe hukm kare ki tum farishton aur nabiyo ko RAB bana lo, kya wo (ALLAH) tumhe musalman ban jane ke baad kufr sikhayega ( hargiz nahi). 

AL Quran , Surah Aal-e-imran (3) , 78-80
---------------------------------------------
AL Quran: And verily, among them is a party who distort the Book with their tongues (as they read), so that you may think it is from the Book, but it is not from the Book, and they say: "This is from Allah," but it is not from Allah; and they speak a lie against Allah while they know it. 
It is not (possible) for any human being to whom Allah has given the Book and Al-Hukm (the knowledge and understanding of the laws of religion) and Prophethood to say to the people: "Be my worshippers rather than Allah's." On the contrary (he would say): "Be you Rabbaniyyun (learned men of religion who practise what they know and also preach others), because you are teaching the Book, and you are studying it." 
Nor would he order you to take angels and Prophets for lords (gods) . Would he order you to disbelieve after you have submitted to Allah's Will?

AL Quran , Surah Aal-e-imran (3) , 78-80

AL Quran , Surah Aal-e-imran (3) , 64



Bismillahirrahmanirrahim



Al Quran : Kah do Eh Ahl-e-kitab ek baat ki taraf aa jao jo hamare aur tumhare darmiyan barabar hai ki ALLAH ke siwa kisi aur ki bandagi na kare aur uske saath kisi ko sharik na banaye aur ALLAH ke siwaye koi kisi ko RAB na banaye iske baad bhi agar wo phir jaye to kah do gawah raho ki hum to farmabardar hone wale hai

AL Quran , Surah Aal-e-imran (3) , 64



Hadith: Anas bin malik radi allahu taala anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Allah taala Qayamat ke din Dozakh ke sabse kam Azab pane wale se puchega agar tumhe zameen ki sari cheezein mayassar ho to kya tum usko fidye mein(azab se nijat pane ko) de do ge wo kahega ki haan, ALLAH subhanahu farmayega ki maine tumse is se bhi aasan cheez ka us waqt mutalba kiya tha jab tum Aadam ki peeth mein they ki mere saath kisi ko Sharik na karna lekin tumne inkar kiya aur na mana aur shirk hi kiya 

Sahih bukhari, Vol8, 6557 

--------------------------------------------------------

AL Quran : Say O people of the Scripture (Jews and Christians): Come to a word that is just between us and you, that we worship none but Allah (Alone), and that we associate no partners with Him, and that none of us shall take others as lords besides Allah . Then, if they turn away, say: "Bear witness that we are Muslims."

Al Quran , Surah Aal-e-imran (3) , 64



Hadith: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, Allah will say to the person who will have the minimum punishment in the Fire on the Day of Resurrection, 'If you had things equal to whatever is on the earth, would you ransom yourself (from the punishment) with it?' He will reply, Yes. Allah will say, 'I asked you a much easier thing than this while you were in the backbone of Adam, that is, not to worship others besides Me, but you refused and insisted to worship others besides Me."' 


Sahih Bukhari, , Book 76, No. 562