Saturday 21 February 2015

AL Quran , Surah Aal-e-imran (3) , 64



Bismillahirrahmanirrahim



Al Quran : Kah do Eh Ahl-e-kitab ek baat ki taraf aa jao jo hamare aur tumhare darmiyan barabar hai ki ALLAH ke siwa kisi aur ki bandagi na kare aur uske saath kisi ko sharik na banaye aur ALLAH ke siwaye koi kisi ko RAB na banaye iske baad bhi agar wo phir jaye to kah do gawah raho ki hum to farmabardar hone wale hai

AL Quran , Surah Aal-e-imran (3) , 64



Hadith: Anas bin malik radi allahu taala anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Allah taala Qayamat ke din Dozakh ke sabse kam Azab pane wale se puchega agar tumhe zameen ki sari cheezein mayassar ho to kya tum usko fidye mein(azab se nijat pane ko) de do ge wo kahega ki haan, ALLAH subhanahu farmayega ki maine tumse is se bhi aasan cheez ka us waqt mutalba kiya tha jab tum Aadam ki peeth mein they ki mere saath kisi ko Sharik na karna lekin tumne inkar kiya aur na mana aur shirk hi kiya 

Sahih bukhari, Vol8, 6557 

--------------------------------------------------------

AL Quran : Say O people of the Scripture (Jews and Christians): Come to a word that is just between us and you, that we worship none but Allah (Alone), and that we associate no partners with Him, and that none of us shall take others as lords besides Allah . Then, if they turn away, say: "Bear witness that we are Muslims."

Al Quran , Surah Aal-e-imran (3) , 64



Hadith: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, Allah will say to the person who will have the minimum punishment in the Fire on the Day of Resurrection, 'If you had things equal to whatever is on the earth, would you ransom yourself (from the punishment) with it?' He will reply, Yes. Allah will say, 'I asked you a much easier thing than this while you were in the backbone of Adam, that is, not to worship others besides Me, but you refused and insisted to worship others besides Me."' 


Sahih Bukhari, , Book 76, No. 562

No comments:

Post a Comment