Friday, 14 December 2018

Subah aur Sham aur Pareshani ke waqt padhne ki dua

Bismillahirrahmanirrahim

✦ Subah aur Sham aur Pareshani ke waqt padhne ki dua
------------------
Anas bin Malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne Fatima Radi Allahu Anha se farmaya Jab tum Subah ya shaam mein dakhil ho 
to to is tarah kaha karo 

يَا حَيُّ يَا قَيُّومُ بِرَحْمَتِكَ أَسْتَغِيثُ. وَأَصْلِحْ لِي شَأْنِي كُلَّه، وَلَا تَكِلْنِي  إلى نَفْسِي طَرْفَةَ عَيْنٍ أَبَدًا

✦ Ya Hayyu Ya Qayyum, Bi-Rahmatika Astagith, Waslih li Sha'ni Kullahu, Wala Takilni ila Nafsi tarfata Aaynin Abda 

✦  Eh Zinda Hamesha Qayam rahne wale teri rahmat ke zariye se faryad karta hu, mere tamam halat durust kar de aur kabhi bhi palak jhapakne ke barabar bhi mujhe 
mere nafs ke hawale na kar .
Al Silsila As sahiha, 2942

------------------


from Quran Aur Hadees https://ift.tt/2EvSkT0

سبھا اور شمس اور پارشانی کے ساتھ ان کی دعا


بسم اللہ الرحمن الرحیم
------------------
انس بن مالک ‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فاطمہ رضی اللہ عنہا سے فرمایا: جب تم صبح یا شام کرو تو کہو
يَا حَيُّ يَا قَيُّومُ بِرَحْمَتِكَ أَسْتَغِيثُ. وَأَصْلِحْ لِي شَأْنِي كُلَّه، وَلَا تَكِلْنِي  إلى نَفْسِي طَرْفَةَ عَيْنٍ أَبَدًا
اے زندہ اور ہمیشہ رہنے والے! تیری رحمت کے ذریعے سے فریاد کرتا ہوں۔
 میرے تمام حالت درست کر دے اور کبھی بھی پلک جھپکنے کے برابر مجھے میرے نفس کے حوالے نہ کر
 السلسلہ صحیحہ ٢٩٤٢ 
------------------


from Quran Aur Hadees https://ift.tt/2EmGfhS

सुबाह और शम और परेशेशनी के वकत पधने की दुआ


बिस्मिल्लाहिर रहमानिरहिम
------------------
✦ रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फ़ातिमा रदी अल्लाहू अन्हा से फरमाया जब तुम सुबह या शाम करो तो इस 
तरह कहा करो 
✦ या हय्यू या क़य्यूम, बी-राहमातिका अस्तगीस , वाअसलिहली शाअनि कुल्लाहू, वाला ताकिलनी इला नफसी तरफता अयनिन अबादा  
✦ एह ज़िंदा हमेशा क़ायम रहने वाले तेरी रहमत के ज़रिए से फ़रियाद  करता हूँ , मेरे तमाम हालात दुरुस्त कर दे और कभी भी पलक झपकने के बराबर भी मुझे मेरे नफ़स के हवाले ना कर .
अल सिलसिला अस साहिहा, 2942
------------


from Quran Aur Hadees https://ift.tt/2Et5Ruk

Dua to recite in the morning and in the evening and at the time of distress

Bismillahir rahmanirrahim
------------
✦ Dua to recite in the morning and in the evening and at the time of distress
------------------
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said to fatima radi allahu anha , when you enter in the morning or evening say these words

يَا حَيُّ يَا قَيُّومُ بِرَحْمَتِكَ أَسْتَغِيثُ. وَأَصْلِحْ لِي شَأْنِي كُلَّه، وَلَا تَكِلْنِي  إلى نَفْسِي طَرْفَةَ عَيْنٍ أَبَدًا

✦ Ya Hayyu Ya Qayyum, Bi-Rahmatika Astagith, Waslih li Sha'ni Kullahu, Wala Takilni ila Nafsi tarfata Aaynin Abda 

✦ Oh Alive and everlasting one, I seek relief by your mercy. Rectify for me all of my affairs.
And never leave me in charge of my nafs (myself) even for a blink of an eye. 
Al Silsila As-Sahiha, 2942


from Quran Aur Hadees https://ift.tt/2En6y7S

Aise azkar jiska jawab Allah subhanahu khud dete hain

Bismillahirrahmanirrahim

✦ Hadith : Aise azkar jiska jawab Allah subhanahu khud dete hain
--------------------
Hazrat Anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ek Aaraabi (Bedouin) RasoolAllah ﷺ ke paas aaya aur kahne laga Ya Rasool-Allah ﷺ mujhe khair (wale kalimat) seekha djiye 
Rasool-Allah ﷺ  ne uska hath pakad Kar farmaya kaho 
سُبْحَان اﷲ، وَالْحَمْدُ لِلّٰہِ، وَلَا إِلٰہَ إِلاَّ اللّٰہُ، وَاللّٰہُ أَکْبَرُ 
SubhanAllah Walhamdulilah Wa Lailaha illAllahu Wallahu Akbar
us aarabi ne in kalimat ko  apni ungliyoh par geena aur sochta hua chala gaya phir wapas palta to Rasool-Allah ﷺ muskurane lage aur us se farmaya 
tum kyu ek naummeed Shaks ki tarha fikr Kar rahe ho, Wo Aap Sallallahu Alahai Wasallam ke Qareeb Aaya aur kahne laga Ya Rasool-Allah ﷺ
SubhanAllah Walhamdulilah Wa Lailaha illAllahu Wallahu Akbar, Ye to Allah Subhanahu ke liye hai (yani uski tairf ke liye hain) mere liye kya hai  Rasool-Allah ﷺ  ne 
farmaye Eh Aarabi 
jab tum SubhanAllah kahoge to Allah Subhanahu farmayega tumne Sach Kaha,
jab tum Alhamdulillah kahoge to Allah Subhanahu farmayega tumne Sach Kaha, 
jab tum La ilaha illAllah kahoge to Allah Subhanahu farmayega tumne Sach Kaha,
jab tum Allahu Akbar kahoge to Allah Subhanahu farmayega tumne Sach Kaha,
jab tum Allahummagfirli (yani Eh Allah mujhe bakhsh de)  kahoge to Allah Subhanahu farmayega maine ye kar diya (yani tumhe baksh diya )
jab tum Allahummarhamni (yani eh Allah mujh par raham farma) kahoge to Allah Subhanahu farmayega maine ye kar diya (yani tum par raham kar diya)
aur jab tum Allahummarzuqni (yani Eh Allah mujhe rizq ata farma) kahoge to Allah Subhanahu farmayega maine ye kar diya ( yani tumhe rizq ata kiya)
Aaraabi ne Apne haath par Saat (7) ki geenti geeni phir wapas palat kar chala gaya 
Al-Silsila-tus-Sahiha - 2872
-------------------




from Quran Aur Hadees https://ift.tt/2rAyY6r