Sunday, 25 November 2018

Nagahani museebat yani achanak aane wali musaeebat se bachne ki dua



سَمِعْتُ عُثْمَانَ، - يَعْنِي ابْنَ عَفَّانَ - يَقُولُ سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يَقُولُ ‏ 
مَنْ قَالَ بِسْمِ اللَّهِ الَّذِي لاَ يَضُرُّ مَعَ اسْمِهِ شَىْءٌ فِي الأَرْضِ وَلاَ فِي السَّمَاءِ وَهُوَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ ثَلاَثَ مَرَّاتٍ
لَمْ تُصِبْهُ فَجْأَةُ بَلاَءٍ حَتَّى يُصْبِحَ وَمَنْ قَالَهَا حِينَ يُصْبِحُ ثَلاَثَ مَرَّاتٍ لَمْ تُصِبْهُ فَجْأَةُ بَلاَءٍ حَتَّى يُمْسِيَ ‏
.‏ قَالَ فَأَصَابَ أَبَانَ بْنَ عُثْمَانَ الْفَالِجُ فَجَعَلَ الرَّجُلُ الَّذِي سَمِعَ مِنْهُ الْحَدِيثَ يَنْظُرُ إِلَيْهِ
فَقَالَ لَهُ مَا لَكَ تَنْظُرُ إِلَىَّ فَوَاللَّهِ مَا كَذَبْتُ عَلَى عُثْمَانَ وَلاَ كَذَبَ عُثْمَانُ عَلَى النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم وَلَكِنَّ الْيَوْمَ الَّذِي أَصَابَنِي فِيهِ مَا أَصَابَنِي غَضِبْتُ فَنَسِيتُ أَنْ أَقُولَهَ
سنن ابو داوود   ٥٠٨٨ صحیح



Bismillahirrahmanirrahim

✦ Nagahani museebat yani achanak aane wali musaeebat se bachne ki dua
-----------------
بِسْمِ اللَّهِ الَّذِي لَا يَضُرُّ مَعَ اسْمِهِ شَيْءٌ فِي الْأَرْضِ وَلَا فِي السَّمَاءِ وَهُوَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ
✦ Bismillahillazi La yadurru Ma-asmihi Shaiun fil-ardi wa La fis-smaaie, Wahuwa As-Samiul-Alim. 
✦ Allah ke naam se shuru karta hu jiski naam ki barkat se Zameen aur aasman ki koi cheez nuksan nahi pahucha sakti aur wahi sunne wala aur janne wala hai 

✦ Aban bin uthman radi allahu anhu se rivayat hai ki maine Uthman Radi allahu anhu se suna ki Rasool-Allah Sallallahu Alalihi Wasallam ne farmaya jisne (shaam ko) 3 martaba ye dua parhi  usey subah tak koi nagahani Museebat nahi pahuchegi aur jisne subah ko 3 martaba ye dua parhi to Shaam tak usko koi nagahani (achanak) 
museebat nahi pahuchegi Raavi (Hadith rivayat karney wale) kahte hain ki Aban bin Uthman Radi Allahu Anhuma ko falij(laqwa) ho gaya tha to wo shaksh jisney unse ye hadith rivayat ki thi wo unhe dekhne laga to Aban ne unse farmaya ki tujhe kya ho gaya hai ki is tarah meri taraf dekhta hai, Allah ki kasam maine na to Uthman radi 
allahu anhu par aur na Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam par jhoot baandha hai lekin jis roz mujhe ye Falij (laqwa) hua us roz main gusse mein tha aur ye Dua parhna bhul gaya 
Sunan Abu Dawud, Jild 3, 1647-Sahih

✦ Ek baar khaid bin walid syria mein ek qila fateh karne gayae waha ke sardar ke pass zahar tha aur uska kahna tha ki ye aisa zahar hai jisko zuban par rakte hi insan ki maut ho jati hai , is baat par khalid bin waleed radi allahu anhu ne kaha ki Allah ki marzi ke bina kisi ko maut nahi aa sakti aur unhone ye dua padhkar us zahar ko pee liya aur Allah ke karam se un par us zahar ka kuch bhi asar nahi hua
Tarikh At Tabri , Jild 2, # 151
-----------------


from Quran Aur Hadees https://ift.tt/2KwLYCU

No comments:

Post a Comment