Monday 18 April 2016

Mafhum-e-Hadith:Sood lene wale ko aakhirat mein paththar ka azab


Bismillahirrahmanirrahim

✦ Mafhum-e-Hadith:Sood lene wale ko aakhirat mein paththar ka azab 
-------------
✦ Samura bin Jundab Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Raat mein maine do aadmee dekhe wo dono mere paas aaye aur mujhe Bait-ul-Muqaddas mein le gaye phir hum sab wahan se chale yahan tak ke hum ek khoon ki Nahar par aaye wahan ek shakhs(nahar ke kinare par) khada hua tha aur nahar ke beech mein bhi ek shkash khada hua tha .(nahar ke kinare) khade hone wale ke samne paththar Padhe huye they, beech nahar wala aadmee aata aur jaise hi wo chahta ki wo bahar nikal aaye to bahar wala shakhs uske munh par paththar kheench kar marta aur wo jaha tha wahi phir laut jata, maine apne saathiyon se pucha ki ye kya hai to unhone uska jawab ye diya ki nahar mein tumne jis shaksh ko dekha wo sood khane wala insaan hai. 
Sahih Bukhari, Vol 3, 2085

✦ Hadith: Jabir Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne Laanat ki hai Sood (byaj) lene wale par aur Sood dene wale par , aur Sood likhne wale par aur Sood ke gawahon par aur farmaya wo sab barabar hain
Sahih Muslim, Vol4, 4093
-------------
Barons Media HealthiNation hearst digital media bad credit lenders Independent Traveler
✦ हदीस : समुरा बिन जुन्दब रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया रात में मैने दो आदमी देखे वो दोनो मेरे पास आए और मुझे बैत-उल-मुक़द्दस में ले गये फिर हम सब वहाँ से चले यहाँ तक के हम एक खून की नहर पर आए वहाँ एक शख्स (नहर के किनारे पर) खड़ा हुआ था और नहर के बीच में भी एक शख्स खड़ा हुआ था .(नहर के किनारे) खड़े होने वाले के सामने पत्थर पढ़े हुए थे, बीच नहर वाला आदमी आता और जैसे ही वो चाहता की वो बाहर निकल आए तो बाहर वाला शख्स उसके मुँह पर पत्थर खींच कर मारता और वो जहाँ था वही फिर लौट जाता, मैने अपने साथियों से पूछा की ये क्या है तो उन्होने उसका जवाब ये दिया की नहर में तुमने जिस शख्स को देखा वो सूद खाने वाला इंसान है.
सही बुखारी, जिल्द 3, 2085

✦ हदीस : जाबिर रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने लानत की है सूद (ब्याज) लेने वाले पर और सूद देने वाले पर , और सूद लिखने वाले पर और सूद के गवाहों पर और फरमाया वो सब बराबर हैं
सही मुस्लिम, जिल्द 4, 4093

------------------------------

✦ Hadith: Narrated Samura bin Jundab Radi allahu anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "This night I dreamt that two men came and took me to a Holy land whence we proceeded on till we reached a river of blood, where a man was standing, and on its bank was standing another man with stones in his hands. The man in the middle of the river tried to come out, but the other threw a stone in his mouth and forced him to go back to his original place. So, whenever he tried to come out, the other man would throw a stone in his mouth and force him to go back to his former place. I asked, 'Who is this?' I was told, 'The person in the river was a Riba-eater."
Sahih Bukhari, Book 34, #298

✦ Hadith: Jabir Radi Allahu Anhu said that the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam cursed the accepter of interest and its payer, and one who records it, and the witnesses, and he said: They are all equal.
Sahih Muslim, Book 10, # 3881
__._,_.___

No comments:

Post a Comment