Monday 19 November 2018

Uske gunaah bakhsh diye jaate hain chahe samundar ke jhaag ke barabar kyu na ho

 Bismillahirrahmanirrahim
قَالَ رَسُولِ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏
مَنْ سَبَّحَ اللَّهَ فِي دُبُرِ كُلِّ صَلاَةٍ ثَلاَثًا وَثَلاَثِينَ وَحَمِدَ اللَّهَ ثَلاَثًا وَثَلاَثِينَ وَكَبَّرَ اللَّهَ ثَلاَثًا وَثَلاَثِينَ فَتِلْكَ تِسْعَةٌ وَتِسْعُونَ
وَقَالَ تَمَامَ الْمِائَةِ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَىْءٍ قَدِيرٌ
غُفِرَتْ خَطَايَاهُ وَإِنْ كَانَتْ مِثْلَ زَبَدِ الْبَحْرِ ‏‏
صحیح مسلم ٥٩٧


Hadith : Uske gunaah bakhsh diye jaate hain chahe samundar ke jhaag ke barabar kyu na ho
--------------------
Rasool-Allah Sall-Allahu alaihi wasallam ne farmaya jo har namaz ke baad
33 baar SubhanALLAH,
33 baar Alhamdulillah,
33 baar Allahu Akbar kahe to ye 99 kalme honge aur usko Ye kahkar 100 kar le
(1 baar)  La ilaha illal-lah wahdahu la sharika lahu, lahu-l-mulk wa lahu-l-hamd wa huwa Ala kulli shayin qadir
to uske gunaah bakhsh diye jaate hain chahe samundar ke jhaag ke barabar kyu na ho
Sahih Muslim, Jild 2, 1352
--------------------


from Quran Aur Hadees https://ift.tt/2Dx9LRH

No comments:

Post a Comment