Sunday, 11 September 2016

Ghar se nikalte waqt ki dua aur uski ahmiyat

Bismillahirrahmanirrahim 


✦ Mafhum-e-Hadith: Ghar se nikalte waqt ki dua aur uski ahmiyat
-----------
✦ Anas bin malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab aadmi apne ghar se nikle aur ye dua padhe 

بِسْمِ اللَّهِ تَوَكَّلْتُ عَلَى اللَّهِ لاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ
Bismillahi tawakkaltu AlAllahi La haula wa La quwwata illa billah 
(Allah ke naam ke saath (ghar se nikalta hu) 
aur Allah hi par maine bharosa kiya gunaho se 
bachne aur neki karne ki taqat sirf Allah hee ki taraf se hai)
to usey (Allah ki taraf se) kaha jata hai ki tujhe hidayat di gayee, teri kifayat ki gayee aur teri hifazat ki gayee aur shaitan us se dur ho jata hai.

Aur dusra shaitan us se kahta hai ki us aadmi ke saath tera kya haal ho sakta hai jise hidayat di gayee ho, jiski kifayat ki gayee ho aur jiski hifazat ki gayee ho
Sunan Abu Dawud, jild 3, 1654-Sahih
-----------
✦ अनस बिन मलिक रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जब आदमी अपने घर से निकले और ये दुआ पढ़े 

بِسْمِ اللَّهِ تَوَكَّلْتُ عَلَى اللَّهِ لاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ

बिस्मिल्लाही तवक्कलतू अलअल्लाही ला हौवला वा ला क़ुव्वता इल्ला बिल्लाह 
(अल्लाह के नाम के साथ (घर से निकलता हूँ ) और अल्लाह ही पर मैने भरोसा किया गुनाहों से बचने और नेकी करने की ताक़त सिर्फ़ अल्लाह ही की तरफ से है)

तो उसे (अल्लाह की तरफ से) कहा जाता है की तुझे हिदायत दी गयी, तेरी किफायत की गयी और तेरी हिफ़ाज़त की गयी और शैतान उस से दूर हो जाता है, और दूसरा शैतान उस से कहता है की उस आदमी के साथ तेरा क्या हाल हो सकता है जिसे हिदायत दी गयी हो, जिसकी किफायत की गयी हो और जिसकी हिफ़ाज़त की गयी हो
सुनन अबू दाऊद, जिल्द 3, 1654-सही
-----------
✦ Dua while exit from home
-----------
✦ Narrated Anas ibn Malik Radi Allahu Anhu The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: When a man goes out of his house and says: 
بِسْمِ اللَّهِ تَوَكَّلْتُ عَلَى اللَّهِ لاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ
Bismillahi tawakkaltu AlAllahi La haula wa La quwwata illa billah 
"In the name of Allah, I trust in Allah; there is no might and no power but in Allah," 
the following will be said to him at that time: "You are guided, defended and protected." The devils will go far from him and another devil will say: How can you deal with a man who has been guided, defended and protected?
Sunan Abu Dawud, Book 42, 5076-Sahih
__._,_.___

No comments:

Post a Comment