Friday 9 September 2016

Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Hasan Aur Husssain Radi Allahu Anhuma se Muhabbat

Bismillahirrahmanirrahim
.
Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Hasan Aur Husssain Radi Allahu Anhuma se Muhabbat
.
Buraydah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ek baar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Khutba farma rahe the itne mein Hasan aur Hussain Radi Allahu Anhumu ladkhadate huye udhar aa gaye us waqt wo surkh dhari wala kurta pahney huye they, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam unko dekhkar Mimbar se utrey aur unko Godi mein utha liya phir Mimber par chad gaye, iskey baad Aap Sallallahu Alaihi Wasallam alaihi wasallam ne farmaya ki Beshaq tumharey Maal aur Aulad Aazmayeesh hai mainey in dono ko dekha to Sabr na kar saka uske baad Aap Sallallahu Alaihi Wasallam phir Khutba farmane lage
Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1097-Sahih
.
Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu Alaihi Wasallam ne Hazrat Hasan Radi Allahu Anhu se farmaya Eh ALLAH mein Is sey Muhabbat karta hu Aap bhi insey Muhabbat kijiye aur jo unsey Muhabbbat karey usey bhi Mehboob rakhiye 
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 142 -Sahih 
.
Al-Bara Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki mainey Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko dekha ki Hasan Radi Allahu Anhu Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke kaandhe mubarak par the aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ye farma rahey they ki Ya Allah mujhe in sey Muhabbat hai tu bhi in sey Muhabbat rakh 
Sahih Bukhari, vol 5 , 3749
----------------------------------------------------
Narrated Buraydah ibn al-Hasib: The Apostle of Allah (peace_be_upon_him) delivered a speech to us; meanwhile Al-hasan and al-Hussain Radi Allahu Anhuma came upon there stumbling, wearing red shirts. He came down from the pulpit, took them and ascended it with them. He Sallallahu Alaihi Wasallam then said: Allah truly said: "Your property and your children are only trial" , I saw both of them, and I could not wait. Afterwards he resumed the speech. 
Sunan Abu Dawud, Book#3, Hadith #1104-Sahih

It was narrated from Abu Hurairah may ALLAH be pleased with him that the Prophet peace be upon him said to Hasan: Oh Allah I love him and love those who love him.
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , #142 -Sahih

Narrated Al-Bara Radi Allahu Anhu : I saw the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam carrying Al-Hasan Radi Allahu Anhu on his shoulder an saying, O Allah! I love him, so please love him.
Sahih Bukhari,Book 57, Number 92:

No comments:

Post a Comment