Monday, 26 December 2016

Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam ✦ Abu Ayyub ansari radi allahu anhu ki mehman nawazi -SubhanAllah

✦ Part 27 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦ Abu Ayyub ansari radi allahu anhu ki mehman nawazi -SubhanAllah
--------
✦ Abu Ayyub ansari radi allahu anhu ke aazad karda gulam Aflah rivayat karte hain ki Rasool-Allah sal-allahu alaihi wasallam jab unke ghar tashreef laye to Aap salallahu alaihi wasallam neeche ke kamre mein rahe aur Abu ayyub ansari radi allahu anhu upar ke kamre mein , ek baar Abu ayyub raat ko jaage aur kaha ki hum Rasool-Allah sal-allahu alaihi wasallam ke sir ke upar chala karte hain , phir hat kar raat ko hi ek kone mein ho gaye aur wahi raat guzari , uske baad Abu Ayyub ansari radi allahu anhu ne Aap sal-allahu alahi wasallam ko upar jaane ke liye kaha to Aapne farmaya ki neeche ka kamra bhi aaram ka hai to Abu ayyub ansari radi allahu anhu ne kaha main us chat (ya kamre) mein nahi rah sakta jiske neeche Aap Sal-Allahau alaihi wasallam hon (kyunki ye gustakhi hogi) ye sunkar Aap Sallallahu alaihi wasallam upar ke kamre mein tashreef e gaye aur Abu ayyub ansari neeche wale kamre mein rahne lage.

✦ Abu Ayyub Radi allahu anhu Rasool-Allah Sal-allahu Alaihi wasllam ke liye khana tayyar karte they phir jab Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam usmein se khaa lete aur bacha hua khana wapas jata to Abu Ayyub Ansari aadmi se puchte Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ki ungliyan khane mein kaunsi jagah lagi huyee hain aur wo wahi se barkat ke liye khate.
✦ Ek baar Abu ayyub radi allahu anhu ne khana pakaya jismein lahsun tha jab khana wapas gaya to abu ayyb ne pucha ki Rasool-Allah sal-allahu alaihi wasllam ki ungliyan kaunsi jagah lagi hain logon ne kaha ki Aap sal-allahu alaihi wasallam ne nahi khaya ye sunkar Abu ayyub ghabra gaye aur upar gaye aur pucha ki kya Lahsun haram hai to Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya nahi lekin mujhe bura malum hota hai Abu ayyub ne kaha jo cheez aapko bura malum hoti hai mujhe bhi buri lagti hai Abu ayyub ne kaha Rasool-Allah sal-allahu alaihi wasallam ke paas farishte aate aur farishto ko lahsun ki boo se takleef hoti hai isliye aap sal-allahu alaihi wasallam nahi khate
Sahih Muslim, Jild 5 , 5358
-----------------
 27 - सीरत उन नबी सलअल्लाहू अलैही वसल्लम
✦ अबू अय्यूब अंसारी रदी अल्लाहू अन्हु की मेहमान नवाज़ी 


अबू अय्यूब अंसारी रदी अल्लाहू अन्हु के आज़ाद किये हुए गुलाम अफलाह रिवायत करते हैं की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम जब उनके घर तशरीफ़ लाए तो आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम नीचे के कमरे में रहे और अबू अय्यूब अंसारी रदी अल्लाहू अन्हु उपर के कमरे में , एक बार अबू अय्यूब रात को जागे और कहा की हम रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम के सिर के उपर चला करते हैं , फिर हट कर रात को ही एक कोने में हो गये और वही रात गुज़री , उसके बाद अबू अय्यूब अंसारी रदी अल्लाहू अन्हु ने आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम को उपर जाने के लिए कहा तो आपने फरमाया की नीचे का कमरा भी आराम का है तो अबू अय्यूब अंसारी रदी अल्लाहू अन्हु ने कहा मैं उस छत (या कमरे) में नही रह सकता जिसके नीचे आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम हों (क्यूंकी ये गुस्ताख़ी होगी) ये सुनकर आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम उपर के कमरे में तशरीफ़ ले गये और अबू अय्यूब अंसारी नीचे वाले कमरे में रहने लगे.
✦ अबू अय्यूब रदी अल्लाहू अन्हु रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम के लिए खाना तय्यार करते थे फिर जब आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम उसमें से खा लेते और बचा हुआ खाना वापस जाता तो अबू अय्यूब अंसारी आदमी से पूछते आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम की उँगलियाँ खाने में कौनसी जगह लगी हुई हैं और वो वही से बरकत के लिए खाते.
✦ एक बार अबू अय्यूब रदी अल्लाहु आम्हू ने खाना पकाया जिसमें लहसुन था जब खाना वापस गया तो अबू अय्यूब ने पूछा की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम की उंगलियाँ कौनसी जगह लगी हैं लोगों ने कहा की आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने नही खाया ये सुनकर अबू अय्यूब घबरा गये और उपर गये और पूछा की क्या लहसुन हराम है तो आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया नही लेकिंग मुझे बुरा मालूम होता है अबू अय्यूब ने कहा जो चीज़ आपको बुरा मालूम होती है मुझे भी बुरी लगती है अबू अय्यूब ने कहा रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम के पास फरिश्ते आते और फरिश्तो को लहसुन की बू से तकलीफ़ होती है इसलिए आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम नही खाते
सही मुस्लिम, जिल्द 5, हदीस 5358
--------------

✦ Part 27 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

✦ The hospitality of Abu Ayyub ansari radi allahu anhu
-----------------------

✦ Aflah, the freed slave of Abu Ayyub Ansari Radi Allahu anhu , reported Allah's Messnger (ﷺ) had alighted in his house (of Abu Ayyub Ansari at the time of his emigration to Medina) and he occupied the lower storey, whereas Abu Ayyub Ansari lived in the upper storey. One night, Abu Ayyub Ansari got up and said (to himself): (How unfortunate it is) that we walk above the head of Allah's Messenger (ﷺ), so they went aside and spent the night in a nook and then told Allah's Apostle (ﷺ) about it whereupon Allah's Apostle (ﷺ) said: The lower storey is more comfortable (for me). but he (Abu Ayyub Ansari) said: We (would not live) over the roof under which you live. ( it may be disrespect) So Allah's Messenger (ﷺ) shifted to the upper storey, whereas Abu Ayyub Ansari shifted to the lower storey;
Sahih Muslim, Book 23, Hadith 5099


✦ Abu Ayyub Ansari used to prepare food for Allah's Apostle (ﷺ) ; and when it was brought (back) to him he asked (to locate) the part, where his fingers had touched (the food), and he followed his fingers on that part where his fingers (those of the Holy Prophet) had touched it.


✦ (One day) he prepared food which contained garlic, and when it was returned to him he asked (to locate) the part which the fingers of Allah's Apostle (ﷺ) had touched. It was said to him that he had not eaten (the food). He (Abd Ayyub Ansari) was distressed and went up to him (to the Holy Prophet) and said: Is it forbidden? But Allah's Messenger (ﷺ) said: No, (it is not forbidden), but I do not like it. and he (Abu Ayyub Ansari) said: I also do not like what you do not like or which you did not like. He (Abu Ayyub Ansari) said: (The Prophet did not eat garlic) as Allah's Apostle (ﷺ) was visited (by angels) and brought him the message of Allah.

Sahih Muslim, Book 23, Hadith 5099
__._,_.___

jab koi gair muslim sachche dil se islam mein dakhil ho jata hai to Allah uske pichle sare gunah maaf farma deta hai

Bismillahirrahmanirrahim
✦ Hadith : jab koi gair muslim sachche dil se islam mein dakhil ho jata hai to Allah uske pichle sare gunah maaf farma deta hai

----------------------
Abu Saeed khudri Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jab (gair muslim) banda sachche dil se islam mein dakhil ho jata hai to Allah uske pichle sare gunah maaf farma deta hai aur ab uske baad uske liye badla shuru ho jata hai , ek neki ke badle 10 guna se lekar 700 guna tak sawab milta hai aur burayee ke badle sirf ek burayee hi likhi jati hai , haan magar Allah us burayee ko bhi maaf kar de (to nahi likhi jayegi)
Sahih Bukhari, Jild 1, 41
-----------------------------
✦ अबू सईद खुदरी रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जब (गैर मुस्लिम) बंदा सच्चे दिल से इस्लाम में दाखिल हो जाता है तो अल्लाह उसके पिछले सारे गुनाह माफ़ फरमा देता है और अब उसके बाद उसके लिए बदला शुरू हो जाता है , एक नेकी के बदले 10 गुना से लेकर 700 गुना तक सवाब मिलता है और बुराई के बदले सिर्फ़ एक बुराई ही लिखी जाती है , हाँ मगर अल्लाह उस बुराई को भी माफ़ कर दे (तो नही लिखी जाएगी)
सही बुखारी, जिल्द 1, 41
-----------------------------
✦ Narrated Abu Sa'id Al Khudri Radi Allahu Anhu Allah's Messenger (ﷺ) said, "If a person embraces Islam sincerely, then Allah shall forgive all his past sins, and after that starts the settlement of accounts, the reward of his good deeds will be ten times to seven hundred times for each good deed and one evil deed will be recorded as it is unless Allah forgives it."
Sahih Bukhari, Book1, 41
__._,_.___

Yahudiyo aur nasarao ko deen ki dawat dene ka tareeqa

Bismillahirrahmanirrahim
✦ Yahudiyo aur nasarao ko deen ki dawat dene ka tareeqa
-------------
✦ Ibn Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne Muadh Radi Allahu Anhu ko yemen bheja to farmaya ki main tumko ek aisee qaum ki janib bhej raha hu jo ahl e kitab hain (yani yahud aur nasara) aur jab tum unke paas pahucho to unko bula kar kahna ki wo gawahi de de ki Allah ke siwa koi bhi ibadat ke layaq nahi aur Muhammed Sal-Allahu Alaihi wasallam Allah ke Rasool hain, agar wo tumhara hukm tasleem kar le to phir unse kahna ki Allah subhanahu ne un par din raat mein paanch waqt ki namazein farz ki hain agar wo isko bhi maan le to unse kahna ki Allah subhanahu ne un par zakat bhi farz kiya hai jo ki unke ameero se liya jayega aur gareebo mein taqseem kiya jayega.
Agar wo isko bhi qubul kar le to unke achche maal lene se bacho aur mazlum ki baddua se bachte rahna kyunki us ke aur Allah ke darmiyan koi rukawat nahi hoti
Sahih Bukhari, Jild 2, 1496
-------------
✦ इब्न अब्बास रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने मुआज़ रदी अल्लाहू अन्हु को यमन भेजा तो फरमाया की मैं तुमको एक ऐसी क़ौम की जानिब भेज रहा हू जो अहल ए किताब हैं (यानी यहूद और ईसाई ) और जब तुम उनके पास पहुँचो तो उनको बुला कर कहना की वो गवाही दे दे की अल्लाह के सिवा कोई भी इबादत के लायक़ नही और मुहम्मद सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम अल्लाह के रसूल हैं, अगर वो तुम्हारा हुक्म तसलीम कर ले तो फिर उनसे कहना की अल्लाह सुबहानहु ने उन पर दिन रात में पाँच वक़्त की नमाजें फ़र्ज़ की हैं अगर वो इसको भी मान ले तो उनसे कहाँ की अल्लाह सुबहानहु ने उन पर ज़कात भी फ़र्ज़ किया है जो की उनके अमीरो से लिया जाएगा और ग़रीबो में तक़सीम किया जाएगा अगर वो इसको भी क़ुबूल कर ले तो उनके अच्छे माल लेने से बचो और मज़लूम की बद्दुआ से बचते रहना क्यूंकी उस के और अल्लाह के दरमियाँ कोई रुकावट नही होती
सही बुखारी, जिल्द 2, 1496
-------------
✦ Narrated Ibn Abbas Radi Allahu Anhu Allah's Messenger (ﷺ) said to Muadh when he sent him to Yemen, "You will go to the people of the Scripture ( Jews and christians) . So, when you reach there, 
invite them to testify that none has the right to be worshipped but Allah, 
and that Muhammad is His Apostle. And if they obey you in that, 
tell them that Allah has enjoined on them five prayers in each day and night. 
And if they obey you in that tell them that Allah has made it obligatory on them to pay the Zakat which will be taken from the rich among them and given to the poor among them. 
If they obey you in that, then avoid taking the best of their possessions, and be afraid of the curse of an oppressed person because there is no screen between his invocation and Allah.
Sahih Bukhari, Book 24, Hadith 573