Bismillahirrahmanirrahim
✦ Hadith : jab koi gair muslim sachche dil se islam mein dakhil ho jata hai to Allah uske pichle sare gunah maaf farma deta hai
----------------------
Abu Saeed khudri Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jab (gair muslim) banda sachche dil se islam mein dakhil ho jata hai to Allah uske pichle sare gunah maaf farma deta hai aur ab uske baad uske liye badla shuru ho jata hai , ek neki ke badle 10 guna se lekar 700 guna tak sawab milta hai aur burayee ke badle sirf ek burayee hi likhi jati hai , haan magar Allah us burayee ko bhi maaf kar de (to nahi likhi jayegi)
Sahih Bukhari, Jild 1, 41
-----------------------------
✦ अबू सईद खुदरी रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जब (गैर मुस्लिम) बंदा सच्चे दिल से इस्लाम में दाखिल हो जाता है तो अल्लाह उसके पिछले सारे गुनाह माफ़ फरमा देता है और अब उसके बाद उसके लिए बदला शुरू हो जाता है , एक नेकी के बदले 10 गुना से लेकर 700 गुना तक सवाब मिलता है और बुराई के बदले सिर्फ़ एक बुराई ही लिखी जाती है , हाँ मगर अल्लाह उस बुराई को भी माफ़ कर दे (तो नही लिखी जाएगी)
सही बुखारी, जिल्द 1, 41
-----------------------------
✦ Narrated Abu Sa'id Al Khudri Radi Allahu Anhu Allah's Messenger (ﷺ) said, "If a person embraces Islam sincerely, then Allah shall forgive all his past sins, and after that starts the settlement of accounts, the reward of his good deeds will be ten times to seven hundred times for each good deed and one evil deed will be recorded as it is unless Allah forgives it."
Sahih Bukhari, Book1, 41
__._,_.___
No comments:
Post a Comment