Thursday 3 March 2016

Hazrat Ali Radi allahu anhu ki shaan

Bismillahirrahmanirrahim
✦ Hazrat Ali Radi allahu anhu ki shaan-
------
✦ Abu Sarihah ya Zaid bin Arqam radi allahu anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya jiska main mola ( yani khas dost) hu uske Ali bhi mola (khas dost) hai
Jamia Tirmidi,Jild 2, 1645 -Sahih

✦ Sad bin Waqqas radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne Ali radi allahu anhu ke liye farmaya jiska main mola ( yani dost) hu uske Ali (radi allahu anhu) bhi mola (yani dost) hain aur tum mere nazdeek aise ho jise Harun alaihi salam musa alaihi salam ke nazdeek, magar mere baad koi Nabi nahi hai aur aapne (khaibar wale din) ye farmaya ki main aaj jhanda uske haath mein dunga jo Allah aur uske Rasool se muhabbat rakhta hai ( aur wo jhanda Ali radi allahu ko diya gaya )
Sunan Ibn Majah, Jild 1, Hadith 121-Sahih

✦ Saad bin Waqas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne Hazrat Ali Radi Allahu Anhu se farmaya ki tum mere pass aise ho jaise hazrat harun alaihi salam musa alaihi salam ke paas they magar mere baad koi nabi nahi hai
Sahih Muslim, Jild 6, 6217
------
✦ अबू सरीहा या ज़ैद बिन आरक़म रदी अल्लाहू अन्हुमा से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जिस का मैं मोला ( यानी खास दोस्त) हूँ उसके अली भी मोला (खास दोस्त) है
जामिया तिरमिज़ी ,जिल्द 2, 1645 -सही

✦ साद बिन वकास रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने अली रदी अल्लाहू अन्हु के लिए फरमाया जिसका मैं मोला ( यानी दोस्त) हू उसके अली (रदी अल्लाहू अन्हु) भी मोला (यानी दोस्त) हैं और (उन्होंने अली रदी अल्लाहु अन्हु से फ़रमाया) तुम मेरे नज़दीक ऐसे हो जिसे हारून अलैही सलाम मूसा अलैही सलाम के नज़दीक, मगर मेरे बाद कोई नबी नही है और आपने (ख़ैबर वाले दिन) ये फरमाया की मैं आज झंडा उसके हाथ में दूँगा जो अल्लाह और उसके रसूल से मुहब्बत रखता है ( और वो झंडा अली रदी अल्लाहू को दिया गया )
सुनन इब्न माजा, जिल्द 1, हदीस 121-सही
--------------------------------------------------------
✦ Narrated Abu Sarihah, or Zaid bin Arqam - Shubah had doubt ( about narrator)
from the Prophet (Sal-Allahu alaihi wasallam: "For whomever I am his Mawla then 'Ali is his Mawla."
Jamia Tirmidi, Book 46, 3713-Sahih

✦ It was narrated that Sad bin Waqqas said the Messenger of Allah Sal-Allahu alaihi wasallam sais : "If I am a person's close friend, Ali radi allahu anhu is also his close friend.And I heard him saying ( to Ali radi allahu anhu) : You are to me like Harun was to Musa, except that there will be no Prophet after me." And I heard him say: I will give the banner today to a man who loves Allah and His Messenger. ( And banner was given to Ali radi allahu anhu)
Sunan Ibn Majah, Book 1, 121-Sahih

✦ Amir b Sa'd b. Abi Waqqas reported that Allah's Messenger Sal-Allahu alaihi wasallam addressing 'Ali radi allahu anhu said: You are in the same position with relation to me as Aaron (Harun) was in relation to Moses but with (this explicit difference) that there is no prophet after me.
Sahih Muslim, Book 31, 5913

No comments:

Post a Comment