Friday 12 February 2016

jo shakhs hamare choto par raham na kare aur hamare bado ka ehatram na kare wo hum mein se nahi hai



Bismillahirrahmanirrahim
✦ Hadith: jo shakhs hamare choto par raham na kare aur hamare bado ka ehatram na kare wo hum mein se nahi hai
----------------
✦ Abdullah ibn Amr ibn Al-As Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya jo hamare choto par raham na kare aur hamare bado ke huquq ko na pahchane wo hum mein se nahi hai
Sunan Abu Dawud, Jild 3,1506-Sahih


✦ Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki maine suna Abu Qasim ( Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ) ne farmaya jo hamesha sach kahne wale aur tasdeeq ki huyee baat kahte hai ki Meharbani aur rahamdili sirf usee se cheen li jati hai jo badbakht hota hai


Sunan Abu Dawud, Jild 3,1505-Hasan



✦ Anas bin Malik Radi allahu anhu se rivayat hai ki ek budha shakhs Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam se mulaqat ke liye hazir hua , logo ne usko raasta dene mein der ki to us waqt Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shakhs hamare choto par raham na kare aur hamare bado ka ehatram na kare wo hum mein se nahi hai


Jamia Tirmidhi Jild 1,1982-Hasan


----------------


✦ अब्दुल्लाह इब्न अम्र इब्न अल-आस रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जो हमारे छोटों पर रहम ना करे और हमारे बड़ो के हुक़ूक़ को ना पहचाने वो हम में से नही है


सुनन अबू दाऊद, जिल्द 3,1506-सही



✦ अबू हुरैरा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की मैने सुना अबू क़ासिम (सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया जो हमेशा सच कहने वाले और तसदीक़ की हुई बात कहते है की मेहरबानी और रहमदिली सिर्फ़ उसी से छीन ली जाती है जो बदबख्त होता है


सुनन अबू दाऊद, जिल्द 3,1505-हसन



✦ अनस बिन मलिक रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की एक बूढ़ा शख्स रसूल अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम से मुलाक़ात के लिए हाज़िर हुआ , लोगो ने उसको रास्ता देने में देर की तो आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जो शख्स हमारे छोटों पर रहम ना करे और हमारे बड़ो का एहतराम ना करे वो हम में से नही है


जामिया तिरमिज़ी, जिल्द 1,1982-हसन


------------------


✦ Narrated Abdullah ibn Amr ibn Al-As Radi allahu anhu The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: Those who do not show mercy to our young ones and do not realise the right of our elders are not from us.


Sunan Abu Dawud, Book 42, 4925-Sahih

✦ Narrated Abu Hurairah Radi allahu anhu I heard AbulQasim Sal-Allahu Alaihi Wasallam who spoke the truth and whose word was verified say: Mercy is taken away only from him who is miserable.


Sunan Abu Dawud, Book 42, 4924-Hasan

✦ Anas bin Malik Radi allahu anhu narrated that An older man came to talk to the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam , and the people were hesitant to make room for him. The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said He is not one of us who does not have mercy on our young and does not respect our elders."


Jamia Tirmidhi , Book 1, 1919-Hasan

No comments:

Post a Comment