Monday 1 February 2016

Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahirrahmanirrahim 

✦ Part 11 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

✦ Hadith: Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Lagatar ek ke baad ek (bina sehri aur iftar ke) roze na rakha karo ( Yani Al-Wisal na karo)  Sahaba Radhi allahu anhuma ne arz kiya ke Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam aap bhi to wisal karte hain to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya main aap logo ki tarah nahi hu , mujhe raat mein ( ALLAH subhanahu) ki taraf se khilaya aur pilaya jata rahta hai 
Sahih Bukhari, Vol 3, 1961

✦ Aisha Radhi allahu anhu  se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam   ne farmaya ye Jibril hain aur tumhe salam kahte hain, maine kaha un par bhi salam aur Allah subhanahu ki rahmat ho, Aayesha Radi Allahu Anha ne kaha ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam wo cheezein bhi dekhte they jinhe hum nahi dekh sakte they.
Sahih Bukhari, Vol 7, 6201

✦ Abdullah bin Amr Radhi allahu anhu se rivayat hai ki maine Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam se  kaha ki (Aapne farmaya tha) baith kar namaz padhna aadhi namaz ke barabar hai aur Aap baith kar namaz padh rahe hain to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya, haan ye sach hai lekin main aap logo ki tarah nahi hu( yani mujhe pura hi sawab milta hai)
Sahih Muslim, Vol 2, 1715

✦ Anas Bin Malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam  ne farmaya Ruku aur Sazda pure taur par Ada kiya karo ALLAH  ki kasam jiske haath mein meri jaan hai main apne Kamar ke peechey se tum logon ko dekh leta hu jab tum log Ruku aur Sazda karte ho
Sahih Bukhari, Vol8, 6644

✦  Quran ki Surah kahaf ki aayat 110 ka mafhum hai ki "Aap farma dijiye ki main bhi tum jaisa ek bashar hu meri taraf WAHI aati hai ki Tumhara mabud ek hi (ALLAH) hai " is aayat mein nabi ke jariye Allah ki wahdaniyat ka elan karwaya gaya hai taaki log nabi ko RAB samajh kar ibadat na karne lag jaye magar isee aayat se farq malum hot hai ki nabi par wahi nazil hoti thi aur aam insano par nahi isliye koi is aayat ko aadhi padhkar nabi ko apne jaisa aam bashar na samajh le , hadith mein saaf Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya hai ki  main tumari tarah nahi hu,beshak hamare nabi sabse afzal bashar they



 11 - सीरत उन नबी सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम

 हदीस : रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया लगातार एक के बाद एक (बिना सेहरी और इफ्तार  के) रोजा ना रखा करो ( यानी अल-विसाल ना करो)  सहाबा रदी अल्लाहू अन्हुमा ने अर्ज़ किया के आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम आप भी तो विसाल करते हैं तो आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया मैं आप लोगो की तरह नही हूँ  मुझे रात में ( अल्लाह सुबहानहु) की तरफ से खिलाया और पिलाया जाता रहता है
सही बुखारीजिल्द 3, 1961

 आयशा रदी अल्लाहू अन्हु  से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम  ने फरमाया ये जिब्रिल हैं और तुम्हे सलाम कहते हैंमैने कहा उन पर भी सलाम और अल्लाह सुबहानहु  की रहमत होआएशा रदी अल्लाहू अन्हा  ने कहा की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम वो चीज़ें भी देखते थे जिन्हे हम नही देख सकते थे.
सही बुखारीजिल्द  7, 6201

 अब्दुल्लाह बिन अमर रदी  अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की मैने रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम से  कहा की (आपने फरमाया था) बैठ कर नमाज़ पढ़ना आधी नमाज़ के बराबर है और आप बैठ कर नमाज़ पढ़ रहे हैं तो आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमायाहाँ ये सच है लेकिन मैं आप लोगो की तरह नही हूँ ( यानी मुझे पूरा ही सवाब मिलता है)
सही मुस्लिमजिल्द 2, 1715

 अनस बिन मलिक रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया रुकु और सज़दा पूरे तौर पर अदा किया करो अल्लाह  की कसम जिसके हाथ में मेरी जान है मैं अपने कमर के पीछे से तुम लोगों को देख लेता हूँ  जब तुम लोग रुकु और सज़दा करते हो
सही बुखारीजिल्द 8, 6644

 कुरान की एक आयत सुरह कहफ़ आयत 110 का मफ्हुम है की  की मैं तुम्हारी तरह एक बशर हूँ और तुम्हारा माबूद तो एक अल्लाह ही है   इसमें नबी के ज़रिये   अल्लाह की वाहदानियत का एलान करवाया गया है की ताकि लोग नबी को अल्लाह न समझ ले और उनकी इबादत करने न लग जाये मगर उसी आयत में आगे आपने वही के नुज़ूल का फर्क बता दिया था की मैं तुम्हारी तरह एक बशर हूँ  मगर मुझे पर वही नाजिल होती है इसलिए कोई आधी आयत पढ़कर नबी को अपने जैसा बशर ना समझ ले क्यूंकि हदीस में साफ़  कहा जा रहा है की मैं तुम्हारी तरह नहीं हूँ , बेशक हमारे नबी सबसे अफज़ल बशर थे  
------------------------------------------------------------



 Part 11 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

 Narrated By Anas Radi Allaho Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Do not practice Al-Wisal (fasting continuously without breaking one's fast in the evening or eating before the following dawn)." The people said to the Prophet SallallahuAlaihi Wasallam , "But you practice Al-Wisal?" The Prophet replied, "I am not like any of you, for I am given food and drink (by Allah) during the night."
Sahih Bukhari,  Book 31,182

 Narrated Aisha Radi Allahu Anha: Allah's Apostle Sallallahu Alaihi wasallam said, "O Aisha! This is Gabriel sending his greetings to you." I said, "Peace, and Allah's Mercy be on him." 'Aisha Radi Allaho Anha added: The Prophet  Sallallahu Alaihi wasallam used to see things which we used not to see. 
Sahih Bukhari,, Book 73, 220 

 Abdullah bin amr Radhi allahu anhu reported:
I said : Oh Messenger of Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam , it has been narrated to me that you said: The prayer of a man in a sitting position is half of the prayer, whereas you are observing prayer sitting. He (the Holy Prophet) said: Yes, it is so, but I am not like anyone amongst you.( means I get full reward of half even)
Sahih Muslim, Book 4, Hadith 1600

 Narrated Anas bin Malik Radi Allahu Anhu : I heard the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam  saying, "Perform the bowing and the prostration properly (with peace of mind), for, by Him in Whose Hand my soul is, I see you from behind my back when you bow and when you prostrate." 
Sahih Bukhari, Book 78,  639

No comments:

Post a Comment