Saturday 21 February 2015

Al Quran, Surah Aal-e-imran(3), 78-80



Bismillahirrahmanirrahim

Al Quran: Aur beshak unmein se ek jamaat hai jo ki (ALLAH ki) kitab ko zuban marod kar padhte hain taaki tum ye khayal karo ki wo (ALLAH ki) kitab mein se hai , halanki wo kitab mein se nahi hai aur wo ALLAH par jaan bujh kar jhoot bolte hain. Kisi insan ke liye jayaz nahi ki ALLAH usko kitab aur hikmat aur nabuwat ata farmaye phir wo logon se ye kahe ki ALLAH ko chorh kar mere bande ho jao, bulki wo ye kahega ki tum log ALLAH wale ban jao isliye ki tum ALLAH ki kitab sikhate aur us waaste ki tum padhte ho, Aur na ye jayaz hai ki tumhe hukm kare ki tum farishton aur nabiyo ko RAB bana lo, kya wo (ALLAH) tumhe musalman ban jane ke baad kufr sikhayega ( hargiz nahi). 

AL Quran , Surah Aal-e-imran (3) , 78-80
---------------------------------------------
AL Quran: And verily, among them is a party who distort the Book with their tongues (as they read), so that you may think it is from the Book, but it is not from the Book, and they say: "This is from Allah," but it is not from Allah; and they speak a lie against Allah while they know it. 
It is not (possible) for any human being to whom Allah has given the Book and Al-Hukm (the knowledge and understanding of the laws of religion) and Prophethood to say to the people: "Be my worshippers rather than Allah's." On the contrary (he would say): "Be you Rabbaniyyun (learned men of religion who practise what they know and also preach others), because you are teaching the Book, and you are studying it." 
Nor would he order you to take angels and Prophets for lords (gods) . Would he order you to disbelieve after you have submitted to Allah's Will?

AL Quran , Surah Aal-e-imran (3) , 78-80

AL Quran , Surah Aal-e-imran (3) , 64



Bismillahirrahmanirrahim



Al Quran : Kah do Eh Ahl-e-kitab ek baat ki taraf aa jao jo hamare aur tumhare darmiyan barabar hai ki ALLAH ke siwa kisi aur ki bandagi na kare aur uske saath kisi ko sharik na banaye aur ALLAH ke siwaye koi kisi ko RAB na banaye iske baad bhi agar wo phir jaye to kah do gawah raho ki hum to farmabardar hone wale hai

AL Quran , Surah Aal-e-imran (3) , 64



Hadith: Anas bin malik radi allahu taala anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Allah taala Qayamat ke din Dozakh ke sabse kam Azab pane wale se puchega agar tumhe zameen ki sari cheezein mayassar ho to kya tum usko fidye mein(azab se nijat pane ko) de do ge wo kahega ki haan, ALLAH subhanahu farmayega ki maine tumse is se bhi aasan cheez ka us waqt mutalba kiya tha jab tum Aadam ki peeth mein they ki mere saath kisi ko Sharik na karna lekin tumne inkar kiya aur na mana aur shirk hi kiya 

Sahih bukhari, Vol8, 6557 

--------------------------------------------------------

AL Quran : Say O people of the Scripture (Jews and Christians): Come to a word that is just between us and you, that we worship none but Allah (Alone), and that we associate no partners with Him, and that none of us shall take others as lords besides Allah . Then, if they turn away, say: "Bear witness that we are Muslims."

Al Quran , Surah Aal-e-imran (3) , 64



Hadith: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, Allah will say to the person who will have the minimum punishment in the Fire on the Day of Resurrection, 'If you had things equal to whatever is on the earth, would you ransom yourself (from the punishment) with it?' He will reply, Yes. Allah will say, 'I asked you a much easier thing than this while you were in the backbone of Adam, that is, not to worship others besides Me, but you refused and insisted to worship others besides Me."' 


Sahih Bukhari, , Book 76, No. 562

AL Quran , Surah Al Maeda(5), 55-56


Bismillahirrahmanirrahim 

.

Al Quran : Eh Imaan walo Yahud aur nasaara (christians) ko apna dost na banao wo aapas mein ek dusre ke dost hain aur jo koi tum mein se unke saath karega to wo unmein se hai , beshak ALLAH Zalimo ko hidayat nahi karta

Al Quran, Al-Maeda (5), 51

.

Al Quran : Eh Imaan walo musalmano ko chorh kar kaafiron ko apna Dost na banao, kya tum ye chahte ho ki apne upar ALLAH ka sareeh ilzaam lo.

Al Quran, An-Nisa (4) , 144

.

Al Quran : ( Eh Momeeno) tumhare wali (dost) to ALLAH aur uske Rasool (Sal-Allahu Alaihi Wasallam) aur imaan wale log hain, Jo namaz qayam karte hain aur zakat dete hain aur (ALLAH ke aage) sir jhukate hain Aur jo shakhs Allah aur uske Rasool(Sal-Allahu Alaihi Wasallam) aur imaan walon ko dost rakhe to ALLAH ki jamaat hi ghalib hone wali hai Eh Imaan walo un logo ko apna dost na banao jinhone tumhare deen ko hansee aur khel bana rakha hai un logo mein se jinhe pahle kitab di gayee ( yani yahud aur nasara) aur kaafiro ko. Aur Allah se daro agar tum imaan wale ho

Al Quran , Surah Al maeda (5) , 55-57

.

Al Quran : Eh Imaan walo mere dushmano aur apne dushmano ko dost na banao , tum to unke pass dosti ke paigham bhejte ho , halanki tumhare pass jo sachcha deen aaya uskey ye munkir hain .

Al Quran, Surah Al-Mumtahana (60), Verse 1



Al Quran : Musalman Musalmano ko chorh kar kafiro ko dost na banaye aur jo koi ye kaam kare uska ALLAH se koi talluq nahi magar is surat mein ki tum unse bachao karna chaho aur ALLAH tumhe apne se darata hai aur Allah hi ki taraf laut kar jana hai

AL Quran , Surah Aal-e-imran (3) , 28

------------------------------------------------------------------------------------


Al Quran : O you who believe! Take not the Jews and the Christians as Auliya (friends, protectors, helpers), they are but Auliya of each other. And if any amongst you takes them (as Auliya), then surely he is one of them. Verily, ALLAH guides not those people who are the Zalimun.

Al Quran, Al-Maeda (5), 51

.

Al Quran : Verily, your Wali (Friends) is none other than Allah, His Messenger, and the believers, - those who perform As-Salat (Iqamat-as-Salat), and give Zakat, and they are those who bow down (to Allah in prayer).

And whosoever takes Allah, His Messenger, and those who have believed, as Protectors, then the party of Allah will be the victorious.

O you who believe! Take not as Auliya (Friends, protectors and helpers) those who take your religion as a mockery and fun from among those who received the Scripture (Jews and Christians) before you, and nor from among the disbelievers; and fear Allah if you indeed are true believers.

Al Quran , Surah Al maeda (5) , 55-57

.

AL Quran : O you who believe! Take not for Auliya (protectors or friends) disbelievers instead of believers. 

Do you wish to offer ALLAH a manifest proof against yourselves?

Al Quran, An-Nisa, (4) , Verse 144

.

Al Quran: O you who believe! Take not My enemies and your enemies (i.e. Disbelievers and polytheists) as friends, showing affection towards them, while they have disbelieved in what has come to you of the truth

Al Quran, Surah Al-Mumtahana (60), Verse #1

.

AL Quran : Let not the believers take the disbelievers as Auliya (friend , protector) instead of the believers, and whoever does that will never be helped by Allah in any way, except if you indeed fear a danger from them. And Allah warns you against Himself (His punishment) , and to Allah is the final return.


AL Quran , Surah Aal-e-imran (3) , 28

Thursday 19 February 2015

Moulana khalelure rahman sahab

Moulana khalelure rahman sahab 



AL Quran , Surah Aal-e-imran (3) , 92









Bismillahirrahmanirrahim

Al Quran : (Momeeno tum) Hargiz neki mein kamal hasil nahi kar sakte jab tak ki apni pyari cheez mein se kharch na karo
Aur jo cheez tum khach karoge beshak ALLAH usey janney wala hai

Surah Aal-e-imran (3) ,92

--------------------------------------------------

Al Quran : By no means shall you attain Al-Birr (righteousness or Allah's Reward), unless you spend (in Allah's Cause) of that which you love; and whatever of good you spend, Allah knows it well.
Surah Aal-e-imran (3) ,92

Tum mein se koi shaksh aisa nahi hai jiska jannat ya Dozakh ka thikana tay nahi ho chuka ho









Bismillahirrahmanirrahim

Hadith:Tum mein se koi shaksh aisa nahi hai jiska jannat ya Dozakh ka thikana tay nahi ho chuka ho

Hazrat Ali Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Nabee Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tum mein se koi shaksh aisa nahi hai jiska jannat ya Dozakh ka thikana tay nahi ho chuka ho,Sahaba ne arz kiya ki phir kyun na hum usi par bharosa kar le, RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Amal kartey raho kyunki har shaksh jis thikaney ke liye paida kiya gaya hai usko waisee hi taufiq di jayegi 
{Sahih Bukhari, Vol7, 6217}



Anas bin malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shaksh ALLAH se 3 martaba jannat maangta hai to jannat kahti hai ki 

YA ALLAH isko jannat mein dakhil farma. 

Aur jo shaks 3 martaba dozakh ki aag se panah maangta hai to dozakh ki aag kahti hai 

YA ALLAH isko dozakh ki aag se mehfooz farma 

{Sunan Nasaii, Vol 3, 1822 –Sahih}



اللَّهُمَّ اِنِّي اَسْئَلُكَ الجَنَّةَالْفِردَوْس

Allahumma inni Asaluka Jannat-Al-Firdaus



الَْلهُمَّ أَجِِرْنَا مِنَ النَّار

Allahumma Ajirna Minan Naar 

---------------------------------------

English Translation:



Narrated 'Ali Radi Allahu Anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi wasallam said , "There is none amongst you but has been assigned a place (either) in Paradise and (or) in the Hell-Fire." The people said (to him), "Should we not depend upon it?" He said: carry on doing (good) deeds, for everybody will find easy such deeds as will lead him to his destined place. 

{Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No.236}



It was narrated that Anas bin Malik Radi Allahu Anhu said 

The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: 

Whoever asks Allah for Paradise three times, Paradise will say: 

O Allah, admit him to Paradise. And whoever seeks protection from Hell-fire three times, Hell-fire will say: O Allah, protect him from the Hell-Fire 

{Sunan Nasaii, Book 50, 5523-Sahih}



اللَّهُمَّ اِنِّي اَسْئَلُكَ الجَنَّةَالْفِردَوْس

Allahumma inni Asaluka Jannat-Al-Firdaus



الَْلهُمَّ أَجِِرْنَا مِنَ النَّار

Allahumma Ajirna Minan Naar