Thursday, 10 March 2016

Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam (Maidan e mahshar mein Ummat ki shfaat – Part 1

✦ Part 15 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam (Maidan e mahshar mein Ummat ki shfaat – Part 1)






Bismillahirrahmanirrahim 

✦ Part 15 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
(Maidan e mahshar mein Ummat ki shfaat – Part 1)
---------------------------
✦ Anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah subhanahu Qayamat ke din jaise hum duniya mein jama hote hain usee tarah momeeno ko ekaththa kerega (woh garmi se pareshan ho kar) kahenge kash hum kisi ki sifarish apne maalik ke paas le jate taake humein apni is haalat se aaram mil jaye
Isliye sab mil kar Aadam Alaihi Salam ke paas aayenge, aur unse kahenge oh Adam Alaihi salam aap logo ka haal nahi dekhte kis balaa mein girftar hain. Aap ko Allah subhanahu ne ( khaas ) apne haath se banaya aur farishton se aap ko sajda karaya aur har cheez ke naam aap ko batlaye ( har zuban mein bolna baat karna sikhaya) kuch sifarish kijiye taaki hum logon ko is jagah se nijaat ho kar aaraam miley. Wo farmayenge main is layaq nahi, un ko wo khata yaad aa jayegi jo unhon ne ki thi ( mamnoo darakht mein se khana ), tum log aisa karo Nooh Alaihi Salam ke paas jao wo pahle Rasool hain jinko Allah Subhanahu ne zameen walon ki taraf bheja tha.

✦ Aakhir wo log sab Nooh Alaihi Salam ke paas aayenge, wo bhi yahi jawab denge, Main is Layaq nahi apni khata jo unhon ne (duniya mein) ki thi yaad karenge, wo bhi kahenge tum log aisa karo ibrahim alaihi salam ke paas jao jo Allah ke khalil hain ( log un ke paas jayenge) wo bhi apni khatayein yaad kar ke kahenge mein is layaq nahi tum moosa Alaihi Salam ke paas jao Allah ne un ko taurat inayat farmayee, un se bol kar baatein kee.
Sahih Bukhari, Jild 8, 7410 –Part 1

---------------------

✦ 15 - सीरत उन नबी सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम
(मैदान ए महशर में उम्मत की शफ़ाअत – 1)

✦ अनस रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया अल्लाह सुबहानहु क़यामत के दिन जैसे हम दुनिया में जमा होते हैं उसी तरह मोमीनों को ईकठ्ठा करेगा (वो गर्मी से परेशान हो कर) कहेंगे काश हम किसी की सिफारिश अपने मालिक के पास ले जाते ताके हमें अपनी इस हालत से आराम मिल जाए
इसलिए सब मिल कर आदम अलैही सलाम के पास आएँगे, और उनसे कहेंगे ओ आदम अलैही सलाम आप लोगो का हाल नही देखते हम किस बला में गिरफ्तार हैं. आप को अल्लाह सुबहानहु ने (ख़ास) अपने हाथ से बनाया और फरिश्तों से आप को सजदा कराया और हर चीज़ के नाम आप को बतलाए ( हर जुबान में बोलना बात करना सिखाया) कुछ सिफारिश कीजिए ताकि हम लोगों को इस जगह से निजात हो कर आराम मिले. वो फरमाएँगे मैं इस लायक़ नही, उन को वो खता याद आ जाएगी जो उन्होंने की थी ( ममनूअ दरख़्त में से खाना ), तुम लोग ऐसा करो नूह अलैही सलाम के पास जाओ वो पहले रसूल हैं जिनको अल्लाह सुबहानहु ने ज़मीन वालों की तरफ भेजा था.

✦ आख़िर वो लोग सब नूह अलैही सलाम के पास आएँगे, वो भी यही जवाब देंगे, मैं इस लायक़ नही अपनी ख़ता जो उन्होंने (दुनिया में) की थी याद करेंगे, वो भी कहेंगे तुम लोग ऐसा करो ईब्राहिम अलैही सलाम के पास जाओ जो अल्लाह के ख़लील हैं ( लोग उन के पास जाएँगे) वो भी अपनी खताएं याद कर के कहेंगे में इस लायक़ नही तुम मूसा अलैही सलाम के पास जाओ अल्लाह ने उनको तौरात इनायत फरमाई, उन से बोल कर बातें की……………
सही बुखारी , जिल्द 8 , हदीस 7410 – Part 1

------------------
✦ Part 15 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
(The intercede of the ummah on the day of Qayamah Part -1)

✦ Narrated Anas Radi Allahu Anhu The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said, "Allah will gather the believers on the Day of Resurrection in the same way (as they are gathered in this life), and they will say, 'Let us ask someone to intercede for us with our Lord that He may relieve us from this place of ours.' Then they will go to Adam Alaihi Salam and say, 'O Adam Alaihi Salam ! Don't you see the people (people's condition)? Allah created you with His Own Hands and ordered His angels to prostrate before you, and taught you the names of all the things. Please intercede for us with our Lord so that He may relieve us from this place of ours.' Adam Alaihi Salam will say, 'I am not fit for this undertaking' and mention to them the mistakes he had committed, and add, "But you better go to Noah Alaihi Salam as he was the first Apostle sent by Allah to the people of the Earth.

✦ They will go to Noah Alaihi Salam who will reply, 'I am not fit for this undertaking,' and mention the mistake which he made, and add, 'But you'd better go to Ibrahim Alaihi Salam, Khalil Ar-Rahman.' They will go to Ibrahim Alaihi Salam who will reply, 'I am not fit for this undertaking,' and mention to them the mistakes he made, and add, 'But you'd better go to Moses Alaihi Salam, a slave whom Allah gave the Torah and to whom He spoke directly
Sahih Bukhari, Book 93, Hadith 507-Part 1
__._,_.___

Friday, 4 March 2016

Munafiqo ko khushkhabri suna do ki unke waste dardnak azab hai

Bismillahirrahmanirrahim
✦ Al Quran : Munafiqo ko khushkhabri suna do ki unke waste dardnak azab hai , wo jo musalmano ko chorh kar kafiro ko dost banate hain , kya unke yahan se Ezzat chahte hain ? jabki sari ezzat to Allah ke qabze mein hai

Surah An Nisa (4) Verse 138-139


✦ Al Quran :Eh Imaan walo mere dushmano aur apne dushmano ko dost na banao , tum to unke pass dosti ke paigham bhejte ho , halanki tumhare pass jo sachcha deen aaya uskey ye munkir hain .
Surah Al-Mumtahana (60), Verse 1
---------------------------
✦ अल क़ुरान : मुनाफ़ीकों को खुशख़बरी सुना दो की उनके वास्ते दर्दनाक अज़ाब है , वो जो मुसलमानो को छोड़ कर काफिरो को दोस्त बनाते हैं , क्या उनके यहाँ से ईज्ज़त चाहते हैं ? 
जबकि सारी ईज्ज़त तो अल्लाह के क़ब्ज़े में है
सुरह अन निसा (4) आयत 138-139

✦ अल क़ुरान :एह ईमान वालो मेरे दुश्मनो और अपने दुश्मनो को दोस्त ना बनाओ , तुम तो उनके पास दोस्ती के पैगाम भेजते हो , हालाँकि तुम्हारे पास जो सच्चा दीन आया उसके ये मुनकीर हैं .
सुरह अल-मुमतहाना (60), आयत 1
--------------------
✦ Al Quran : Give to the hypocrites the tidings that there is for them a painful torment.Those who take disbelievers for Auliya (Protectors or friends) instead of believers, do they seek honour, power and glory with them? Verily, then to Allah belongs all honour, power and glory.
Surah An Nisa (4) Verse 138-139

✦ Al Quran : O you who believe! Take not My enemies and your enemies as friends, showing affection towards them, while they have disbelieved in what has come to you of the truth
Surah Al-Mumtahana (60), Verse #1

Aayat-Al-Kursi ki Fazilat


Bismillahirrahmanirrahim
Mafhum-e-Hadith: Aayat-Al-Kursi ki Fazilat
Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne mujhe Ramazan ki zakat ki hifazat par muqarrar farmaya. (raat mein) ek shakhs achanak mere paas aaya aur galley mein se uthane laga mein ne usko pakad liya aur kaha ke Allah ki kasam main tujhe Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein le chaloon ga, is par usne kaha ke Allah ki qasam mein bahu mohtaaj hon. mere bachce hain aur mein sakht zaroorat mand hun.
Hazrat Abu hurairah radi allahu anhu ne kaha maine ( uske izhaar muaazrat par ) usko chorh diya subah huyee to Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne mujh se pucha, eh Abu Hurairah guzishta raat tumhare qaidi neh kya kya tha? Maine kaha Ya Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam is neh sakht zaroorat aur baal bachon ka rona roya, is liye mujhe is par reham aa gaya. aur mein neh usko chorh diya. Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke woh tum se jhoot bol kar gaya hai. aur woh phir aeye ga.
Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ke is farmane ki wajah se mujh ko yaqeen tha ke wo phir zaroor aeyega. is liye mein is ki taak mein laga raha. 
aur jab woh doosri raat aa ke phir galla uthane laga to mein ne usko phir pakda aur kaha ke tujhe Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein haazir karoon ga, lekin ab bhi is ki wohi iltija thi ke mujhe chorhe de, main mohtaaj hon. baal bachon ka boojh mere sir par hai. ab mein kabhi nahi aaunga. 
mujhe reham aa gaya aur mein neh usko phir chorh diya. subah huyee to Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya eh Abu Hurairah tumare qaidi ne kya kiya? Maine kaha Ya Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam usne phir iski sakht zaroorat aur baal bachon ka rona roya. jis par mujhe reham aa gaya. is liye mein neh usay chorhe diya.

Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne is martaba bhi yahi farmaya ke woh tum se jhoot bol kar gaya hai aur woh phir aeye ga. teesri martaba mein phir is ke intzaar mein tha ke isne phir teesri raat aa kar galla uthana shuru kya, to maine usko pakad liya, aur kaha ki tujhe Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein pahunchana ab zurori ho gaya hai. ye teesra mauqa hai. har martaba tum yaqeen dilate rahe ke phir nahi aaoge. lekin tum baz nahi aeye. isne kaha ke is martaba mujhe chorhe to main tumhe aise chand kalimaat sikha dunga jis se Allah taala tumhe faida pahuchayega.
Maine poocha woh kalimaat kya hain? usne kaha, jab tum apne bistar par letnay lago to Aayat al kursi ( Allahu La ilaha illa huwa Alhayyu Al Qauul aakhir tak ) poori parh liya karo. ek nigran farishta Allah taala ki taraf se barabar tumhari hifazat karta rahega. aur subah tak shaitan tumare paas kabhi nahi aa sakega. is martaba bhi phir mein neh usko chorh diya. subah huyee to Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya, guzishta raat tumare qaidi ne tumse kya muaamla kiya? maine arz ki Ya Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam usne mujhe chand kalimaat sikhaye aur yaqeen dilaya ki Allah Subhanhu mujhe is se faayda pahunchayega. isliye maine usko chorh diya. Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki woh kalimaat kya hain? maine arz kiya ki usne bataya tha ki jab bistar par leto to Aayat al kursi ( Allahu La ilaha illa huwa Alhayyu Al Qauul aakhir tak ) poori padh lena . (iske padhne se) Allah subhanahu ki taraf se tum par ek nigaran farishta muqarrar rahega. aur subah tak shaitan tumare qareeb bhi nahi aa sakega. Sahaba Radi allahu anhu khair ko sab se aage badh kar lene wale they.
Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ( unki ye baat sun kar ) farmaya ke agarche woh jhoota tha lekin tum se ye baat sach keh gaya hai Eh Abu hurairah tum ko ye bhi maloom hai ke teen raton se tumhara muaamla kis se tha? unhone kaha nahi. Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke woh Shaitan tha .
Sahih Bukhari, Vol 3, 2311

---------------------------------------------

Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam deputed me to keep Sadaqat (al-Fitr) of Ramadan. A comer came and started taking handfuls of the foodstuff (of the Sadaqa) (stealthily). I took hold of him and said, "By Allah, I will take you to Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam ." He said, "I am needy and have many dependents, and I am in great need." I released him, and in the morning Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam asked me, "What did your prisoner do yesterday?" I said, "O Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam! The person complained of being needy and of having many dependents, so, I pitied him and let him go." 

Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Indeed, he told you a lie and he will be coming again." I believed that he would show up again as Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam had told me that he would return. So, I waited for him watchfully. When he (showed up and) started stealing handfuls of foodstuff, I caught hold of him again and said, "I will definitely take you to Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam. He said, "Leave me, for I am very needy and have many dependents. I promise I will not come back again." I pitied him and let him go.

In the morning Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam asked me, "What did your prisoner do." I replied, "O Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam ! He complained of his great need and of too many dependents, so I took pity on him and set him free." Allah's Apostle said, "Verily, he told you a lie and he will return."

I waited for him attentively for the third time, and when he (came and) started stealing handfuls of the foodstuff, I caught hold of him and said, "I will surely take you to Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam as it is the third time you promise not to return, yet you break your promise and come." He said, "(Forgive me and) I will teach you some words with which Allah will benefit you." I asked, "What are they?" He replied, "Whenever you go to bed, recite "Ayat-al-Kursi"-- 'Allahu la ilaha illa huwa-l-Haiy-ul Qaiyum' till you finish the whole verse. (If you do so), Allah will appoint a guard (Angel) for you who will stay with you and no satan will come near you till morning. " So, I released him. In the morning, 

Allah's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam asked, "What did your prisoner do yesterday?" I replied, "He claimed that he would teach me some words by which Allah will benefit me, so I let him go." Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam asked, "What are they?" I replied, "He said to me, 'Whenever you go to bed, recite Ayat-al-Kursi from the beginning to the end ---- Allahu la ilaha illa huwa-lHaiy-ul-Qaiyum----.' He further said to me, '(If you do so), Allah will appoint a guard for you who will stay with you, and no satan will come near you till morning.'

(Abu Huraira or another sub-narrator) added that they (the companions) were very keen to do good deeds. The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "He really spoke the truth, although he is an absolute liar. Do you know whom you were talking to, these three nights, O Abu Huraira?" Abu Huraira said, "No." He said, "It was Satan."

Sahih Bukhari, Vol. 3, Book 38, 505

Mahine (month) mein ek baar sare Quran ko padh liya karo


Bismillahirrahmanirrahim
✦ Hadith: Mahine (month) mein ek baar sare Quran ko padh liya karo
------------------------
✦ Abdullah bin Amr Radi allahu anhu Se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne mujhse farmaya mahine (month mein ek baar sare Quran ko padh liya karo maine arz ki mujhko to is se bhi zyada padhne ki taqat hai to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya achcha to phir saat din puara Quran padh liya karo is se zyada na padho
Sahih Bukhari, Jild 6, 5054
------------------------
✦ अब्दुल्लाह बिन अमर रदी अल्लाहु अन्हु से रिवायत है की रसूल अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फ़रमाया महीने में एक बार सारे क़ुरान को पढ़ लिया करो मैने अर्ज़ की मुझको तो इस से भी ज़्यादा पढ़ने की ताक़त है तो आप सललल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया अच्छा तो फिर सात दिन में सारा क़ुरान पढ़ लिया करो इस से ज़्यादा ना पढ़ो
सही बुखारी, जिल्द 4, 5054 
--------------------------
✦ Narrated Abdullah bin Amr Radi allahu anhu 
Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam said to me, "Recite the whole Qur'an in one month's time." I said, "But I have power (to do more than that)." Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Then finish the recitation of the Qur'an in seven days, and do not finish it in less than this period."
Sahih Bukhari, Book 61, Hadith 574

Surah Al Mumtahana


BismillahirRahmannirRahim 

Al Quran : Jin logon ne Deen ( religion) ke baare mein tumse jung nahi ki aur na tumko tumharey gharo se nikala unke saath bhalaii aur insaf ka suluq karne se Allah tumko mana nahi karta hai , Allah to Insaaf karney walo ko pasand karta hai.
Allah unhi logon se dosti karne ke liye mana karta hai jinhoney tumse deen ke baarey mein ladayee ki aur tumko tumharey gharon se nikala aur tumhey nikalwaney mein auro ki madad ki to jo log aiso se Dosti karengey wahi zalim hai

Al Quran , Surah Al Mumtahana ( 60) verse 8-9
-----------------------------------
English Translation:
Al Quran : Allah does not forbid you to deal justly and kindly with those who fought not against you on account of religion nor drove you out of your homes. Verily, Allah loves those who deal with equity. 

It is only as regards those who fought against you on account of religion, and have driven you out of your homes, and helped to drive you out, that Allah forbids you to befriend them. And whosoever will befriend them, then such are the Zalimun (wrong-doers - those who disobey Allah).

Al Quran , Al Mumtahana ( 60) verse 8-9