Saturday 15 December 2018

Allah ki raza hasil karne aur narazgi se bachne ki dua

Bismilahirrahmanirrahim 

✦ Allah ki raza hasil karne aur narazgi se bachne ki dua
---------------------
Aisha Radi Allahu anha se rivayat hai ki maine ek raat Rasool-Allah Sal-Alalahu alaihi wasallam ko bistar par mojud na paya to main unko dhundhne lagi (makan mein andhera tha) to mera haath aap ke qadmo ke talwo par ja padha aapke dono paanw khade they ( yani aap sajde ki halat mein they) aur aap ye dua farma rahe they

اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِرِضَاكَ مِنْ سَخَطِكَ 
وَبِمُعَافَاتِكَ مِنْ عُقُوبَتِكَ 
وَأَعُوذُ بِكَ مِنْكَ 
لاَ أُحْصِي ثَنَاءً عَلَيْكَ 
أَنْتَ كَمَا أَثْنَيْتَ عَلَى نَفْسِكَ 

Allahumma inni Audhu biridaka min sakhatika 
wa bimu'afatika An Uqubatika, 
Wa Audhu bika minka, 
La uhsi sana'an Alaika, 
Anta kama Asnayta Ala nafsika 

✦  Ya Allah main panaah maangta hu tere razamandi ki teri narazgi se,
Aur teri aafiyat ki teri saza se,
aur main teri panah maangta hu tere azab se,
main teri tarif ka haq ada nahi kar sakta 
to waisa hi hai jaisa tune khud apni tarif farmayee hai
Sunan Ibn Maja,Jild 3, 722-sahih
-----------------------


from Quran Aur Hadees https://ift.tt/2UNq2IA

No comments:

Post a Comment