Saturday, 17 November 2018

Mushkil Waqt Mein Padhne Ki Dua


Bismillahirrahmanirrahim 


✦ Mushkil Waqt Mein Padhne Ki Dua
----------------------------------------------
✦ Al Quran : Jin Logon ne Allah aur uske Rasool ka hukm mana , iske bawajud ke unhe zakhm lage huye they , jo unmein se neik aur parhaizgar huye unke liye bada ajar hai , Jinhe (munafiq) logo ne kaha ki (Mushriko aur kafiro ne) tumahare muqable ke liye saman jama kiya hai , isliye tum unse daro to (ye sunkar) unka imaan aur zyada ho gaya aur wo kahne lage ki Hasbunallah wa naimal wakeel 
(Humko Allah kafi hai aur wo behatreen kaarsaz hai)
Surah Aal-e-imran , Aayat 172-173









✦ Hadith : Abu Saeed Khudri Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne faramaya main kis tarah aaram karu jabki usne(israfil Alaihi salam ne) soor mein munh lagaya hua hai aur unke kaan Allah subhanahu ke hukm ke muntazir hain ki wo kab phunkne ka hukm de de aur wo phunk de ye baat Sahaba Radi Allahu Anhu ke dil par sakht (gamnaak) guzri to Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya tum kaho HasbunAllah Wa Naimal Wakeel AlaAllahi Tawakkalna
Yani hamare liye Allah kaafi hai aur wo behatreen kaarsaz hai aur Allah hi par hum bharosa rakhte hain
Jamia Tirmizi, Jild 2, 322-Hasan
-------------



from Quran Aur Hadees https://ift.tt/2QQySTq

No comments:

Post a Comment