Friday, 4 March 2016

Aise kaam jisko karne se insan jannat mein chala jaye

Bismillahirrahmanirrahim
Mafhum-e-Hadith: Aise kaam jisko karne se insan jannat mein chala jaye
----------------------------------------
✦ Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki ek Aarabi (gawar) Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ke pass aaya aur kahne laga Ya Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam mujhko koi aisa kaam bataeeye jisko karne se main jannat mein chala jauu Aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya wo kaam ye hai ki tu Allah subhanahu ke saath kisi ko sharik na kar, aur namaz ko qayam kar aur farz zakat ko ada kar aur ramdhan ke roze rakh. Wo shakhs bola uski qasam jiske haath mein meri jaan hai main na us se zyada karunga aur na kam aur wo peeth pher kar chala gaya 
Aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jo khush ho is baat se ki wo jannati ko dekhe to usko dekh le.
Sahih Muslim, Jild 1, 107
----------------------------------------

✦ अबू हुरैरा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की एक आराबी (गवार) रसूल-अल्लाह सललल्लाहू अलैही वसल्लम के पास आया और कहने लगा या रसूल-अल्लाह सललल्लाहू अलैही वसल्लम मुझको कोई ऐसा काम बताईए जिसको करने से मैं जन्नत में चला जाऊं , आप सललल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया वो काम ये है की तू अल्लाह सुबहानहु के साथ किसी को शरीक ना कर ( यानि उसके सिवा किसी की पूजा न कर) , और नमाज़ को क़ायम कर और फ़र्ज़ ज़कात को अदा कर और रमजान के रोज़े रख, वो शख्स बोला उसकी क़सम जिसके हाथ में मेरी जान है मैं ना उस से ज़्यादा करूँगा और ना कम और वो पीठ फेर कर चला गया , आप सललल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जो खुश हो इस बात से की वो जन्नती को देखे तो उसको देख ले
सही मुस्लिम, जिल्द 1, 107
-----------------------------------
✦ It is reported on the authority of Abu Huraira that a bedouin came to the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi wasallam ) and said:
Messenger of Allah, direct me to a deed by which I may be entitled to enter Paradise. Upon this he Sallallahu Alaihi wasallam remarked: You worship Allah and never associate anything with Him, establish the obligatory prayer, and pay the Zakat which is incumbent upon you, and observe the fast of Ramadan. He (the bedouin) said: By Him in Whose hand is my life, I will never add anything to it, nor will I diminish anything from it. When he (the bedouin) turned his back, the Prophet (Sallallahu Alaihi wasallam ) said: He who is pleased to see a man from the dwellers of Paradise should catch a glimpse of him.
Sahih Muslim, Book 1, Hadith 14
__._,_.___

No comments:

Post a Comment