Thursday, 28 January 2016

Hadith Qudsi

Bismillahirrahmanirrahim 

✦ Hadith Qudsi: RAB ka irshad hua ki Subah huyee to mere kuch bande momeen rahe aur kuch kafir ho gaye 
----------------------------
✦ Zaid bin khalid jahni Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne humein Hudebiya mein subah ki namaz padhayee aur raat ko barish ho chuki thi , namaz se farig hone ke baad Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne logo ki taraf munh kiya aur farmaya , malum hai tumhare RAB ne kya farmaya hai , logon ne kaha ki Allah aur uske Rasool Sallallahu Alaihi wasallam khoob jante hain ,Aap ne farmaya ki tumhare RAB ka irshad hai ki subah huyee to mere kuch bande momeen rahe aur kuch kafir ho gaye jisne kaha ki Allah ke fazal aur rahmat se hamare liye barish huyee to wo mera momeen hai aur sitaro ka munkir hai aur jisne kaha ki falah sitare ki falah jagah par aane se barish huyee to wo mera munkir hai(yani mujhse kufr kiya) aur sitaro ka momeen hai (yani sitaro par iman rakhne wala hai)
Sahih Bukhari, Jil1, 846

✦ ज़ैद बिन खालिद अल-जुहानी रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सललल्लाहू अलैही वसल्लम ने हूमें हुदेबिया में सुबह की नमाज़ पढ़ाई और रात को बारिश हो चुकी थी , नमाज़ से फारिग होने के बाद आप सललल्लाहू अलैही वसल्लम ने लोगो की तरफ मुँह किया और फरमाया , मालूम है तुम्हारे रब ने क्या फरमाया है , लोगों ने कहा की अल्लाह और उसके रसूल सललल्लाहू अलैही वसल्लम खूब जानते हैं ,आप ने फरमाया की तुम्हारे ऱब का इरशाद है की सुबह हुई तो मेरे कुछ बंदे मोमीन रहे और कुछ काफ़िर हो गये जिसने कहा की अल्लाह के फ़ज़ल और रहमत से हमारे लिए बारिश हुई तो वो मेरा मोमीन है और सितारो का मुनकीर है और जिसने कहा की फ़लाह सितारे की फ़लाह जगह पर आने से बारिश हुई तो वो मेरा मुनकीर है(यानी मुझसे कुफ्र किया) और सितारो का मोमीन है (यानी सितारो पर ईमान रखने वाला है)

सही बुखारी, जिल्द 1, 846
---------------------------------
✦ Narrated Zaid bin Khalid Al-Juhani Radi Allahu Anhu 
The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam led us in the Fajr prayer at Hudaibiya after a rainy night. On completion of the prayer, he faced the people and said, "Do you know what your Lord has said (revealed)?" The people replied, "Allah and His Apostle Sallallahu Alaihi wasallam know better." He said, "Allah has said, 'In this morning some of my slaves remained as true believers and some became non-believers; whoever said that the rain was due to the Blessings and the Mercy of Allah had belief in Me and he disbelieves in the stars, and whoever said that it rained because of a particular star had no belief in Me but believes in that star.' "
Sahih Bukhari, Book 12, Hadith 807

No comments:

Post a Comment